Sunday, March 22, 2015

Ehkaam e Masjid 131

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

# Koi masjid me so gaya aur usse ahtelaam ho gaya aur gusl farz ho gaya toh uss par farz hai ke masjid se fauran nikal jaye kyunki haalate janaabat me masjid me theherna haraam hai chalna bhi haraam hai

# Uss par waajib hai ke apni jagah par hee tayammum karle

# Agar uss ke paas mai koi matti ka bartan rakkha ho aur diiwaar dur hai to waajib hai ke bartan se tayammum kar le aur agar deewaar qarib hai aur bartan dur hai toh deewaar se tayammum kar le

# Agar deewaar aur bartan dono dur hai toh jahan betha hai wahi zameen se tayammum kar le usse ijaazat nahi ke sarak kar deewaar tak jaye

# Agar masjid ke do ya teen darwaaze hai toh jo darwaaza sabse qarib he usse nikal jaye

#Fatawa Imaam Qaazi Khan
#Zakhirah,Muhit
#Al Ikhtiyaar Fi Sharhil Mukhtaar
#Fatawa e Razviya Shareef

0 comments:

Post a Comment