Sunday, March 22, 2015

Fathe Makkah 106

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Ibne katal woh munafiq hai jisko Fateh Makkah ke din iss haal mein qatl kiya gaya ke yeh Kaaba Shareef ke Gilaaf mein lapta huwa tha.

Zamaama e jhaliyat mein iska naam abdul ujjaah tha Sarwar e Kainaat ﷺ ne iska naam Abdullah rakhe baaz qaul ke mutabik Bilal. Baad mein yeh murtad hogaya aur ahle makkah se jaa mila.

Jabh Makkah Fateh huwa toh usne Khana Kaaba mein panaah li aur Gilaaf e Kaaba se lipat gaya.

Jiss waqt Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ tawaaf farma rahe they kisi Sahabi ne usse dekha aur arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ yeh ibne katal hai aur Gilaaf e Kaaba se lipta huwa hai.

Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate hai "Jahan ho qatl kardo" hukm ke mutabik usko wahi qatl kar diya gaya. Baaz riwayat mein hai ke uska khoon bhi Kaaba Shareef ki deewaron par gira.

# Madarijun Nabuwwat 2/494.

0 comments:

Post a Comment