Thursday, March 26, 2015

Ilm e Deen Haasil Karne Ki Fazeelat 152

SHARE
 بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


Apni soch par kuch lamhon Ke liye gaur kare

 Humein khoob gaur karna chahiye humne apni zindagi kaise guzari.?  Aur humein apni zindagi kaise guzarni chahiye

 Kya Ek Musalmaan ko aise zindagi guzarni chahiye ?

 Kya humari zindagi khana peena sona karobar issi liye hai ?

 Yeh sab zaruri hai magar Ilm e Deen haasil karna usse zyada zaruri hai.

 Humein hamare Rabb ne maa ki goddh se lekar qabr ki goddh tak ke har kaam ka tariqa apne Habeeb Qul Jahan Ke Tabeeb Do Jahan ke Sardar Janab e Ahmed e Mujataba Muhammed Mustafa ﷺ ke zariye bata diya hai.

Afsos fir bhi hum gaafil hai

 Huzoor PurNoor Rehmatulil Aalameen ﷺ irshad farmate hai ke ghadi (lamha) bhar gaur o fikr karna 60 saal ki ibadat se behtar hai.

Allah ﷻ hum sabko ilm e deen seekhne seekhane ka jazba ataa kare aur uss par amal karne ki toufique ataa kare

آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ

0 comments:

Post a Comment