Wednesday, March 25, 2015

Jannat Aur Dozakh 143 - Jannat kya hai?

SHARE
 بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


 ⏩Jannat kya hai?

# Jannat ek makaan hai jo Allah ﷻ ne imaanwalon ke liye banaya is me 100 darje hai har dusre darje mein itna faasla hai ke jitna zameen aur aasmaan ke beech mein hai aur har darja itna bada hai ke sari dunya ek darje mein ho toh bhi uss mein jagah baki rahe.

# Jannat mein Allah ﷻ ne har tarah ke jismaani aur roohaani lazzaton ka saamaan rakha hai.

#Jannat aisi hai ke uski ne'amaton ko na kisi aankh ne dekha na kisi kaan ne suna na kisike dil mein uss ka khayal guzra.

#Sabse badi ne'amat jo musalmaano ko uss roz milegi wo Allah ﷻ ka deedar hai.
Jisse Allah Ta'ala ka ek baar deedar hoga woh hamesa ussi zauq mein dooba rahega.

0 comments:

Post a Comment