Wednesday, March 25, 2015

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 144

SHARE
 بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


Nabi e kareem ﷺ irshad farmate hai qayamat ke din bande ke aamal mein sabse pehle namaaz ka sawal hoga agar woh sahi huwi toh usne kamyaabi paayi aur agar uss mein kami huwi to ruswa huwa aur usne nuksaan uthaya.

Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate hai jo bhi namaaz ki hifazat kare uske liye namaaz qayaamat k din noor wa daleel wa najaat hogi aur jo uski hifazat na kare uske liye qayamat ke din na noor hoga aur na daleel aur na najaat aur woh shakhs qayamat k din firaun, qaarun, hamaan aur ubai bin khalf ke sath hoga.

Imam muhammed zahbi alayhir rahman naql karte hai ke baaz aulma e kiraam farmate hai ke namaaz chorne wale ko inn 4 ke saath isliye uthaya jayega k aam taur par log daulat hukumat wazaarat karobaar ki wajah se namaaz ko chorte hai.

Jo hukumat ke kaam ki wajah se namaaz chorega uska hashr firaun ke saath hoga.

Jo daulat ki wajah se namaaz chorega uska qaarun ke saath hoga.

Jo wazaarat k sabab se chorega uska hashr hamaan ke saath hoga.

Aur agar karobaar ki wajah se namaaz chorega to usko ubai ibne khalf ke saath qayamat ke din uthaya jayega.
 
This entry was posted in

0 comments:

Post a Comment