بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Mea'raj Ka Tohfa Namaaz.
Namaaz ke kuch zaroori masail
Quraan Shareef ulta padhna pehli rakat mein
baad wali surah padhna aur doosri rakat mein usse pehle wali surah padhna jaise
pehli mein Surah Kaafiroon padhi doosri mein surah Kausar padhi aisa karne ki
sakht waied aayi.
Hazrate Abdullah bin Masuud رضي الله عنه farmate haiñ jo Quraan ulat kar padhta hai
woh is baat se darta nahi ke Allah uska dil ulat de.
Agar bhool se ulta padha to na gunah hai na
sajda e sahw hai.
Dono rakaton mein ek hi surah padhna makrooh
e tanzihi hai agar koi majboori na ho aur agar majboori ho to bilkul karaahat
nahi. Jaise pehli rakat mein Surah Naas padhi aur doosri mein bhi yahi padhi ya
doosri mein irada nahi tha lekin wahi surah nikal gayi ya kisi ko ek hi surah
yaad hai to in tamam haalaat mein dono rakat mein ek hi surah padhna jaaiz hai.
Surah fateha padhne ke baad namaaz mein kya padhe
yeh sochne mein itni deir lagaayi ke 3 martaba "SubhanAllah" keh liya
jaaye to qirat mein deir ki wajah se waajib chootha to sajda e sahw karna
waajib hai.
0 comments:
Post a Comment