بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
⏩ Qurbani hisse wali ke hisse alag karne ke do (2) aasan tareeke.
Pehla tareeka zabah ke bad us gaay/bail/ount ka sara gosht ek aise baalig musalman ko hiba kar dein (maalik bana de) jo unki qurbani mein sharik na ho aur abh woh andaaze se sabh mein takseem kar sakta hai.
Doosra tareeka isse bhi aasaan hai gosht taqseem se pehle usme dusri jins jaise kalejee magaz mila dein toh abh andaaze se takseem kar sakte hai.
Agar kayi cheezein daali hai to har ek mein se sab ko sab mein se tukda tukda dena zaroori nahi.
Gosht ke saath sirf ek cheez bhi dena kaafi hai jaise tilli kaleji sirri paaye daale hai to gosht ke saath kisi ko tilli kisi ko kaleji kisi ko paaye kisi ko sirri to bhi sahi takseem ho jaayegi.

0 comments:
Post a Comment