Friday, March 13, 2015

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz Radiallahu Anh 32

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ



Nabi E Kareem ﷺ Ne Ek Anaar Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Ke Haath Ataa Farmaya Aur Farmaya Isme Dekhlo Aur Jaan Lo Tumhe Kaha Jana Hai.
Hukm Ke Mutabik Sultan ul Hind Gareeb Nawaz رضي الله عنه Ne Anaar Ke Andar Nigah Ki Toh Mashrik se Magribh Tak Jo Kuch Tha Woh Sab Roshan Ho Gaya. Shaher e Ajmer Aur Uski Pahadiya Wagairah Bhi Nazar Aagayi.

سُــــبْحانَ الله سُــــبْحانَ الله

# Sairul Aqtaab Page No. 123 - 124

Makhdum Jahaaniya Jahaa Gasht Rehmatullahi Ta'ala Alaihe Ne Apne Safarname Me Likha Hai Ke :-
Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Ke Mazaar Shareef Ke Paas Anaar Ka Ek Darakht Meri Haaziri Ke Waqt Tha.
Rozana 7 Phal Uss Darakth Se Utarte The. Jo Shakhs Uss ANAAR Ko Apne Yaha Farzand Hone Ki Niyat Se Kha Leta Ba-Hukm e Rabbi Woh Saahib e Aulaad Ho Jata Tha.
( Iqtebaas Az Hashiyaa Moinul Arvah Page No.79)

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه  Page No.213 to 215

0 comments:

Post a Comment