Friday, March 13, 2015

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz Radiallahu Anh 33

SHARE

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ



Hazrat SAIYYAD SHAH ABUL HUSSEIN AHMED E NOORIE رحمۃ الله تعالیٰ علیہ ( Peero Murshid Tajdar e Ahle Sunnat Sayyeddi Sarkaar MUFTI E AZAM رضي الله عنه ) Part - 1

Aksar o Beshtar Bargaah e Gareeb Nawaz رضي الله عنه Mai Tashrif Le Jaya Karte they. Ek Martaba Aap Apne Chand Khuddam Ke Saath Urs e Mubarak Ke Mauke Par Haazir Huwe  Aap Ne Irshad Farmaya Ki : Sarkaar e Gareeb Nawaz رضي الله عنه Ke Darbar Se Faqeer Ko Hukm Huwa Hai Ki Apne Khuddam Ko Bata De Ki Agar Kisi Ko Kuch Arz Karna Ho Toh Darkhwast Likh Kar Aapko Pesh Kar De Woh Darkhwast Aap Ki Ma'arifat Mere Darbar Me Pesh Hogi Aur Uske Jawab Bhi Aap Hi Ki Ma'arifat Unko Milenge.

Maulana Shabbir Badayuni Ne Arz Ki. Huzur! Wo Darkhwast Kis Tarah Darbar Me Pesh Hogi.?
Aap Ne Irshad Farmaya Ki : Aastane Ke Kuch Khuddam Zinnaat  Bhi Hai Jo Is Kaam Par Maamur Hai. Chunanche Darkhwast Hazrat Ke Paas Jamaa Huwi Aur Hazrat Ne Wo Darkhwaste Hafiz Nazrullah Khaa Badayuni Ko Inayat Farmate Huwe Hukm Farmaya Ki Aastana E Aaliya K Zunoob Magribhi Kone Par Kohe Chilla Ki Janib Ek Ghaati Hai Waha Jaao Aur Jo Shakhs Tum Se Yeh Darkhwast Talab Karey Ussey De Do........

( To be Cont.... )

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه  Page No.373 - 374

0 comments:

Post a Comment