بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Hazrat SAIYYAD SHAH ABUL HUSSEIN AHMED E NOORIE رحمۃ الله تعالیٰ علیہ ( Peero Murshid Tajdar e Ahle Sunnat Sayyeddi Sarkaar MUFTI E AZAM رضي الله عنه ) Part - 2.
Hazrat Moulana Shabbir Badayuni Ka Bayan Hai Ki Jabh Hazrat Ke Hukm Se Hafiz Nazrullah Sahab Woh Darkhwaste Lekar Chale Toh Mai Bhi Khamoshi Se Unke Piche Lag Gaya. Jabh Ghaati Me Dakhil Huwe Toh Mere Aur Nazrullah Sahab Ke Darmiyan Chand Kadmon Ka Faasla Tha. Achanak Maine Dekha Ki Hafiz Nazrullah Sahab Ka Haath Khali Hai Maine Unse Pucha Ki Darkhwaste Kaha Hai ?
Hafiz Sahab Farmaye.
Aap Mujhse Mazak Karte Ho
Abhi Aap Ne Hi Toh Woh Parchiya Mujhse Yeh Keh Kar Le Li Ke Huzur Ne Talab Ki Hai. Iss Jawab Par Mai Hairaan Reh Gaya Hafiz Sahab Ne Wapas Aakar Hazrat Noorie Miyan Ki Khidmat Mai Saara Wakya Bayan Kar Diya.
Hazrat Noorie Miya Ne Farmaya Ki Wahi Khadeem e Aastana They Jo Is Soorat Me Tumse Parchiya Le Gaye.
Fir Farmaya Ki Yeh Huzur Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Ka Is Faqeer Par Karam e Khaas Hai Warna Mujhse Behtar Hazaaro Iss Darbare Aali Waqar Me Haazir Hote Hai Magar Yeh Khas Nigahe Karam Baaz Khas Khuddam Par Hi Hoti Hai Ke Woh Apne Mureedo Ki Arziya Sarkaar Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Ke Huzur Pesh Kare. Teesre Din Wo Parchiya Jawab Ke Saath Hum Sabko Mili Jo Nawadirat Me Se The.
# Sirat e Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Page No.373 - 374.
Teri Rehmat Teri Ne'amat Par
Mera Dawa Hai Ahmed e Noori.
Noor e Ahmed Mujhko Bhi Chamkade.
Naam Tera Hai Ahmed e Noori..
0 comments:
Post a Comment