Sunday, March 22, 2015

Taharat Ka Bayaan Aur Najasat Ki kismein 109

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩Har aaqil o baalig musalmaan mard o aurat ke liye tahaarat (paaki) ke wo ahkaam sikhne Farz e Aain hai jinse namaaz sahi ho sake.

Najaasat (naapaaki) ki do qismein (types) hai

1⃣ Najaasat e Galizah
 2⃣ Najaasat e Khafifah

➡Insaan ke badan se jo chiz nikle ki usse gusl ya wazu waajib ho Najaasat e Galizah hai jaise
1⃣Peshaab
2⃣Paakhaana
3⃣Behta khoon
4⃣Piip
5⃣Munh bhar vomit
6⃣Haiz o nifaas ka khoon
7⃣Istehaaze(bimari) ka khoon
8⃣Mani, mazi, wadi

Jin jaanwaron ka ghost halaal hai jaise
➡Gaay(cow)
➡Bail(bullock)
➡Bhains (buffallo)
➡Bakri (goat)
➡Oonth (camel) wagaira in sab ka peshaab or ghode ka peshaab or jis parinde ka ghost haraam hai chahe shikaari ho ya na ho jaise
Kawwa
Cheel
Shikra
Baaz uski biit (pakhana) Ye sab Najaasate Khafifah hai

Bahaare shriyat
Fatawa aalamgiri
Fatawa qaazi khaan

0 comments:

Post a Comment