Sunday, March 22, 2015

Taharat Ka Bayaan Aur Najasat Ki kismein 115

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Kisi ke munh se itna khoon nikla ke thuk mein surkhi (laali) aagayi aur usne fauran paani piya toh yeh jhuta paani napaak hai.

⏩ Aur jab yeh laali jaati rahe to uss par laazim (zaruri) hai ke kulli karke munh paak kare. Ya agar paani piyega to paak ho jayega lekin aisi soorat mein thuk nigalna sakht napaak baat hai aur gunah hai.

⏩ Jo gosht sad gaya badbu baas aane lagi toh uska khaana haraam hai, agarche woh naapaak nahee.

⏩ Aisi shishi jis mein peshaab khoon ya sharaab bhara hai aur jeb me rakhi ho toh namaaz na hogi. Khoon test karwane ke liye jaate huwe shishi jeb mein ho to namaaz ke waqt nikaal de.

⏩ Murde ke munh ka paani napaak hai.

# Bahaar e Shari'at Jild-2, Safa-63,117
# Fatawa e Razviya Shareef Jild-1, Safa-268
# Durre Mukhtar Jild-1, safah 290.

0 comments:

Post a Comment