بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Mani (sperm) wale kapde paak karne ka tarike.
Mani kapde me lag kar sookh gayi to sirf masal kar jhaadne aur saaf kar dene se kapda paak ho jayega. Chahe masalne ke baad uska asar kapde mein baaki reh jaye.
Is masale mein awrat mard insaan haiwaan tandrust beemar e jiryaan sab ki mani ka ek hi hukm hai. Beemaar e Jiryaan ka matlab kisi ki mani patli ho gayi ke waqt be waqt be irada tapakti ho. Badan mein agar mani lag jaye to bhi isi tarah paak ho jayega.
Peshaab karke paaki na ki, na paani se na dhele (patli cheez ko chus sake aisa iint ya patthr ka tukda) se aur mani us jagah par guzri jahaa peshaab laga huwa hai to ye masalne se paak nahee hogi balke dhona zaruri hai.
Jis kapde ko masal kar paak kar liya ab agar paani se bheeg jaaye to napaak na hoga. Agar mani kapde mein lagi hai aur ab bhi tar hai sookhi nahee to dhone se paak hoga, sirf Masalne se paak na hoga.
Bahaar e Shari'at, jild 2, Safah 119-122-123.

0 comments:
Post a Comment