Thursday, March 12, 2015

Tamheed E Imaan 20

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah


Book - TAMHEED E IMAAN by Imam Ahmed Raza Khan Alaihir Rahma.


Musalmaanon! KHUDA lagti kehna agar aadmi karod jaanein rakhta ho aur wo sab ke sab in (mundarja baala) azeem daulaton par nisaar kar de to Wallaah phir bhi mundarja baala daulatein muft paayein, phir zaid wa umro (gustaakh-e-Rasool) se Ilaaqa-e-taazeem wa muhabbat yak-lakht qata kar dena kitni badi baat hai?

Jis par ALLAH TA'ALA in be-baha nematon ka waada farma raha hai, aur US ka waada yaqeenan saccha hai.


Quraan-e-Kareem ki aadat-e-kareema hai ke jo hukm Farmaata hai Jaisa ke Uske Maanne walon ko Apni ne'maton ki bashaarat deta hai, na Maanne waalon par Apne azaabon ka taazyana bhi rakhta hai ke jo past himmat nematon ki Lalaach mein na aayein sazaon ke dar se raah paayein, woh azaab bhi sun lijiye:

0 comments:

Post a Comment