Sunday, April 5, 2015

Hadees e Mubaraka 308 (Hadith Of The Day)

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Hazrat e Jaabir Bin Abdullah Ansaari رضي الله عنه riwayat farmate haiñ ke Maine Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ki khidmat e ba-barkat mein arz kiya, Yaa RasoolAllah ﷺ mere maa baap aap par qurbaan! Mujhe bataiye ke Allah ﷻ ne tamaam ashiya se pehle kis cheez ko paida farmaya?

Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ Aye Jabir! Beshak Allah Ta'ala ne tamaam kayinaat se pehle tumhare Nabi(ﷺ) ke Noor ko Apne Noor se paida farmaya, phir woh Noor Qudrat e Ilaahi se jahaan chaahta tha phir sair karta raha, uss waqt loh tha na qalam, jannat na dozakh, aasmaan na zameen, chand na suraj, aur naa jinn na insaan.

# Al Mawahib ul Laduniya Maa Hashiyat ul Zarqaani, Jild 1, Safah 89.
 

0 comments:

Post a Comment