Wednesday, April 1, 2015

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 240 - Musafir ki namaaz ke masail.

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



⏩ Musafir ki namaaz ke masail.

▶ Agar imam musafir hai aur muqtadi muqeem ho to chaar (4) rakat wali namaaz mein imam do (2) rakat par salaam phair ne ke baad muqeem muqtadi apni baaki do (2) rakat namaaz ada karein aur abh inn do (2) rakaton kw qiyaam mein muqtadi kuch bhi nahi padhenge, sirf surah fateha padhli jaaye itni deir chup chaap khade rahege baaki namaaz poori karke salaam phair dein.
▶ Musafir imam ko chahiye ke namaaz shuru karne se pehle is baat ka ailaan karde ke main musafir hu aur do (2) rakat par salaam phair dunga, muqeem muqtadi apni baaki namaaz poori kar lein.
▶ Agar muqeem imam ke piche musafir chaar (4) rakat wali namaaz padhe to chaar (4) rakat poori padhe.

# Bahaar e Shari'at
 

This entry was posted in

0 comments:

Post a Comment