Wednesday, April 1, 2015

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 242 - Namaaz ko qasdan chordh dena aur qaza karne ke masail

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Namaaz ko qasdan chordh dena aur qaza karne ke masail.

▶ Imam Muhammed Zahbi عليه رحمة naql farmate haiٌ ke baaz aulma e kiram farmate haiٌ namaaz ko chordhne wale ko in chaar (4) logon ke saath ( firaun qaarun hamaan aur ubai bin khalf) isliye uthaya jaaega ke aam taur par log daulat hukumat wazaarat kaarobaar ki wajah se namaaz ko chordhte hai.
▶ Jo hukumat ke kaam ki wajah se namaaz tarq karega uska hashr firaun ke saath hoga.
▶ Jo daulat ki wajah se namaaz ko tarq karega uska hashr qaarun ke saath hoga.
▶ Jo wazaarat ke sabab se namaaz ko tarq karega uska hashr hamaan ke saath hoga.
▶ Aur jo kaarobar ki wajah se namaaz ko tarq karega to usko makkah muazzama ke bohat bade taajir ubai bin khalf (yeh bhi kaafir wa dushman e khuda hai) ke saath qayamat ke din uthaya jaaega.
 
This entry was posted in

0 comments:

Post a Comment