Saturday, April 4, 2015

Namaz e jumma ke fazaeel aur masaeel 266

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩Namaaz e jumaah ke fazaail.

▶ Jumaah eid ka din hai.
▶Jumaah sab dino ka sardar hai.
▶Jumaah ke din jahannam ki aag jalai nahi jaati hai.
▶Jumaah ki raat jahannam ke darwaaze nahi khulte hai.
▶Jumaah ko qayamat ke din dulhan ki tarha uthaya jayega.
▶Jumaah ke din marnewala sahaadat ka rutba pata hai.
▶Jumaah ke din marnewala qabr ke azaab se bach jata hai.
▶Jumaah ko hajj ho toh uska sawab 70 hajj ke barabar hai .
▶Jumaah ki ek neki ka sawab sattar guna hai (70 times more) zyada hai.
▶Jumaah ke roz gunah ka azaab bhi 70 guna hai.

# Allah hum ko aur tamam musalmano ko jumaah ka faiz haasil karne ki toufiq ataa farmaye aur is muqaddas din me gunah se bachaaye.

آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ

#Kanzul Ummaal
Jild:1, Safa:206
#Miraat
Jild:2, Safa:332
 

0 comments:

Post a Comment