Saturday, April 4, 2015

Namaz e jumma ke fazaeel aur masaeel 271 Namaaz jumaah ke fazaail

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩Namaaz jumaah ke fazaail.

▶Sheher ki taarif (defination) yeh hai ke woh aabaadi jis mai kai gali kunche(lane) ho, hamesha ke bazaar ho,aur aisa district ho ke us ke under me kai gaau (village)aate ho aur koi haakim jo riaaya ke public ke mamlaat me faisla karne ke liye maujood ho aur usko yeh taaqat ho ke mazluum ko zaalimo se insaaf dila sake.
Jahan yeh tamam chize maujud ho use sheher kehte hai aur aisi jagah jumaah jaiz hai.
▶Jis jagah ke sheher ya gaau hone me ikhtilaaf ya shak ho, aisi jagah ulma farmaate hai ke 4 rakat zohar ki bhi padhe jumaah ki namaaz ke baad yeh hukm khwaas ke liye hai awaam k liye nahi.

#Fatawa e razviya
#Jild:3, Safa:672-688
 

0 comments:

Post a Comment