بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 34
بسم الله الرحمن الرحيم
◀ وَإِذْ قُلْنَا لِلْمَلَائِكَةِ اسْجُدُوا لِآدَمَ فَسَجَدُوا إِلَّا إِبْلِيسَ أَبَىٰ وَاسْتَكْبَرَ وَكَانَ مِنَ الْكَافِرِينَ
▶Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur Yaad karo jab Humne Farishto ko Huqm diya ki Aadam Ko sajdah karo to sabne sajdah kiya siwaye iblees ke, ki munqeer huwa aur guroor kiya aur Kaafir ho gaya.
▶ Tafseer
▶ Allah Ta’ala ne Hazrate Aadam علیہ السلام ko Tamam moujudat ka namuna aur Aalame Roohani wa jismani ka majma banaya aur malaika ke liye husoole kamalat ka waseela kiya to unhe hukm farmaya ki Hazrat Aadam علیہ السلام ko Sajdah kare Kyuki Isme Shukr guzari aur Hazrate Aadam علیہ السلام ki fazeelat ke aiteraf aur apne ma'qulah ( Farishto ki kahi hui baat ) ki ma’azarat ki shaan payi jati hai, Baaz mufassireen ka qaul hai ki Allah Ta’ala ne Hazrat Aadam علیہ السلام ko paida karne se pehle hi Sajdah ka Huqm tamam malaika ko diya gaya tha. #Bezawi.
Sajdah ka huqm tamam malaika ko diya gaya tha yahi Asah hai # khazin
▶Masla- Sajdah do tarah ka hota hai, ek Sajda e Ibadat jo bakasade parshist kiya jata hai Doosra Sajda e Tahiyyat jisme masjood ki tazeem manzoor hoti hai na ki ibadat.
▶Masla- Sajda e ibadat Allah Ta’ala ke liye khaas hai kisi aur ke liye nahi ho sakta na kisi shari'at mein kabhi jayaz huwa yahan jo mufassireen Sajda e Ibadat muraad lete hai wo farmate hai ki Sajdah Khaas Allah Ta’ala ke liye tha Aur Hazrat Aadam علیہ السلام Qibla banaye gaye the to wo masjood ileh the na ki masjood lahu. magar ye qaul zayeef hai kyun ki is sajdah Se Hazrate Aadam علیہ السلام Ka fazl wa sharaf zaahir farmana maqsad tha aur masjood ilaih ka saajid se afzal hona kuch zaruri nahi jaisa ki Kaaba Muazzama Huzoor ﷺ ka Qibla wa Masjood ilaih hai, bawajood ki Huzoor ﷺ usse afzal hai, doosra qaul ye ki yahan sajda e ibadat na tha Sajda e Tahiyyat tha aur khaas Hazrate Aadam علیہ السلام ke liye tha Zameen par peshani rakh kar tha na ki sirf jhukna yahi qaul sahi hai aur isi par jahoor hai. #madarik
▶Masla- Sajda E tahiyyat pahli Shariato mein jayaz tha Hamari Shariat mein Mansukh kiya gaya ab kisi ke liye jayaz nahi hai kyuki jabh Hazrate Salman رضي الله عنه ne Huzoor e Aqdas ﷺ ko Sajdah karne ka irada kiya to Huzoor ﷺ ne farmaya ki Makhlooq ko na chahiye ki Allah Ta’ala ke siwa kisi ko sajdah kare #madarik. Malaika mein sabse pehle sajdah karne wale Hazrate Jibrail علیہ السلام hai phir Mikayil علیہ السلام phir israfil علیہ السلام phiir izrayil علیہ السلام phir aur malaikaye mukarrabin ye Sajda Jumaa ke roz Waqte jawal se asr tak kiya. Ek qaul ye bhi hai ki Malaika Mukarrabin 100 baras aur ek qaul me 500 baras sajdah me rahe, shaitan ne Sajdah na kiya aur barahe takabbur ye aitekad karta raha ki wo Hazrate Aadam علیہ السلام se afzal hai uske liye sajdah ka hukm Maaz’Allah khilafe hiqmat hai aur is aitekade baatil se wo kaafir ho gaya.
▶Masla- Is aayat mein dalail hai ki Hazrate Aadam علیہ السلام farishto se afzal hai ki unse unhe sajdah karaya gaya.
▶Masla- Takabbur nihayat Khabees hai isse kabhi mutakabbir ki naubat Kufr tak Pahochti hai # bezawi wa jamal.
▶Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
fb.me/kanzul.imaan.group
KHAAYA PIYA AUR PEHNA
ACCHOÑ SE RAHA ACCHA
KUCH DEEN KA BHI KARLE
DUNIYA KA HAI KYA KARNA

0 comments:
Post a Comment