بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
5⃣ ٱلَّذِينَ يُؤْمِنُونَ بِٱلْغَيْبِ
6⃣ وَيُقِيمُونَ ٱلصَّلَوٰةَ
7⃣ وَمِمَّا رَزَقْنَـٰهُمْ يُنفِقُونَ
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban rahmat wala
5⃣ Wo jo be dekhe Imaan laye.
6⃣ Aur Namaz qaayam rakhe.
7⃣ Aur hamari di huwi rozi mein se hamari raah mein uthaye.
▶ Tafseer.
5⃣ ٱلَّذِينَ يُؤْمِنُونَ بِٱلْغَيْبِ
se لْمُفْلِحُونَ tak aayatein momineen ba ikhlaas ke haq mein hai jo zaahiran wa bateenan imaandaar hai uske baad do aayte khule kaafiro ke haq mein hai jo zaahiran wa bateenan kaafir hai uske baad وَمِنَ ٱلنَّاسِ se 13 aayate munafiqeen ke haq mein hai jo baatin mein kaafir hai aur apne aapko musalman zahir karte hai . Gaib masdar ya isme fail ke maani mein hai is taqdeer par gaib wo hai jo hawaas wa badihi taur par maloom na ho sakte iski do qisme hai ek wo jis par koi daleel na ho, yeh ilme gaib zaati hai aur yahi muraad hai aayat Indahu mafaatihul gaibi laa ya’lamuha illahu aur un tamaan aayaat mein jin mein ilme gaib ki gaire khuda se nafi ki gayi hai. Iss kism ka ilme gaib yaani zaari jis par koi daleel na ho Allah Ta’ala ke ssath khaas hai. Gaib ki doosri kism wo hai jis par daleel ho jaise sana’e aalam aur uske sifaat aur nabuwwaat (Ambiya ki Nabuwwat) aur unke mut’allikaat, ahkaam wa sharaye wa roze aakhir aur uske ahwaal baoos nashar, hisaab, jaza wagairah ka ilm jis par daleele qayam hai aur jo taalime ilahi se haasil hota hai. Yahan yahi muraad hai, iss doosre kism ke guyub jo imaan se ilaqa rakhte hai aur unka ilm wa yaqeen har momin ko haasil hai agar na ho aadmi momin na ho sake aur Allah Ta’ala apne muqarrab bando Ambiya wa Awliya par jo guyub ke darwaaze kholta hai woh isi kism ka gaib hai. Ya gaib mana masdari mein rakha jaaye. Aur gaib ka sila momin beh karar diya jaye ya baaz ko mutalabiseen mahfooz ke mut’alliq karke haal karar diya jaye pehli surat mein aayat ke mana ye honge jo be dekhe imaan laaye jaise Hazrate mutrajim quddas sirrahu ne tarjuma ki hai , doosri surat mein mana ye honge jo momineen ke pase gaibat imaan laaye yani unka imaan munafiqeen ki tarah momineen ko dikhane ke liye na ho balki wo mukhlis ho gaaib haazir har haal mein momin rahe gaib ki tafseer mein ek qaul ye bhi hai ki gaib se qalb yani dil muraad hai is surat mein mana ye honge ki wo dil se imaan laaye.
Imaan- jin cheezo ki nisbat hidayat wa yakeen se maloom hai ki ye deene Muhammadi ﷺ se hai in sab ko manne aur dil se tasdeeq aur zabaan se ikrar karne ka naam imaane sahi hai . amal imaan mein daakhil nahi isiliye يُؤْمِنُونَ بِٱلْغَيْب ke baad
يُقِيمُونَ ٱلصَّلَوٰةَ farmaya.
To Be Contd....

0 comments:
Post a Comment