Sunday, April 5, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan 331 - Tarjuma Of بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ Part 4

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

8⃣ وَٱلَّذِينَ يُؤْمِنُونَ بِمَآ أُنزِلَ إِلَيْكَ وَمَآ أُنزِلَ مِن قَبْلِكَ
9⃣ وَبِٱلْءَاخِرَةِ هُمْ يُوقِنُونَ

▶ Tarjuma

Allah ke naam se shuru jo bahut meharban rahmat wala
8⃣ Aur wo ki Imaan laaye us par jo Aye Mehboob Tumhari taraf utra aur jo tumse pehle utra.
9⃣ Aur aakhirat par yaqeen rakhe.

▶Tafseer

8⃣ Is aayat se ahle kitaab se wo momineen muraad hai jo apni kitaab aur tamam  pichli aasmani kitaabo aur Ambiya علیہ السلاام ki wahiyo par bhi imaan laaye aur Quran Pak par bhi aur Maa Unjila Ilaik se tamaam Quran Pak aur poori shariat muraad hai . #jumal
▶Masla- Jis tarah Quran par Imaan lana har muqallaf par farz hai, ussi tarah Qutoobe Saabika par imaan lana bhi zaruri hai jo Allah Ta’ala ne Huzoor ﷺ se qabl Ambiya علیہ السلاام par naazil farmayi albatta unke jo ahkaam hamari shari'at mein mansukh ho gaye un par amal durust nahi, magar imaan zaruri hai. Maslan Pichli Shariato mein Baitul Muqaddaas Qibla tha us par imaan laana to hamare liye zaruri hai magar amal yaani Namaz mein Baitul Muqaddas ki taraf mooh karna Jayaz nahi Mansukh ho chuka.
▶Masla- Qurane Kareem se pehle jo kuch Allah Ta’ala ki taraf se uske Ambiya par naazil hua un  sab par Ijmaalan Imaan laana farze ain hai aur Quran Shareef ki tafseel farze kifaya hai lihaza awam par iski tafsilaat ke ilm ki tahseel farz nahi jab ki Aulma Maujood ho. jinhone iske tahseele ilm mein poori jehad sarf ki ho.
9⃣ Yaani daare aakhirat aur jo kuch isme hai Jaza wa hisaab wagairah sab par ain yaqeen wa itminaan rakhte hai ki zara shaq wa shubaha nahi isme ahle kitaab wagairah kuffar par ta’ariz hai jinke aitekaad aakhirat ke mut’alliq faasid hai.
 

0 comments:

Post a Comment