بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Surah e Fatiha
▶ Surah Fatiha mein kya hai?
Is Surat Mein Allah Subhan wa Ta’ala ki tareef, uski badhai, uski rehmat, uska Maalik hona, usse ibadat, acchai, hidayat, har tarah ki madad talab karna dua mangne ka tariqa, acche logo ki tarah rehne aur bure logo se door rehne, duniya ki zindagi ka khatima acchai aur burai ka hisaab ke din ka saaf saaf bayan hai .
Namaz mein iss surat ka padhna waajib yaani zaroori hai. Imam aur akele namazi ke liye to haqeeqat mein apni zabaan aur muqtadi ke liye imam ki zabaan mein.
Sahih Hadees mein hai Imam ka padhna hi uske peeche namaaz padhne wale ka padhna hai. Quran Shareef mein Imam ke piche padhne wale ko khamosh rehne aur Imam jo padhe usse sun ne ka huqm diya gaya hai. Allah Ta’ala farmata hai ki jab Quran padha jaaye to use suno aur khamosh raho.
Muslim Shareef ki hadees hai ki jab Imam Quran padhe tum khamosh raho aur bahot si Hadeeso mein bhi isi tarah ki baat kahi gayi hai. Janaze ki namaaz mein dua yaad na ho to dua ki niyyat se Surah Fatiha padhne ki ijazat hai. Quran padhne ki niyyat se yeh Surat nahi padhi ja sakti.
▶ Suratul Fatiha ki khoobiya.
Hadees Shareef ki kitabo mein is Surat ki bahot si khoobiya bayan ki gayi hai.
Huzoor ﷺ ne farmaya tauraat wa injeel wa zuboor mein is jaisi Surat nahee utari. # Tirmizi Shareef.
Ek Farishte ne aasmaan se utar kar Huzoor ﷺ par salaam arz kiya aur do (2) aise nooro ki khush khabari sunayi jo Huzoor ﷺ se pehle kisi Nabi علیہ السلاام ko nahee di gayi, ek Surah Fatiha Doosri Surah Baqrah ki aakhri aayate # Muslim Shareef.
➡ Surah Fatiha har beemari ke liye dawa hai. #Daarmi.
➡ Surah Fatiha 100 baar padhne ke baad jo dua maangi jaaye Allah Ta’ala use qubool Farmata Hai. #Daarmi.

0 comments:
Post a Comment