بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
1⃣ المۛ
2⃣ ذَٰلِكَ الْكِتَابُ لَا رَيْبَ ۛ فِيهِ
ۛ3⃣ هُدًى لِّلْمُتَّقِينَ
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban rahmat wala
1⃣
2⃣ Wo buland rutba kitab (Quraan) koi shak ki jagah nahi
3⃣ Is mein hidayat hai dar walo ko.
▶Tafseer.
1.Suratoñ ke shuru mein jo alag se huroof aate hai unke barein mein yahi manna hai ki Allah ke raazo mein se hai aur mutshaabihaat bhi. Unka maltab Allah ﷻ aur Rasool ﷺ jaane. Hum uske sache hone par imaan laate.
2. Isliye ki shak us mein hota hai jiska sabot ya daleel na ho. Quran Shareef aise khule aur taakat wale sabot rakhta hai jo jaan kar aur insaaf wale aadmi ko iske kitaabe Ilahi aur sach hone ke yakeen par mazboot karte hai. To yeh kitaab kisi
tarah shak ke kaabil nahi. jis tarah andhe ke inkaar se suraj ka wujood shubah wala nahi hota. Aise hi dushmani rakhne wale kale dil ke inkaar se yeh kitaab shubah wali nahi ho sakti.
3. Agar che Qurane Kareem ki hidayat har naazir ke liye aam hai momin ho ya kafir jaisa ki doosri aayat mein farmaya hidayat saare jahan walo ke liye lekin iska faida Allah se darne walo ya ahle taqwa ko hota hai isliye farmaya gaya hidayat darwalo ko. Jaise kahte hai barish hariyali ke liye hai yani faida isse hariyali ka hi hota hai haalanki ye barasti usar aur banjar zameen par bhi hai. Taqwa ke kayi maana aate hai, nafs ko khauf ki cheez se bachana aur urse sharah mein mamnuaat chhod kar nafs ko gunah se bachana Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنه ne farmaya muttaqi wo hai jo shirq wa kabaair wa fawahish se bache. Baaz ne kaha woh jo apne aapko doosre se behtar na samjhe ,taqwa haraam cheezo ka tarq aur farayz ka ada karna hai, baaz ne kaha Tera Maula tujhe waha na paaye jahan usne mana farmaya hai ek qaul ye hai ki taqwa Huzoor ﷺ aur sahaba رضي الله عنهم ki pairveeh ka naam hai #khaazin.
▶ Hazrat Murtajeem sirrahu ne farmaya taqwa 7 kism ka hai.
1⃣ kufr se bachna ye bi fazlhi ta’ala har musalman ko haasil hai
2⃣ bad mazhabi se bachna ye har sunni ko naseeb hai.
3⃣ har kabeera se bachna.
4⃣ sagair se bhi bachna.
5⃣ shubhaat se aitraaz.
6⃣ shahwaat se bachna.
7⃣ gair ki taraf iltefaat se bachna.
Ye akhassul khawaas hai aur Qurane Azeem saato martabo ka haadi hai.

0 comments:
Post a Comment