Sunday, May 31, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 414

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 101

Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur jabh unke paas tashreef laaya Allah ke yahan se Ek Rasool.
2⃣ Unki kitaabo ki tasdeeq farmata.
3⃣ To kitaab waloñ se ek garoh ne Allah ki kitaab apne peeth pichhe phenk di.
4⃣ Goyaa woh kuch ilm hi nahi rakhte.

Tafseer
1⃣ Yaani Sayyade Aalam
2⃣ Sayyade Aalam   Tauret wa Zuboor waghairah ki tasdeeq farmate the aur khud un kitaabo mein bhi Huzoor ki tashreef aawari ki basharat aur Aap ke ausaaf wa ahwaal ka bayan tha isliye Huzoor ki tashreef aawari aur Aap ka wajoode mubarak hi un kitaabo ki tasdeeq hai to haal uska muktaji tha ki Huzoor ki aamad par Ahle Kitaab ka Imaan apni kitabo ke saath aur zyada pukhta hota magar uske bar’aqs unhone apni kitabo ke saath bhi kufr kiya Suddi ka qaul hai ki Jab Huzoor ki tashreef aawari huwi to yahood ne tauret se muqabla karke Tauret wa Quraan ko mutabik paaya to Tauret ko bhi chhor diya.
3⃣ Yaani Is kitaab ki taraf  be-iltefaati ki sufiyan ibne ainiya ka qaul hai ki yahood ne Tauret ko hareer wa deeba ke reshmi gilafo mein zar wa seem ke saath mutalla wa muzayyan karke rakh liya aur uske ahkaam ko na maana.
4⃣ In Aayaat se maloom hota hai ki Yahood ke chaar firqe the ek Tauret par Imaan laaya aur usne uske Huqooq ko bhi adaa kiya ye Momineen Ahle Kitaab hai Unki taadad thodi hai aur Aqs-ruhoom se unka pata chalta hai doosra firqa jisne bil-ailaan Tauret ke ahad tode uske hudood se bahar huwe sarkashi ikhtiyar ki, teesra firqa wo jisne Ahad shikani ka ailan to na kiya lekin apni jahalat se ahad shikani karte rahe, aur chouthe firqe ne zaahiri taur par to Ahad maane aur baatin mein bagawat wa Ainaad se mukhalafat karte rahe ye tasannu’a se jaahil bante the.

Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

0 comments:

Post a Comment