بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 103 & 104
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur agar woh imaan laate.
2⃣ Aur parhezgaari karte to Allah ke yahañ ka sawab bohat accha hai kisi tarah unhe Ilm hota, Aye Imaan Waloñ.
3⃣ Raaeena na kaho aur yuñ arz karo ki Huzoor hum par Nazar rakhe aur pehle hi se bagaur suno.
4⃣ Aur Kafiro ke liye dardnaak azaab hai.
▶ Tafseer
1⃣ Hazrate Sayyade Qayinaat ﷺ aur Quraan paak par.
2⃣ Shaane Nuzool jabh Huzoor Aqdas ﷺ sahaba ko kuch taleem wa talkeen farmate to woh kabhi kabhi darmiyan mein arz kiya karte Raayina Ya RasoolAllah ﷺ iske ye maana the ki Yaa RasoolAllah hamare haal ki riaayat farmaiye yaani Kalame Aqdas ko acchi tarah samajh lene ka mauqa dijiye yahood ki lugaat mein ye kalima soo e adab ke maana rakhta tha unhone is niyyat se kehna shuru kiya Hazrate Sa’ad Bin Ma’az رضي الله عنه yahood ki istilaah se waaqif the Aapne ek roz yeh kalima unki zabaan se sunkar farmaya Aye Dushmanane Khuda tum par Allah Ki Laanat agar maiñ kisi ki zabaan se ye kalima suna to uski gardan maar dunga yahood ne kaha hum par to Aap beraham hote hai Musalman bhi to yahi kehte hai is Aap ranzeeda ho kar Khidmate Aqdas mein haazir huwe hi the ki ye Aayat Naazil huwi jisme Raayeena kehne ki mumana’at farma
di gayi aur is maana ka doosra lafz Unzurna kehne ka hukm huwa.
▶ Masla – Isse Maloom huwa ki Ambiya ki taazeem wa tauqeer aur unki janaab mein kalimaate adab arz karna farz hai jis karlima mein tarqe adab ka shaeeba bhi ho wo zabaan par laana mamnu’a hai.
3⃣ Aur Hama Tan Gosh ho jao taaki ye arz karne ki zarurat hi na rahe ki Huzoor ﷺ tawajjoh farmaye kyuki darbare Nabuwwat ka yahi Adab hai.
▶ Masla – Darbare Ambiya mein Aadmi ko adab ke aala maratib ka lihaaz laazim hai.
4⃣ Ishaara hai ki Ambiya Alaihimus Salaam ki janaab mein be adabi kufr hai.
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
fb.me/kanzul.imaan.group

0 comments:
Post a Comment