بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 143
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur baat yuñ hai ki hum ne tumhe kiya sab ummato mein afzal ki tum logo par gawah ho.
▶ Tafseer
1⃣ Duniya wa Aakhirat mein.
▶ Masla- Duniya mein to yeh ki musalman ki shahadat momin kaafir sab ke haq mein shara’an motebar hai aur kaafir ki shahadat musalman par motebar nahi.
▶ Masla- Isse ye bhi maloom huwa ki is Ummat ka Ijma’a hujjat laazimul Qubool hai.
▶ Masla – Amwaat ke haq mein bhi iss Ummat ki shahadat motebar hai Rehmat wa Azaab ke farishte uske mutabiq amal karte hain sihah ki Hadees mein hai ki Sayyade Aalam ﷺ ke saamne ek janaza guzra sahaba ne uski taarif ke Huzoor ﷺ ne farmaya waajib huwi phir doosra janaza guzara sahaba ne uski burayi ki Huzoor ﷺ ne farmaya waajib huwi Hazrate Umar رضي الله عنه ne dariyaaft kiya ki Huzoor Kya cheez waajib huwi farmaya pehle Janaza ki tumne taarif ki uske liye Jannat waajib hui aur doosre ki tumne burayi bayan ki uske liye Dozakh waajib huwi tum Zameen mein Allah ke shohda (gawah) ho phir Huzoor ﷺ ne ye Aayat tilawat farmayi.
▶ Masla- Ye tamaam Shahadate Sulha E Ummat aur Ahle Sidq ke saath khaas aur unke motebar hone ke liye zabaan ki Nigahdaasht shart hai jo log zabaan ki ehtiyaat nahi karte aur bejaa khilafe shara’a kalimaat unki zabaan se nikalte hai aur naa haq laanat karte hai Sihah ki Hadees mein hai ki roz e qayamat na wo Shafe’a honge na Shaahid is ummat ki ek shahadat yeh bhi hai ki aakhirat mein jab tamaam awwaleen wa aakhireen jamaa honge aur kuffar se farmaya jayega kya tumhare paas meri taraf se darane aur ahkaam pahuchane wale nahi aaye to woh inkaar karenge aur kahenge koi nahi aaya Hazraate Ambiya se dariyaft farmaya jaaega woh arz karenge ki ye jhoot hai Humne inhe tableeg ki is par unse iqamat Li Hujjat daleel talab ki jaayegi wo arz karenge ki ummate Muhammediya hamari shaahid hai yeh ummat Paigambaro ki shahadat degi ki in hazraat ne tableeg farmayi is par guzishta ummat ke kuffar kahenge unhe kya maloom hum se baad huwe the dariyaaft farmaya jayega tum kaise jaante ho ye arz karenge. Ya Rab tune Hamari taraf Apne Rasool Muhammed Mustafa ﷺ ko bheja Quraan paak naazil farmaya unke zariya se hum qatayi wa yaqeeni taur par jaante hain ki Hazraate Ambiya ne farz tableeg Alaa wajhil kamaal adaa kiya phir Sayyade Ambiya ﷺ se Aap ki ummat ki nisbat dariyaft farmaya jaaega Huzoor ﷺ unki tasdeeq farmayenge.
▶ Masla – Isse maloom huwa ki Ashiya e Ma’aroofa mein Shahadat tasamu’a ke saath bhi motebar hai yaani jin cheezo ka ilm yakeeni sunne se haasil ho us par bhi shahadat di jaa sakti hai.
〰〰 to be contd....
fb.me/kanzul.imaan.group

0 comments:
Post a Comment