Sunday, October 25, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 442

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 130

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Ibrahim ke deen se kaun muñh fere
2⃣ Siwa uske jo dil ka ahmak hai beshak zaroor humne duniya mein ussey chun liya.
3⃣ Aur beshak wo aakhirat mein hamare khaas qurb ki qubooliyat waloñ mein hai.

Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool aulma e yahood mein se Hazrate Abdullah Bin Salaam ne islaam lane ke baad apne do bhatijo Muhajeer wa Salma ko Islam ki dawat di aur unse farmaya ki tumko maloom hai ki Allah Ta’ala ne Tauret mein farmaya hain ki Maiñ Aulade Ismail se ek Nabi paidah karuñga jiska naam Ahmed hoga jo un par Imaan laaega raahyaab hoge jo un par Imaan na laaega mal’oon hai ye sunkar Salma رضي الله عنه Imaan le aaye aur muhajeer ne Islam se inkar kar diya is par Allah Ta’ala ne yeh Aayat naazil farma kar zaahir kar diya ki Jab
Hazrate Ibrahim عليه السلام ne khud is Rasoole Muazzam ke Mab’oos hone ki dua farmayi to jo unke deen se phire wo Hazrate Ibrahim عليه السلام ke deen se phira isme yahood wa nasaara wa mushrikine arab par ta’areez ( ishara ) hai jo apne aapko iftekharan Hazrat Ibrahim عليه السلام ki taraf mansub karte the jab unke deen se phir gaye to sharafat kaha rahi.
2⃣ Risalat wa Khullat ke Saath Rasool wa Khaleel Banaya.
3⃣ Jinke liye buland darje hai to jabh Hazrat Ibrahim عليه السلام karamat daarain ke Jame’a hai to unki tareeqat wa millat se phirne wala zaroor naadan wa ahmak hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

0 comments:

Post a Comment