Sunday, November 1, 2015

Maah e Ramzaan #462

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


Nabi e kareem rauf o raheem ﷺ irshad farmate hai jab Eid-ul-Fitr ka din aata hai to farishte chauraaho par khade ho jaate hai aur nida dete hai.

“ Aye Musalmaano ki jamaat! Rabb e Kareem ki jaanib chalo jo khair se nawazta hai. Yakeenan tumhe raat ko ibadat karne ka hukm diya gaya to tumne ibadat ki aur roza rakhne ka hukm diya gaya toh tumne roze rakhe. Tumne apne Rabb ki itaa'at ki ab apne ina'maat haasil karlo. ”

Phir jabh log namaaz e eid ada karte hai to ek aawaz dene wala aawaz deta hai, “ Beshak tumhare parwardigaar ne tumhe baksh diya ab tum apne ghar laut jao iss haal mein ke tum hidaayat waale ho ke ye yaum al jaaza (inaam ka din) hai aur aasmaan mein iss din ko yaum ul jaza kaha jaata hai. ”

#Muaz'zam Al Kabeer Lil Tabraani. Hadees Shareef No- 616.



⏩ Ramazaan ul Mubarak ke aakhri jummah mein kuch log ba-jamaat Qazaa e Umri parhte hai aur samajte hai ke umar bhar ki Qazaa nNamaaze issi ek namaaz se adaa ho gayee ye batil mahaz hai, yani jhoothi baat hai. Haalañki yeh baat bhi galat hai aur Nafl namaz ki jamaat bhi nahi ho sakti wo Makrooh hai.
▶ Hazrat Mufti Ahmad yaar khan ﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴْﻪ farmate hai Alwada jummah ke baad wa Namaz Asr se pehle 12 rakat nafl 2-2 ki niyat se parhe har do rakat mein surah fatiha ke baad ek baar Ayatul Kursi aur 3 baar Surah Ikhlas parhe, ek baar Surah Falaq aur ek baar Surah Naas parhe.
▶ Iska fayda yeh hai ki jis kadar namazein kisi ne qazaa karke parhi hongi unke qazaa karne ka gunah In Sha Allah muaaf ho jayega. Ye nahi ke qaza namaazein iss se muaaf ho jaaengi balki woh to parhne se hi adaa hoñgi.

#Islami Zindagi.

▶ Lihaza phir ek baar gaur karey ke iss Nafl Namaz ki barkat se jo Namaz Qazaa huwi hai uska jo gunah huwa hai woh In Sha Allah Muaaf ho jaaega magar jo namaze Qazaa huwi hai woh muaaf nahi huwi hai, woh har soorat mein Qazaa kar ke Adaa karni hai.



fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

0 comments:

Post a Comment