بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
〰 Contd Post #456.
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 145 & 146
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
4⃣ Aur {Aye Sunne wale kase baashad (Sunne wala koi bhi ho)} agar tu unki khwahisho par chala baad iske ki tujhe Ilm mil chuka to us waqt to zarur sitamgaar hoga jinhe humne kitab ataa farmayi.
5⃣ Woh us Nabi ko aisa pehchaante hai jaise aadmi apne beto ko pahchanta hai.
6⃣ Aur beshak unme ek garoh jaan bujhkar Haq chhupate hai.
▶ Tafseer
4⃣ Yaani aulma e yahood wa nasara.
5⃣ Matlab yeh hai ki qutoobe saabika mein Nabi e Aakhiruz-zama Huzoor Sayyade Aalam ﷺ ke Ausaaf aise waazeh aur saaf bayan kiye gaye hai jinse aulma e ahle kitaab ko Huzoor ﷺ ke khaatamul Ambiya hone mein kuch shak wa shubaha baaki nahi reh sakta aur wo Huzoor ﷺ ke us mansabe Aali ko atam yakeen ke saath jaante hai, ahbaar yahood mein se
Abdullah Bin Salaam musharraf ba-islam huwe to Hazrat Umar رضي الله عنه ne unse dariyaft kiya Aayat Ya’arif –Nooh mein jo ma’arefat bayaan ki gayi hai uski kya shaan hai unhone farmaya ki Aye Umar! Maiñ Huzoor ﷺ ko dekha to be ishtebaah pehchan liya aur mera Huzoor ﷺ ko pehchanna apne beto ke pehchanne se badarjaha zyada atam wa akmal hai. Hazrate Umar رضي الله عنه ne farmaya yeh kaise unhone kaha maiñ gawahi deta hu ki Huzoor ﷺ Allah ki taraf se bheje Rasool hai unke ausaaf Allah Ta’ala ne hamari kitaab tauret mein bayan farmaye haiñ bete ki taraf se aisa Yakeen kis tarah ho aurato ka haal aisa qatayi kis tarah maloom ho sakta hai Hazrate Umar رضي الله عنه ne unka sar choom liya.
▶ Masla- Isse maloom huwa ki gair mahal shahwat mein deen muhabbat se peshani chumna jaiz hai.
6⃣ Yaani Tauret wa Injeel mein jo Huzoor ﷺ ki naat wa sifa’at hai aulma e ahle kitaab ka ek garoh usko hasadan wa ainadan deeda wa danisht chhupata hai.
fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in/

0 comments:
Post a Comment