Sunday, November 1, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 465

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 154

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur jo Khuda ki raah mein maare jaaye unheiñ murda na kaho.
2⃣ Balki woh zinda hai, Haa tumhe khabar nahi.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool yeh Aayat Shohda e Badr ke haq mein naazil huwi log Shohada ke haq mein kehte they ki falaañ ka inteqaal ho gaya woh dunyawi aasaeesh se mehroom ho gaya unke haq mein Aayat naazil huwi.
2⃣ Maut ke baad hi Allah Ta’ala shohada ko hayaat ata farmata hai unki arwaah par rizq pesh kiye jaate hai unheiñ rahate di jaati hai unke Amal jaari rehte hai ajr wa sawaab barhta retha hai. Hadees Shareef mein hai ki Shohada ki Roohe sabz parindo ke kaalib mein jannat ki sair karti aur waha ke mewe aur Nea’mate khati hai.
▶ Masla- Allah Ta’ala ke farmabardar bando ko Qabr mein jannat ki nea’mate milti hai shaheed woh musalman mukallah zaahir hai jo tez Hathiyaar se zulman maara gaya ho aur uske qatl se maal bhi waajib na huwa ya ma’arkae jung mein murda ya zakhmi paaya gaya aur usne kush aasaeesh na paayi us par duniya mein ye ahkaam hai ki na usko gusl diya jaaye na unko kafan, apne kapdo mein hi rakha jaaye usi tarah us par namaz parhi jaaye usi halat mein dafan kiya jaaye Akhirat mein shaheed ka bahot bada rutba hai baaz Shohda woh hai ki un par duniya ke yeh ehkaam jaari nahi hote lekin Aakhirat mein unke liye Shahadat ka darja hai jaise doob kar ya jal kar ya deewar ke niche dab kar marne wala, talabe Ilm, safare Hajj, garze raahe khuda mein marne wala aur nifaas mein marne wali aurat aur peit ke marz aur taoon aur jatuljanaib aur seel mein aur jummah ke roz marne wale waghaira.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

0 comments:

Post a Comment