Wednesday, February 24, 2016

Hadees e Mubaraka#539

SHARE
JO NA KARE IZZAT AUR MUHABBAT HAZRAT USMAN GANI رضي الله عنه SE,
WOH JAYEGA KAHA BACH KE ALLAH ﷻ KI NARAZGI SE.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #539.

Hazrat e Jabir رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ki khidmat e aqdas mein ek shakhs ka janaza laaya gaya ke Aap ﷺ uski namaz e janaaza padhaye RasoolAllah ﷺ ne uss shakhs ki namaz e janaaza padhne se inkaar farmaya, Sahaba e kiram رضي الله عنهم ne arz kiya Yaa RasoolAllah ﷺ humne aapko isse pehle kisiki namaz e janaaza tark farmate huwe nahi dekha, Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ yeh shakhs Usman e Gani (رضي الله عنه) se bugz rakhta tha, Allah Ta'ala ne iss shakhs ko sakth na pasand farmaya.

#Tirmizi Shareef Abwaab ul Munaaqib Hadees No. 3709.

0 comments:

Post a Comment