Thursday, March 31, 2016

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #676

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #676

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Beemar ko Tandrust karne ka bayaan.
▶ Istiskaa ke Mareezo ko Shifa dena.

Shaikh Khizr Al-Hussaini Mausli رحمة الله عليه bayan karte hai ki maiñ 13 saal Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله ki khidmat mein raha aur bahot si karamaat dekhta raha in karamato mein se ek azeem karamat yeh thi ki jabh hakeem kisi mareez se aajiz aa jate aur jawab de dete to us mareez ko aap ki Khidmat e Aqdas mein laaya jaata Aap uske jism par haath phair kar dua farmate aur woh mareez fauran shifayaab ho jaata chunache ek baar khalifa Mustanjid Billah ka ek kareebi Azeez Istiskaa ke marz mein mubtila huwa usko Aap ke paas laaya gaya uska peit paani pite pite phool gaya tha jabh uske peit par Gauz e Aazam ne haath phaira to is tarah dab gaya jaise usko yeh marz tha hi nahi.

Ek baar Abul Mu-Aali Baghdaadi ne Aap se arz kiya ki mera baccha Muhammed 15 mahino se bukhar mein mubtila hai aur kisi waqt bhi bukhar kam nahi hota Aap ne farmaya uske kaan meiñ keh do
"Aye Umme Muldin! Shaykh Abdul Qaadir Ne Hukm Diya Hai Ki Mere Bacche Par Se Hila Ki Taraf Chala Jaa"
Abul Muaali ne Gause Aazam ke kehne par amal kiya aur bacche ka purana bukhar jaata raha.

▶ Tashreeh - Aaj ki zindagi mein jabh ki Homeopathy, Unaani wagairah urooj par hai phir bhi bahot si aisi beemariya hai jinka ilaaj nahi hai lekin Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه Apni karamat se laa-ilaaj mareezoñ ko tandrust farmate jaisa ke upar bayan ki gayi karamat hai.

Ranjo alam kaseer haiñ Ya Gaus Al Madad ..
Hum aajizo Aseer haiñ Ya Gaus Al Madad...

Hadees e Mubaraka #676

YA RAB HUM SABKO AZAAB SE BACHA,
BURAI KO ROKNE KI TOUFIQ KAR ATAA,
ZULM KE KHILAF HAR MOMIN HO KHADA,
ILAAHI HUM SAB PAR TU RAHEM FARMA
آمین

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 676
8 Jamadil Awwal 1437 Hijri.

Huzoor Sayyed e Aalam Noor e Mujassam ﷺ irshad farmate haiñ log agar buri baat dekhein aur usko naa badlein to kareeb hai ke Allah Ta'ala unpar aisa azaab bhejega jo sabko ghair lega.

#Tirmizi Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #675

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #675

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 48 & 49.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Allah use sikhayega kitaab aur hiqmat aur Tauret aur Injeel, Aur Rasool hoga Bani Israeel ki taraf yeh farmata huwa ki maiñ tumhare paas ek nishani laaya hu.
2⃣ Tumhare Rab ki taraf se ki maiñ tumhare liye mitti se parind ki si moorat banata hu aur phir usme phooñk maarta hu to woh fauran parind ho jaati hai Allah ke hukm se.

▶ Tafseer
1⃣ Jo mere daawa e Nabuwwat ke sidq ki daleel hai.
2⃣ Jabh Hazrate Isaa عليه السلام ne nabuwwat ka daawa kiya aur moujezaat dikhaye to logoñ ne darkhwast ki Aap ek chamgaadad paida kare Aap ne mitti se chamgaadad ki soorat banayi phir usme phooñk maari to woh udne lagi chamgaadad ki khusoosiyat yeh hai ki woh udne waale jaanwaroñ mein bahot akmal aur ajeeb tar hai aur qudrat par dalalat karne mein auroñ se ablag kyuñki woh baghair paro ke to udti hai aur daañt rakhti hai aur hasti hai aur uski maada ke chaati hoti hai aur baccha janti hai bawajood ke udne waale jaanwaroñ meiñ yeh baate nahi hai.

〰〰 to be contd.

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #675

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #675

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Beemar ko Tandrust karne ka Bayaan
▶ Taaoon ke Mareezo ko Shifa dena.

EK martaba Baghdad Shareef mein Taaoon is kasrat se huwi ki rozana hazaaro log marne lage logoñ ne Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه se is baat ki shikayat ki to Aapne farmaya, hamare Madarse ki Ghaas kootkar mareezo ko khilai jaaye, Allah Ta'ala uski barkat se shifa dega, aur Taaoon ki beemari jaati rahegi. Logoñ ne Aapke hukm ki taameer ki, mareez shifa paane lage mareezoñ ki zyada tadaad ki wajah se Aapne farmaya jo hamare madarse ka ek katra paani pee lega usse bhi shifa hogi logoñ ne Aapke Madarse ka paani pee kar Shifa-e-Kaamil haasil ki aur Taaoon ka marz jaata raha aur Aapke zamane mein yeh beemari dobara nahi aayi.

#Tafrihul Khatir, Safah 78.

▶ Tashreeh - Aap ke Madarse ki ghaas aur paani mein bhi Allah Ta'ala ne shifa rakhi hai Aapne ek maqaam par farmaya ki jo shakhs mere Madarse se ho kar guzar jaaye us par dozakh ki aag haraam hai, Aap ke madarse ki be shumaar barkatein hai.

Ye aisa hai ki jaise Sayyade Aalam ﷺ ne farmaya ki meri qabr aur mimbar ke darmiyan jo jagah hai woh Riyaze Jannat hai yaani Jannat ki Kiyaari jo Riyazul Jannat mein pahuch gaya woh goya jannat mein pahuch gaya.

Aseeroñ ke mushkil khusha Gaus e Aazam
Fakeeroñ ke haajat rawaa Gaus e Aazam.

Is taraf Rauze ka Noor us samt mimbar ki bahaar,
Beech mein Jannat ki pyari pyari kyari wah wah..

Hadees e Mubaraka #675

WA AHSANO MINKA LAM TARA QATTO AYNI
WA AJMALO MINKA LAM TALIDIN NISA'OO
KHULIQTA MUBARRA'AN MIN KULLEY AIBIN
KA ANNAKA QAD KHULIQTA KAMA TASHA'OO
وأحسن منك لم ترقط عيني

وأجمل منك لم تلد النساء

خلقت مبرأ من كل عيب

كأنك قدْ خلقت كما تشاء
~Sahabi e Rasool Hazrat e Hassan bin Saabit رضي الله عنه

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 675
7 Jamadil Awwal 1437 Hijri.

Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ tamam logoñ mein sabse zyada haseen o jameel haiñ aur sabse zyada bahadur aur sabse zyada sakhee haiñ.

#Bukhari Shareef, Hadees No 2820.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #674

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #674

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 47

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Boli aye mere Rab mere baccha kahañ se hoga mujhe to kisi shakhs ne haath na lagaya, Farmaya Allah yuñ hi paida karta hai jo chaahe jabh kisi kaam ka hukm farmaye to usse yahi kehta hai ki ho jaa wo fauran ho jaata hai.

▶ Tafseer
▶ Aur dastoor yeh hai ki bacha aurat aur mard ke ikhtilaat se hota hai to mujhe bacha kis tarah ataa hoga Nikah se yaa yuñ hi baghair mard ke.

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #674

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #674

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Murde ko zinda karne ka bayan.
▶ Bhooni huwi Murgi ko Zinda Karna.

Shaikh Abu Abdullah Muhammed Bin Abi Al-Majaali Bin Qaid Abaani رحمة الله عليه se manqul hai ki aapne farmaya ki ek Aurat Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ki khidmat mein apna ladka laayi aur kehne lagi ki maiñ is ladke ka dil dekhti hu ki Aapki taraf bahot ta'alluq rakhta hai maiñ Allah Ta'ala ke liye aur aap ke liye apne haq se darguzar karti hu tabh Aapne usko Qubool kiya aur usko mujahida aur riyazat ke tareeqe par chalne ki talqeen ki phir ek roz jabh uski waalida apne ladke se milne aayi to dekha ki woh bhook aur bedaari (Jaagne) ki wajah se zard rang ka ho raha hai aur Jau ka tukda kha raha hai phir woh Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ki khidmat mein haazir huwi to Aap ke saamne bhooni huwi murgi ki haddiya padi thi jo ki aap abhi khakar faarig huwe the usne kaha Aye Mere Sardar! Aap khud to murgi khate hai aur mera beta jau ki roti khata hai tabh Aapne apna mubarak haath un haddiyo par rakha aur farmaya ki us Allah ke hukm se zinda ho ja jo ki un haddiyo ko zinda karega jo ki purani ho chuki hongi ussi waqt woh murgi khadi ho gayi aur chillai tabh Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ne farmaya jabh tera beta is darje par pahuch jaayega to jo chaahe khaye.

#Bahjatul Asraar, Safa 199.

▶ Tashreeh - Murde ko zinda karna waise hi bada kamaal hai aur isse bhi badhkar us murde ko jiski sirf haddiya reh gayi ho jaise bhooni huwi murgi ki jiska gosht khatam ho chuka tha use asli haalat mein laana aur zinda karna aap ki azeem karaamat hai.

▶ Qasida E Gausiya meiñ Sayyiduna Gause Aazam رضي الله عنه ne farmaya jiska tarjuma aisa hai,

"Agar Maiñ apne raaz murde par daalu to woh fauran Allah Ta'ala ki qudrat se khada ho aur chalne lage "

#Mazhare Jamaale Mustafai, Safa 113, Sher 15.

Hadees e Mubaraka #674

TUNE DI MUJH KO NE'AMATE ISLAAM
PHIR JAMA'AT MEIN LE LIYA YA RAB
MUJHE DONOÑ JAHAAÑ KE GAM SE BACHA
SHAAD RAKH SHAAD DAAIMA YA RAB

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #674
6 Jamadil Awwal 1437 Hijri.

Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ momin ki bhi ajeeb shaan hai ke uski har haalaat uske liye behtar hai aur yeh sirf momin ki hi khususiyat hai. Agar usse aaram aur raahat pahuche aur woh uspar shukr adaa karey to yeh aaram aur raahat uske liye khair o barkat ka baais hai, aur usse takleef pahuche aur woh uspar sabr karey to yahi takleef bhi uske liye khair o barkat ka movvajjib hai.

#Muslim Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #673

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #673.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 46

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur logoñ se baat karega paalne meiñ.
2⃣ Aur Pakki umr mein, aur Khaaso mein hoga.

▶ Tafseer
1⃣ Baat karne ki umr se qabl.
2⃣ Aasmaan se nuzool se baad is Aayat se saabit hota hai ki Hazrate Isaa عليه السلام aasmaan se zameen ki taraf utarenge jaisa ki Ahaadees mein waarid huwa hai aur dajjal ko qatl karenge.

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #673

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #673.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Murde ko zinda karne ka bayan.
▶ Musalman aur Isaai ke Jhagde par murde ko zinda karna.

Naql hai ki Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ek Mohalle se Guzre to dekha ki ek musalman aur ek isaai aapas mein jhagad rahe the, Aapne wajah puchi to musalman ne kaha yeh isaai kehta hai ki Hazrate Isaa عليه السلام tumhare Nabi e Kareem ﷺ se Afzal hai Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ne isaai se pucha tum kis darje mein afzal kehte ho? Usne kaha ki Isaa عليه السلام murdo ko zinda kiya karte the. Aapne farmaya ke Maiñ Sayyide Aalam ﷺ ka ummati hu agar maiñ murde ko zinda kardu to phir Nabiye Kareem ﷺ ki afzaliyat ko tasleem kar lega, to usne kaha zaroor. Phir aapne usse kaha ki qabristaan mein koi purani qabr bata jiske murde ko maiñ zinda karu aur murda jo duniya mein kaam karta tha usko batata huwa uthe. Usne ek purani qabr ki taraf ishara kiya aur Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ne farmaya,"KUM BI-IZNILLAH" to qabr fati aur murda zinda ho kar gaata huwa bahar nikla (duniya mein woh gayak tha), yeh karamat dekh kar isaai musalmaan ho gaya.

▶ Tashreeh - Ye karamat Sayyide Aalam ﷺ ke mojizaat ki is qaabil se hai jisme Aaqa ﷺ ne murde ko zinda farmaye. Riwayat mein hai ke Huzoor ﷺ ne ek shakhs ko Islaam ki dawat di to usne kaha maiñ us waqt tak Imaan nahi launga jabh tak meri beti jo mar chuki hai usse aap zinda na farmaye Sarkar ﷺ ke farmaan ke mutabiq usne apni beti ki qabr dikhayi aur Aapne ﷺ us ladki ko aawaz di, ladki ne jawab diya, "LABBAIK WA SAA'ADAIK " Yaani main haazir hu farmabardaar ho kar. Aapne ﷺ farmaya kya tu duniya mein dobara aana pasand karegi to usne kaha Ya Rasoolullah ﷺ maiñe apne Rab ko apne Maa-Baap se zyada meharbaan paaya.

#Madarijun Nubuwwat, Hissa 1, Safah 359.

Koi unke rutbe ko kya jaanta hai,
Muhammed ﷺ ke hai Jaanasheeñ Gause Aazam..

Hadees e Mubaraka #673

ALHAMD FAATEHA HAI QURAAN E KAREEM KA
LAA RAIB HAR WARAQ HAI ALIF LAAM MEEM KA
KAISE KARU MAIÑ SHUKR GHAFOOR UR RAHEEM KA
IRFAAN MUJHKO BAKSHA RASOOL E KAREEM ﷺ KA

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #673
5 Jamadil Awwal 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Qatada رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Sarwar e Qaunain ﷺ se peer ke din ke roze ke baarein mein pucha gaya toh apne farmaya ki isi din Meri paidaish huwi aur isi din se Mere upar Nuzul e Quraan ki ibtida huwi.

#Muslim Shareef, Jild 1.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #672

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #672.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 45.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur yaad karo jabh Farishtoñ ne Mariyam se kaha Aye Mariyam Allah tujhe basharat deta hai apne paas se ek kalima ki.
2⃣ Jiska naam hai Maseeh Isaa Mariyam ka beta Roo'daar hoga.
3⃣ Duniya aur aakhirat mein qurb wala.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani ek farzand ki.
2⃣ Saahibe Jaah wa manzilat.
3⃣ Baargahe Ilaahi mein.

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #672

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #672.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Murde ko zinda karne ka bayan.
▶ 12 Saal Baad Doobi Baraat Ko Zinda Nikaalna.

Naqal hai Ki Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه Ek dariya ke paas se guzar rahe the ki us dauran chand auratein paani bharne ke liye aayi aur wapas jaane lagi lekin ek budhiya ne apna bartan bharkar zameen Par rakh diya aur dariya ke kinare khade ho kar rone lagi. Aapne uski haalat dekhi aur uska haal maloom kiya to usne bataya ki uska ek beta tha jiski shaadi karke baraat ke saath wapas aa rahi thi ki dariya mein bhanvar aa gaya aur kishti tamaam baraatiyoñ samet doob gayi siwaye us budhiya ke aur koi zinda nahi nikla is waaqiye ko 12 baras ho gaye. Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ne farmaya ke tera ladka apni dulhan aur baraatiyoñ ke saath zinda ho kar aa jayega. Aapne yeh farmaya ke achanak dariya mein tugyaani paida huwi aur us jagah kishti namoodar huwi jis jagah doobi thi aur us budhiya ka Beta apni Biwi aur Baratiyoñ ke saath ussi shaan wa shaukat se sahi salamat baahar nikal aaya. Yeh Karamat dekh kar sab hairan reh gaye baad mein Dulha Aap ka Mureed ho gaya aur Khilafat bhi haasil ki unka mazaar Gujrat mein hai aur Shah Dulha Dariyaai Ke naam se mash'hoor hai.

▶ Tashreeh - Tafseere Naeem mein Allama Sahab ne Jild Duwwam, Surah Maaidah, Aayat No. 110 Ke baare mein likha hai ki Allah Ta'ala apne maqbool bando ki duaein ya unke mojizaat wa karaamaat se logoñ ko dobara umr deta hai jo pehle apni umr puri karke mar chuke the.

Nikaala hai pehle to doobe huwoñ ko,
Aur ab dubtoñ ko bacha Gaus e Aazam..

Hadees e Mubaraka #672

NAFS E BADKAAR NE DIL PAR YEH QAYAMAT TODI
AMAL E NEK KIYA BHI TOH CHHUPANE NA DIYA

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #672
4 Jamadil Awwal 1437 Hijri.

Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ jis shakhs ne iss garz se ilm talab kiya ke uske zariye se Aulma ka muqabla karey, yaa jhalioñ ke saath jhagda karey, yaa apne ilm ke zariye logoñ ko apni jaanib muttawajjeh karle to aise shakhs ko Allah Ta'ala dozakh mein dakhil karega.

#Tirmizi Shareef, Abwaab ul Ilm, Hadees No 2866.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #671

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #671.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 43 & 44

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aye Mariyam apne Rab ke huzoor Adab se khadi ho.
2⃣ Aur uske liye Sajdah kar aur ruku waaloñ ke saath ruku kar, Yeh gaib ki khabare hai ki hum khufiya taur par tumhe batate hai.
3⃣ Aur tum unke paas na the jabh woh apne kalmo se Qurr'aa daalte the ki mariyam kiski parvarish meiñ rahe aur tum unke paas na the jabh woh jhagad rahe the.

▶ Tafseer
1⃣ Jabh Farishtoñ ne yeh kaha Hazrate Mariyam ne itna taweel qayaam kiya ki aap ke qadame mubarak par waram aa gaya aur paañv kat kar khoon jaari ho gaya.
2⃣ Is Aayat se maloom huwa ki Allah Ta'ala ne apne Habeeb ﷺ ko gaib ke uloom ataa farmaye.
3⃣ Bawajood iske aapka un waaqiyaaat ki ittell'a dena daleele qawi hai iski ki aap ko gaibi uloom ataa farmaye gaye.

Karamate Huzoor Gaus e Aazam #671

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #671.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Taqdeer badalne ka bayan.
▶ Mardood ko maqbool banana.

Nakal hai ki sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ke zamaane mein ek wali ki wilayat khatm hogayi aur sabh unhein mardood kehne lage Unhone 308 Auliya-e-Kaamileen se iltija ki aur sabh ne unke liye Allah Ta'ala ki baargah mein sifarish ki lekin kisi ki sifarish qubool na huwi, unhone uska naam Lohe Mahfuz mein Ashkiya ki fehrist mein dekha to use khabar di ki tum kabhi falah naa paa sakoge phir unka chehra syaah yaani mayus ho gaya, Aakhirkar wah Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ki baargaah e Aqdas mein haazir huwe, Aapne farmaya agar tu mardood hogaya hai to Maiñ khudaye buzurg ke izn se maqbool bana sakta hu. Phir Aapne uske liye dua ki, Gaib se nida aayi kya tum nahi jaante ki 308 Auliya ne uske liye sifarish ki thi Maiñ uska naam lohe Mahfuz mein shaki badbakht likh chuka hu.

Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ne arz kiya, Ilaahi! Tu mardood ko maqbool aur maqbool ko mardood banane par Qaadir hai. Nida aayi Aye Abdul Qaadir! usse Maiñe tere supurd kar diya jo chahe bana de Tumhara Mardood mera mardood aur tumhara maqbool mera maqbool hai.

#Tafrihul Khatir, Safah 48.

▶ Tashreeh : Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ko Auliya mein yeh Maqaam haasil hai ke atal Taqdeer ko bhi maqaame mahboobiyat mein tabdeel karwa dete hai.

سبحان الله سبحان الله

Hai qismat meri tedhi Tum seedhi kardo,
Nikal jaayeiñ sab pech o kham Gaus e Aazam..

Hadees e Mubaraka #671

AISOÑ KO NEA'MAT KHILA DOODH KE SHARBAT PILA
AISOÑ KO AISI GIZA TUMPE KAROROÑ DAROOD

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #671
3 Jamadil Awwal 1437 Hijri.

Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ tum jo kuch kharch karte ho jisse tumhara maqsood Raza e Ilahi ho, to tumhein uspar ajr diya jaata hai, yahañ tak ke tum apni biwi ke muñh mein jo luqma daalte ho uspar bhi tumhein ajr diya jaata hai.

#Bukhari Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #670

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #670.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 669.
Surah Aale Imran
Aayat No. 41 & 42.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
3⃣ Aur kuch din rahe aur tadke uski paaki bol, aur jabh Farishtoñ ne kaha Aye Mariyam beshak Allah ne tujhe chun liya.
4⃣ Aur khoob suthra kiya.
5⃣ Aur aaj saare jahaañ ki auratoñ se tujhe pasand kiya.

▶ Tafseer
3⃣ Ki bawajood aurat hone ke Baitul Muqaddas ki khidmat ke liye chhun liya aur yeh baat unke siwa kisi aurat ko mayassar na aayi isi tarah unke liye jannati rizq bhejna Hazrate Zakariya ko unka kafeel banana Ye Hazrate Mariyam ki barguzidgi hai.
4⃣ Mard rasidgi se aur gunahoñ se aur baqaul baaze zanane awaariz se.
5⃣ Ki baghair baap ke beta diya aur Malayka ka kalaam sunwaya.

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #670

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #670.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ka ye mashoor irshad e paak hai ki jab tak kisi mein ye 12 khaslate naa paida ho jaaye usko peer bana kar peero ki gaddi par baithna jaiz nahi.

1) Kisi ke Aaibo ko chupana.
2) Reham dili karna.
3) Shafkat karna.
4) Meharbaani karna.
5) Hamesha sach bolna.
6) Haqq bolna.
7) Nek baato ka hukm dena.
8) Buri baato se mana karna.
9) Gareebo ko khana khilana.
10) Ibadat ke liye raatoñ ko jaagna.
11) Zaruriyat e deen ka ilm hasil karna.
12) Sakhawat aur bahaduri ikhteyaar karna.

Aaj ke daur mein peer ke andar upar likhi huwi shartein paayi jaana bahot mushkil ho gaya hai isiliye Aala hazrat رضي الله عنه farmate hai agar yeh 4 sharte bhi paayi jaaye to uss peer se mureed ho sakta hai
1) Peer ka silsila Huzoor ﷺ se mila huwa ho beech mein kahi silsila toot naa gaya ho.
2)Peer sunni sahihul aqeeda ho kyuki badmazhab gumraah ya wahabi ka silsila iblis tak pahuchega Sarkar e Do Aalam ﷺ tak hargiz naa pahuchega.
3) Itna ilm rakhta ho apni zaruriyat ke masaeel khud kitabo se nikal le aur ahle sunnat ke aqeedo se wakif ho.
4) Peer fasik e mo'allin naa ho yaani alal elan peer gunah ke kaam na karta ho jaise namaz naa padhta ho, darhi ek musht se kam rakhta ho ghar ki aurato ko pabandi karata ho qawwali taziya maatam tamam galat kaamo se bachta ho.

#Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Hum Qaadri hai shukr hai Rabbe qadeer ka
Ke daaman hai haath meiñ peerane peer ka

الحمد لله رب العلمين

Hadees e Mubaraka #670

JO AAGE HAI AUR PICHHE BHI
SAB KUCH DEKHTE HAI HAMARE NABI ﷺ
JO HO CHUKA HAI,JO HOGA,
HUZOOR ﷺ JAANTE HAI SABHI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #670.
2 Jamadil Awwal 1437 Hijri.

Hazrat Anas Ibne Maalik رضي الله عنه se riwayat hai Nabi e Kareem ﷺ ne humko ek namaaz padhai phir mimbar par tashrif farma huwe aur namaaz aur ruku ka bayaan kiya aur farmaya ki Maiñ tumko peeche se bhi aise dekhta hu jaise aage se.

#Bukhari Shareef, jild 1, Safah 59.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #669

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #669.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 41 & 42.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Arz ki aye mere Rab mere liye koi nishani kar de.
2⃣ Farmaya teri nishani ye hai ki 3 din tu logoñ se baat na kare magar ishare se aur apne Rab ki bahot yaad kar.

▶ Tafseer
1⃣ Jisse mujhe Apni biwi ke hamal ka waqt malum hota ki maiñ aur zyada shukr wa Ibadat mein masroof hu.
2⃣ Chunanche aisa hi huwa ki Aadmiyoñ ke saath guftagu karne se zabane mubarak 3 roz tak band rahi aur tasbeeh wa zikr par Aap Qaadir rahe aur yeh ek azeem moa'jezaa hai ki jis mein zawareh sahih wa saalim ho aur zaban se tasbeeh wa taqdees ke kalmaat adaa hote rahe magar logoñ ke saath guftagu na ho sake aur yeh Alaamat isliye muqarrar ki gayi ki is Nea'mate Azeema mein adaa e haq mein zaban zikr wa shukr ke siwa aur kisi baat par mashgul na ho.

〰〰 to be contd.

Huzoo Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #669

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #669.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Shaikh Adi Ibne Musfir علیہ رحمۃ ورضوان se riwayat hai ke ek martaba Sarkare Gaus e Pak رضي الله عنه waaz farma rahe the ke achanak barish hone lagi logoñ mein bechaini paida ho gayi to Aapne aasman ki janib chehra mubarak kiya aur barish se mukhatib huwe ke "Maiñ logoñ ko jama karta hu aur tu unhe bikherta hai"
Sarkare Gaus e Aazam رضي الله عنه ka itna farmana tha ke barish majlis e mubarak par bandh ho gayi aur majlis ke bahar shuru rahi.

Issi tarah dariya e dajla mein ek baar bahot bada sailab aaya aur paani barhne laga ke baghdad e muqaddasa dub jaane ka khatra mehsoos huwa log pareshaan ho kar Aapki bargah mein aaye aur arz ki Huzoor tawajjo farmaye to Sarkare Gaus e Aazam رضي الله عنه ne fariyadiyoñ ki fariyad sun kar apna aasa mubarak lekar dariya e dajla pahuche aur uski purani hadd par aasa mubarak gaad diya aur farmaya khabardar aye dariya e dajla isse aage na barhna.

Sarkar Gaus e Pak رضي الله عنه ke iss farman ke baad dariya e dajla ka paani ghatne laga aur purani hadd par aakar behne laga.

#Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Hukm naafiz hai tera khaama tera saif teri,
Damm mein jo chaahe karey daur hai Shaaha tera.

Hadees e Mubaraka #669

AAP SULTAAN E JAHAAÑ HUM BE NAWA
YAAD HUMKO WAQT E NE'AMAT KIJIYE
AAP HUM SE BADHKE HUM PAR MAHERBAAÑ
HUM KAREIÑ JURM AAP REHMAT KIJIYE

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

1 Jamadil Awwal 1437 Hijri.
Hadees e Mubaraka #669

Hazrat e Saad Ibne Ubada رضي الله عنه se riwayat hai ki unhone arz kiya Ya RasoolAllah ﷺ meri maa ka inteqal ho gaya hai ,kaunsa sadqa behtar hai toh Sarwar e Qaunain ﷺ ne irshad farmaya pani afzal hai toh unhone ek quwa khudaya aur farmaya yeh quwa meri maa ke liye hai.

#Mishkat Shareef.

Wednesday, March 30, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #668.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 40.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Bola aye mere Rab,mere ladka kaha se hoga mujhe pahuch gaya budhapa.
2⃣ Aur meri aurat baanjh.
3⃣ Farmaya Allah yuñ hi karta hai jo chaahe.

▶ Tafseer
1⃣ Aur umr 120 saal ki ho chuki.
2⃣ Unki umr 98 saal ki maqsud sawal yeh hai ki beta kis tarah ataa hoga aaya meri jawani lautayi jaayegi aur biwi ka baanjh hona door kiya jayega ya hum dono Apne haal par rahenge.
3⃣ Budhape meiñ farzand ataa karna uski qudrat se kuch bayeed nahiñ.

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #668

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #668.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Jabh namaz se farig huwe to dua farmayi ke "Aye Rabb e Qadeer teri bargah mein Tere Mehboob ﷺ ke waste dua karta hu ke tu mere mureedo aur mureedo ke mureedo ki rooho ko jo meri taraf mansub ho bagair tauba ke qabz na farmana"

Hazrate Sahal ibne Abdullah رضي الله عنه farmate haiñ ke Aapki iss dua par hum sabhi ne firishto ki ek badi jama'at ko Aameen kehte suna dua ke baad nida e gaibi se sunai di "Aye Abdul Qadir khush khabri ho tumhare liye ke Maine tumhari dua qabool kar li "

Shaikh baqaa ibne Batoo رضي الله عنه farmate hai kisi shakhs ne Sarkare Gaus e Pak رضي الله عنه se pucha ki Aapke mureedo mein parhezgaar aur gunehgaar dono honge to iss sawal par aapne kitna tasalli bakhsh jawab hum gulamo ke liye inayat farmaya ke "haa acche aur bure dono honge magar parhezgaar mere liye hai aur Main gunehgaaro ke liye hu "

سُــــبْحانَ الله سُــــبْحانَ الله

Do Aalam Mein Hai Kaun Haami Humara,
Yahan Gaus e Aazam Wahan Gaus e Aazam.

Hadees e Mubaraka #668

GUNAAH KITNE HI AUR KAISE HI HAIÑ PAR REHMAT E AALAM
SHAFA'AT AAP FARMAAYEIÑ TOH BEDA PAAR HO JAAE

BHARAM REH JAAYE MEHSHAR MEIÑ NA PALLA HALKA HO APNA
ILAAHI! MERE PALLE PAR MERA GAMKHWAAR HO JAAYE

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #668
30 Rabi Us Saani 1437 Hijri.

Hazrat e Usman Gani رضي الله عنه riwayat farmate hai Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ baroz e qayamat teen qism ke log shafa'at farmaenge pehle Ambiya علیہم السلام phir Aulma phir Shohda.

#Ibne Majah, Safah 330.
#Mishkat Shareef, Safah 494.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #667

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #667.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post #666.
Surah Aale Imran
Aayat No. 38 & 39

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
3⃣ Beshak Allah aap ko muzda deta hai yahya ka jo Allah ki taraf se ek kalima ki.
4⃣ Tasdeeq karega Aur Sardar.
5⃣ Aur hamesha ke liye auratoñ se bachne wala aur Nabi hamare kaaso meiñ se.

▶ Tafseer
3⃣ Kalima se muraad Hazrate Isaa Ibne Mariyam hai ki unhein Allah Ta'ala ne kun farma kar Baghair Baap ke paida kiya aur un par sabse pehle Imaan laane aur unki tasdeeq karne wale Hazrate Yahiya hai jo Hazrate Isaa عليه السلام se umr meiñ 6 maah bade the yeh dono Hazraat khaala-zaad bhai the Hazrate Yahiya ki waalida apni bahen Hazrate Mariyam se mili to unhein apne haamila hone par muttala'a kiya Hazrate Mariyam ne farmaya maiñ bhi haamila hu Hazrate Yahiya ki waalida ne kaha Aye Mariyam mujhe maloom hota hai mere peit ka bacha tumhare pet ke bache ko sajdah karta hai.
4⃣ Sayyad us raees ko kehte hai jo makhdoom wa muta'a ho Hazrate Yahiya momineen ke sardar aur Ilm Wa Hilm wa Deen meiñ unke raees the.
5⃣ Hazrate Zakariya عليه السلام ne baraahe ta'ajjub arz kiya.

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #667

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #667.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Ek martaba Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه dariya e dajla ki janib tashreef le gaye log waha pahuche aur dekha ke aap pani par chal rahe hai aur dariya e dajla ki saari machliya nikal nikal kar Aapko salam karti hai aur qadam mubarak choomti hai phir dekhte hi dekhte ek behtareen musalla fazaa mein bichh gaya uspar likha tha,

Tarjama- " Sunlo beshak Allah ke waliyo par naa kuch khauf hai aur naa kuch gamm"

Aur likha tha

Tarjama- "Salamati ho tum par aye ahle ba'ait beshak wo hameed aur buzurg hai "

Itne mein bahot se log uss musalle ke karib jama ho gaye zohr ka waqt tha taqbeer kahi gayi Aapne imamat farmayi jabh Sarkare Gaus e Pak رضي الله عنه taqbeer kehte to arsh uthane wale farishte bhi Aapke saath taqbeer kehte aur jabh aap tasbeeh parhte to aasman ke firishte bhi Aapke saath tasbeeh parhte.

Jabh namaz se farig huwe to dua farmayi ke "Aye Rabb e Qadeer teri bargah mein tere Mehboob ﷺ ke waste dua karta hu ke tu mere mureedo aur mureedo ke mureedo ki rooho ko jo meri taraf mansub ho bagair tauba ke qabz na farmana"

To Be Contd....

Mureedi la takhaf Allahu Rabbi,
Ataani rif atan niltul munaali.

Mere mureed tu kisi se khauf na kar Allah mera maalik hai.; Usne Mujhe woh bulandi di hai jisse Main apne maqsad ko pahuch gaya.

Hadees e Muabraka #667

ASS HAI KOI NA PASS EK TUMHARI HAI AAS
BASS HAI YAHI AASRAA TUMPE KAROROÑ DAROOD

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #667.
29 Rabi Us Saani 1437 Hijri.

Hazrat e Umar Farooq رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ jiska muhafiz wa nigehbaan na ho Allah ﷻ aur Rasool ﷺ uske nigehbaan hai.

#Tirmizi Shareef, Jild 2, Safah 31.
#Ibne Majah, Jild 2, Safah 201.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #666

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #666.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 38 & 39

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Yahaañ.
2⃣ Pukara Zakariya apne Rab ko, bola aye Rab mere mujhe apne paas se de suthri aulaad beshak tu hi hai Dua sunne wala, To Farishtoñ ne use aawaz di aur woh apni namaz ki jagah khada namaz padh raha tha.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani Mehraabe Baitul Muqaddas ke darwaze band kar ke dua ki.
2⃣ Hazrate Zakariya عليه السلام Aalime kabeer the Qurbaaniyañ baargaahe Ilaahi mein Aap hi pesh kiya karte the aur masjid shareef mein baghair Aap ke izn ke koi daakhil nahi ho sakta tha jis waqt mehraab meiñ aap namaz mein mashgool the aur bahar aadmi dukhool ki ijazat ka intezaar kar rahe the darwaza band tha achanak aapne ek safaid posh jawaan dekha woh Hazrat Jibraeel the unhone Aap ko farzand ki basharat di jo "Annallaa-h Yubasshiru-ka" meiñ bayan farmayi gayi.

〰〰 to be contd.

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #666

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #666.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Aap ke shehzade Hazrat Abu Bakr Abdul Razzak رضي الله عنه farmate haiñ ke Maine apne walid se suna ke ek raat woh namaz parh rahe the ke kisi cheez ke chalne ki aahat suni phir ek bada saanp aaya aur usne mere sajde ki jagah munh khola jabh Main sajde mein gaya to usko haath se hata diya phir jabh Attahiyaat ke liye baitha to Meri raan par charha aur Meri gardan par pahuch kar lipat gaya jabh Maine salam faira to gayab ho gaya.

Doosre roz jabh Main jaama masjid se bahar veerane mein gaya to Maine ek shakhs ko dekha ke jiski aankhein lambai se fati huwi hai Main samaj gaya ki yeh koi jinn hai usne mujhse kaha ke main wahi hu jise aapne kal raat saanp ki shakl mein dekha tha maine iss tarah bahot Awliya e kiram ko aazmaya hai un mein se koi bhi mere aage aap ki tarah sabit qadam nahi raha.

Baaz Hazraat ka zaahir bechain ho gaya baaz Hazraat ka baatin bechain ho gaya magar Aapko dekha ki naa Aapka zaahir bechain huwa ke naa Aapka baatin phir usne mujhse ilteja ki ke mujhe apne haath par tauba karaye chunache Maine usse tauba karayi

# Humare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Hadees e Mubaraka #666

QABR MEIÑ HASHR O NASHR O MEEZAAÑ MEIÑ
SUNNIYOÑ KO HAR ALAM SE BACHA RASOOLALLAHﷺ

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #666
28 Rabi Us Saani 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Saeed رضي الله عنه se riwayat hai Rasool e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ ke kaafir par uski qabr mein 99 azdahe muqarrar kiye jaate hai jo usko qayamat tak kaat'te aur daste rahenge un azdaho mein ka koi ek agar zameen par funkaar de toh zameen kabhi hariyali naa ugaaye.

#Mishkat Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #655

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #655.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 27.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Tu din ka hissa raat mein daale aur raat ka hissa din mein daale.
2⃣ Aur murda se zinda nikaale aur zinda se murda nikaale aur jisse chaahe be ginti de.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani kabhi raat ko badhaye din ko ghataye kabhi din ko badha kar raat ko ghataye ye teri qudrat hai to Faaras wa Raom se mulk lekar Gulamane Mustafa ﷺ ko ataa karna uski qudrat se kya bayeed hai.
2⃣ Murda se zinde ka nikaalna is tarah hai jaise ki zinda insan ko nutfa e bejaan se aur parind ke zinda bache ko be Rooh ande se aur zinda dil momin ko murda dil kaafir se aur zinda se murda nikaalna is tarah se jaise zinda insan se Nutfa e bejaan aur zinda parind se be jaan anda aur zinda dil Imaandaar se murda dil kaafir.

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #655

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #655.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Jabh Sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه ke waaz ki shohrat har taraf badhne lagi aur digar waaz karne waaloñ mein awaam kam hone lagi to 100 waaz karne waaloñ ne socha ke hum sab 1 - 1 masaeel chun le jo sakht se sakht ho aur bhare majme mein puchenge Gaus e Pak رضي الله عنه ko aur Aap ek saath itne sakth masaeel ke jawab nahi de payenge aur logo ki Aapse aqeedat khatam ho jaaye, Allah ki panah

Chunanche har waaz karne wala ne mushkil se mushkil 1-1 masla chun liya aur Aapke waaz mein pahuche theek ussi waqt Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه ke seena e mubarak se noor ki bijli chamki jisse koi naa dekh saka magar jisse Allah ﷻ ne chaha usne yeh dekha woh bijli ek ek karke un 100 sawal puchne waaloñ ke seene mein paiwast ho gayi phir woh saare ke saare chikhne lage aur apne kapde faadne lage aur daud kar Peerane Peer ke mubarak qadmo mein apna sar daalne lage.

Uske baad Sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه har ek ko apne seena e akdas se lagate jaate aur farmate jaate the ki tera yeh sawal hai iska yeh jawab hai issi tarah Aapne sabke sawal aur jawab dono irshad farma diye.

Jabh majlis khatam huwi to un sawal puchne waaloñ se pucha gaya ke aap logoñ ko yeh kya ho gaya tha kyu kapde faad rahe the to unhone bataya ke jaise hum iss mubarak majlis mein aakar baithe to jo kuch humein aata tha achanak humare seene se aise gayab huwa jaise humne ek lafz bhi kabhi naa padha tha phir jabh Sarkare Gaus e Pak رضي الله عنه ne apne mubarak seene se lagaya to hamara saara ilm wapas aa gaya aur itna zyada ilm se hum log malamal ho gaye jo hum pehle nahi jante the.

#Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Mamba e faiz bhi hai majma e afzaal bhi hai,
Mehr e irfaañ ka munawwar bhi hai Abdul Qaadir.

Hadees e Mubaraka #655

BISMILLAH SHAREEF KI BARKAT
BISMILLAH SHAREEF KI AZMAT
HAI YEH KITNA AALA AUR AFZAL
GAUR SE PADHO AUR KARLO AMAL

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #655.
17 Rabi Us Saani 1437 Hijri.

Hazrat e Saeed Ibne Zaid رضي الله عنه se riwayat hai Rasool e kareem ﷺ irshad farmate haiñ jis ne wazu ke shuru mein Bismillah Shareef na padhi uska wazu pura nahi huwa.

#Tirmizi Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #654

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #654.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 25 & 26

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ To kaisi hogi jabh hum unhein ikattha karenge us din ke liye jisme shak nahi.
2⃣ Aur har jaan ko uski kamayi poori bhar di jaaegi aur un par zulm na hoga yuñ arz kare Aye Allah mulk ke maalik tu jisse chahe saltanat de aur jisse chahe saltanat cheen le aur jisse chaahe izzat de aur jisse chahe zillat de saari bhalayi tere hi haath hai beshak tu sab kuch kar sakta hai.

▶ Tafseer
1⃣ Aur woh roze qayamat hai.
2⃣ Shaane nuzool fatahe Makkah ke waqt Sayyade Ambiya ﷺ ne apni ummat ko mulk e Faaras wa Room ki saltanat ka waada kiya to Yahood wa Munafiqeen ne usko bahot bayeed samjha aur kehne lage Kaha Muhammed Mustafa ﷺ aur kaha Faaras wa Room ke mulk woh bade zabardast aur nihayat mahfooz hai is par yeh Aayat e kareema naazil huwi aur Aakhirkaar Huzoor ﷺ ka waada poora ho kar raha.

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani#654

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #654.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Shehzada e Sarkar e Gaus e Aazam رضي الله عنه Hazrat Abdul Razzak رضي الله عنه ka bayan hai ek martaba mulke ajam se mere walid e majid Sarkar Gaus e Pak رضي الله عنه ke paas ek sawal aaya jo isse pehle iraq ke bade bade muftiyon ke samne pesh ho chuka tha magar kisi mufti ne uss sawal ka jawab naa diya tha sawal ki soorat ye thi,

Ek shaks ne kasam khaayi woh koi aisi ibadat karega jiss ibadat ke waqt puri kainaat mein doosra koi shareek naa hoga aur agar wo shaks aisi ibadat naa kar sake to uski biwi ko 3 talaq aisi halat mein wo kaunsi ibadat kare ke jiss mein koi shareek naa ho tamam aulma iss sawal ka jawab nahi de paaye phir jabh ye sawal Sarkar e Baghdad ke paas aaya to aapne fauran uss par fatwa diya ke wo shaks Makkah Muqarramah chala jaaye aur mataaf yaani tawaf karne ki jagah uske liye khali kardi jaaye aur woh tanha Kaaba Shareef ka tawaf kare to uski kasam nahi tootegi.

Ye sun kar bade bade aulma hairan reh gaye kyuki yahi sirf ek soorat thi jiss mein woh shaks tanha ibadat kar sakta tha aur uski kasam poori ho sakti thi.

سُــــبْحانَ الله

# Humare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Mufti e shara'a bhi hai qaazi e millat bhi hai,
Ilm e asraar se maahir bhi hai Abdul Qaadir

Hadees e Mubaraka #654

AAKHIRAT KI FIKR KARO
BACCHOÑ KE NAAM ISLAMI RAKHO
KYA FARMATE HAIÑ HAMARE NABI ﷺ
ISS FARMAAN PAR AMAL KARO SABHI


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #654
16 Rabi Us Saani 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Darda رضي الله عنه se riwayat hai Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ qayamat ke din tum ko tumhare naam aur tumhare baapoñ ke naam se pukara jaaega lihaza apne naam acche rakho.

#Abu Dawood Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan#653

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #653.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 24

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Yeh jur'at
2⃣ Unhein isliye huwi ke woh kehte hai hargiz humein aag na chhuyegi magar ginti ke dinoñ.
3⃣ Aur unke deen mein unhein fareb diya us jhoot ne jo baandhte they.

▶ Tafseer
1⃣ Kitaab e Ilaahi mein ru'gardani karne ki.
2⃣ Yaani 40 din ya ek hafta phir kuchh gam nahi.
3⃣ Aur unka yeh qaul tha ki hum Allah ke bete aur uske pyaare hai woh humein gunahoñ par azaab na karega magar bohat thodi muddat.

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #653

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #653.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه ki ibadat aur riyazat ka andaza isi baat se lagaya jaa sakta hai ke Aapne 40 saal tak pabandi se isha ke wazu se fajr ki namaz adaa farmate rahe 15 saal tak Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه ne isha ki namaz ke baad se fajr tak pura quraan e pak tilawat farmaya aur 25 saal aapne jungalo mein aise bitaye ke naa koi aap ko pehchanta tha aur naa aap kisiko pehchante the.

Zaahir hai ke jo mard e haqq duniya aur duniyawalo se aise beparwah ho gaya ho aur iss tarah zindagi basar kar raha ho toh uski mashgooliyat Allah ﷻ ki ibadat aur riyazat ke siva kya hogi.

Allah ﷻ apne Pyare Habeeb Do Jahaañ ke Tabib Malik o Mukhtar Janab e Ahmed e Mujtaba Muhammed Mustafa ﷺ ke sadke aur peerane peer dastageer Huzoor Saiyyaduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ke sadke tufail sab ki jaaez murado ko poora farmaye aur hum sab ahle imaan ka hashr sarkar ﷺ ke qadmon mein arsh ke saaye mein aur Gaus e Pak رضي الله عنه ke jhurmoot mein ho.

آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ

Hadees e Mubaraka #653

NARM REHNE SE BHALAAYI PAAOGE
ALLAH ﷻ KI KAUNSI NEA'MAT KO THUKRAOGE

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #653
15 Rabi Us Saani 1437 Hijri.

Hazrat e Jareer رضي الله عنه se riwayat hai Rasool e kareem ﷺ irshad farmate haiñ jo aadmi narmi se mehroom rehta hai woh bhalaai se mehroom kiya jaata hai.

#Muslim Shareef.

Tafseer e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #652

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 652.

بسم الله الرحمن رحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 23.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Kya tumne unhein na dekha jinhe kitaab ka ek hissa mila.
2⃣ Kitabullah ki taraf bulaye jaate hai ki woh unka faisla kare phir unmein ka ek garoh usse rugardañ ho kar phir jaata hai.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani yahood ko ki unhein Tauret Shareef ke uloom wa ahkaam sikhaye gaye the jin meiñ Sayyade Aalam ﷺ ke awsaaf wa ahwaal aur deen e Islam ki haqqaniyat ka bayan hai isse laazim aata tha ki jabh Huzoor ﷺ tashreef farma ho aur unhein Qurane Kareem ki taraf dawat de to woh Huzoor ﷺ par aur Quraan Shareef par Imaan laaye aur uske ahkaam ki tameel kare lekin unmein se bohatoñ ne aisa nahi kiya is taqdeer par Aayat meiñ minal kitaabi se Tauret aur Kitabullah se Quran Shareef muraad hai.
2⃣ Shaane nuzool is Aayat ke shaane nuzool mein Hazrate Ibne Abbas رضي الله عنهم se ek riwayat yeh aayi hai ke ek martaba Huzoor Sayyade Aalam ﷺ Baitul Midras meiñ tashreef le gaye aur waha yahood ko Islam ki daawat di nuaim ibne amar aur haaris ibne zaid ne kaha ki Aye Muhammed ﷺ Aap kis deen par hai farmaya, Millate Ibraheemi par woh kehne lage Hazrate Ibraheem عليه لسلام to yahoodi the Sayyade Aalam ﷺ ne farmaya Tauret laao abhi tumhare aur hamare darmiyaan faisla ho jayega is par na jame aur munkir ho gaye is par Aayate Shareefa naazil huwi is taqdeer par Aayat mein Kitabullah se Tauret muraad hai Inhi Hazrate Ibne Abbas رضي الله عنهم se ek riwayat yeh bhi marwi hai ki yahood khaibar mein se ek mard ne ek aurat ke saath zeena kiya tha aur Tauret mein aisa gunah ki saza patthar maar maar kar halaaq kar dena hai, lekin chuñki woh log yahoodiyoñ mein uñche khaandan ke the isliye unhone unka sangsaar karna gawaara na kiya aur is mu'aamla ko bayee Ummeed Sayyade Aalam ﷺ ki baargahe mein laaye ke shayad Aap sangsaar karne ka hukm na de magar Huzoor ﷺ ne un dono ke sangsaar karne ka hukm diya is par yahood tesh mein aaye aur kehne lage is gunah ki sazaa yeh nahi Aapne zulm kiya Huzoor ﷺ ne farmaya faisla Tauret par rakho kehne lage yeh Insaaf ki baat hai Tauret mangayi gayi aur Abdullah Bin Suriya yahood ke bade Aalim ne usko padha usme Aayate rajam aayi jisme sangsaar karne ka hukm tha Abdullah ne us par haath rakh liya aur usko chordh gaya Hazrate Abdullah Bin salaam ne uska haath hataa kar Aayat padh di yahood zaleel huwe aur woh yahoodi mard aur aurat jinhone zeena kiya tha Huzoor ﷺ ke hukm se sangsaar kar diye gaye is par yeh Aayat naazil huwi.

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #652

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #652.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه ke waaz aur takreer mein bhala yeh taseer kyu paida na hoti ke Aapne Deeni Uloom mein kaafi maharath hasil kar li thi Ibadat ke zariye Nafs ko Pak kar liya tha Taqwa, Parheizgaari, Rooh ki Safai, Aamal e Swaleha jaisi sifate aaliya se muzayyan ho chuke the iske alawa Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ aur Maula e Kainaat Hazrate Ali رضي الله عنه ki nazar e shafkat shamil thi aap par.

Islami rehbar wa rehnuma ke liye Aapne kuch sharait bayan farmaye ke "Jise deen ke uloom hasil ho tasavvuf wa marefat ke bhaido se wakif ho balki unka mushaheda kar chuka ho aur tajurbekaar ho inn khususiyat ke saath islam ka muqammal ilm o amal ho."

Hidayat:- Sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه ke irshadaat unn hazraat ke liye nasihat wa hidayat ka umda zariya hai jo na maulana hai naa aalim aur bina ilm e deen hasil kiye waaz wa takreer karte hai ye log hakikat aur marefat ki jhoothi numaish karke awaam ko shari'at se dur karte hai halaki shari'at asl hai.

# Humare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Hadees e Mubaraka #652

KEH LEGI SAB KUCH UNKE SANA KHWAAÑ KI KHAMOSHI CHUP HO RAHA HAI KEH KE MAIÑ KYA KYA KAHU TUJHE
LEKIN RAZA NE KHATM E SUKHAN ISPE KAR DIYA KHAALIQ KA BANDA KHALQ KA AAQA KAHU TUJHE

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


Hadees e Mubaraka #652
14 Rabi Us Saani 1437 Hijri.

Hazrat e Ibne Abbas رضي الله عنه se riwayat hai Rasool e kareem ﷺ irshad farmate haiñ Khuda e Ta'ala ﷻ ke tai'n mein awwalin wa aakhirin meiñ sabse zyada izzat wa buzurgi wala Maiñ hu.

#Tirmizi Shareef.
#Mishkat Shareef, Safah 514

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #651

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #651.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 21 & 22

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Woh jo Allah ki Aayatoñ se munkir hote aur Paigambaro ko naa haq shaheed karte
aur Insaf ka hukm karne waaloñ ko qatl karte hai unhe khushkhabari do dardnaak azaab ki yeh hai woh jinke amal akarat gaye duniya wa aakhirat mein.
2⃣ Aur unka koi madadgaar nahi.

▶ Tafseer
1⃣ Masla - Is Aayat se maloom huwa ki Ambiya ki janaab meiñ be-adabi kufr hai aur yeh bhi ki kufr se tamaam aamaal akarat ho jaate hai.
2⃣ Ki unhein azaab e Ilaahi se bachaye.

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #651

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #651

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Ek martaba Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه ne apne Jadde Amjad Sayyad e Aalam ﷺ ka dedaar kiya aur Huzoor ﷺ ne farmaya Aye mere pyare bete tu waaz(bayan) kyu nahi farmata to Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ne arz ki aye mere pyare abba Huzoor mein ek ajami aadmi hu arab ke behtareen guftagu karne walo ke samne kaise bolu to Sarkar ﷺ ne farmaya apna munh kholo aur Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ne munh khola to Huzoor e Akdas ﷺ ne saat(7) martaba apna luaab e dahan shareef Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ke munh mein daala aur irshad farmaya logo ko apne Rabb ﷻ ki taraf bula hikmat aur acchi nasihat ke saath.

Huzoor Gaus e Paak رضي الله عنه farmate hai usske baad mein namaz e zohr padh kar takreer karne ke liye baitha magar takreer naa kar saka phir Maula e Kaainaat Hazrat Ali e Murtuza رضي الله عنه ko dekha jo majlis mein tashreef farma hai aur farmate haiñ aye mere pyare bete tu kalaam kyu nahi farmata Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ne arz ki aye mere walid e girami meri zaban bandh ho gayi hai to Hazrate Ali رضي الله عنه ne farmaya munh kholo aur Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ke munh mein 6 baar apna thhook mubarak daala, aapne arz ki saatvi baar kyu nahi daala to farmaya Sarkar ﷺ ke adab ki wajah se.

Uske baad ilm ke samandar ne aapke muqaddas seene se zaban pak par mauje maari aur behtareen guftagu aur takreer farmane lage ke arab mein bade bade takreer karne wale aapke samne fike pad gaye yeh Allah ﷻ ka fazl tha aap par, Uske baad aapki takreer ko woh shohrat mili ke aapke shagird shaikh Abdullah zubai رضي الله عنه farmate hai ek takreer se muta'asir hokar 1 lakh se zyada fasik o gumrah ne tauba ki hazaro yahoodi isaai mazhabe islam mein dakhil huwe.

# Humare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Ajam kaisa Arab, Hil kya Haram meiñ,
Jami har jaa teri mehfil hai Ya Gaus.

Tera hil hai tera haram Gaus e Aazam,
Arab tera tera ajam Gaus e Aazam.

Hadees e Mubaraka #651

BAAZAAR E AMAL MEIN TO SAUDA NA BANA APNA
SARKAR ﷺ KARAM TUJH MEIN AIBI KI SAMAAI HAI
ABH AAP HI SAMBHAALEIÑ TO KAAM APNE SAMBHAL JAAYEIN
HUMNE TO KAMAAI SAB KHELOÑ MEIN GAÑWAAI HAI


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #651
13 Rabi Us Saani 1437 Hijri.

Hazrat e Abu hurairah رضي الله عنه se riwayat hai Rasool e kareem ﷺ irshad farmate haiñ ki jo shakhs meri ummat mein amal ya aqeede ki kharabi paida hone ke waqt meri sunnat par amal karega us ko 100 shahido ka sawab milega.

#Mishkat Shareef

Tuesday, March 29, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #650

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 650.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 649.
Surah Aale Imran
Aayat No. 20.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
3⃣ kya tumne gardan rakhi
4⃣ pas agar wo gardan rakhe jabh to raah paa gaye aur agar muñh fere to tum par to yahi huqm pahoñcha dena hai
Aur Allah bando ko dekh raha hai

▶ Tafseer
3⃣ wo tumne poora kar hi diya isse unhone nafa na uthaya to nuqsan meiñ wo rahe isme Huzoor Sayyade Aalam ﷺ ki taskeen e khaatir hai ki Aap unke Imaan na laane se ranjeeda na ho
4⃣ Jaisa ki Bani Israeel ne subah ko ek sa'at ke andar 43 Nabiyoñ ko qatl kiya fir jabh unme se 112 aabido ne uth kar unhe nekiyoñ ka huqm diya aur badiyo se mana kiya to usi roz shaam ko unhe bhi qatl kar diya is aayat meiñ Sayyade Aalam ﷺ ke zamana ke Yahood ko taubeekh hai kyuñ ki wo apne aaba wa ajdaad ke aise badtareen fail se raazi hai

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #650

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #650.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Mashoor riwayat hai ki jabh Saiyyaduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ki umr shareef 4 saal ki huwi to islami rasmo riwaj ke mutabik walid e muhtaram Saiyyaduna Shaikh Abu Saleh رضي الله عنه aapko rasme Bismillah khwani ki adayegi aur maqtab mein dakhil karane ki garz se le gaye

Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ko ustad ne kaha parho beta " بسم الله الرحمن الرحيم " Aapne Bismillah Shareef parhne ke saath saath Alif Laam Meem se lekar muqammal 18 paare quraan e paak ke munh zabani parh liye, ustad ne hairat ke saath daryaft kiya ki ye tumne kabh parha aur kaise yaad kiya?

Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ne farmaya meri walida majida 18 paaro ki haafiza hai jinka wo aksar wird kiya karti thi jab Main maa ke pet mein tha ye 18 paare sunte sunte mujhe yaad bhi ho gaye.

Aapne 7 saal ki umr e paak mein Qur'an e Paak hifz kar liya, Aapke walid e majid ka inteqaal aap ki bahot chhoti si umr mein ho gaya to Huzoor Gaus e Paak رضي الله عنه ki aur Aapke chhote bhai Hazrat Abu Ahmad Abdullah رضي الله عنه ki parvarish talim aur tarbiyat ka saara intezaam aap ki walida majida ne hi farmaya Hazrate Abu Ahmad رضي الله عنه ka inteqal bhi naujawani mein ho gaya phir Sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه ne 18 saal ki umr e pak tak Jeelan Shareef mein reh kar mukhtalif darsgaaho mein ta'lim haasil ki.

# Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Hadees e Mubaraka #650

APNE DIL KI HIFAZAT KARO
BADI AWAAZ SE NA HASO KYA FARMATE HAIÑ HUZOOR ﷺ
ISS BAAT PAR GAUR SE AMAL KARO

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #650
12 Rabi Us Saani 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai Nabi e kareem ﷺ irshad farmate haiñ zyada naa haso isliye ke zyada hasna dil ko murda bana deta hai.

#Tirmizi Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #649

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 649.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 20.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Fir Aye Mehboob agar wo tumse hujjat kare to farma do maiñ Apna Muñh Allah ke huzoor jhukaye hu aur jo mere pairoñ huwe
2⃣ aur kitabiyoñ aur anpadhoñ se farmao

▶ Tafseer
1⃣ Yaani main aur mere mutta'be'een hamaa tan Allah Ta'ala ke farmabardar aur mutee'a hai hamara deen deen e tauheed hai jiski sehat tumhe khud apni kitabo se bhi saabit ho chuki hai to isme tumhara humse jhagda karna bilkul baatil hai
2⃣ jitne kaafir gair kitabi hai wo ummi'een meiñ daakhil hai unhi meiñ se Arab ke mushrikeen bhi hai

〰〰 to be contd.

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #649

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #649.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Bachpan main aam tor par bachhe khelkud ke shaukeen hua karte hain magar Allah ﷻ ko ye manz nahi thha ki aasmane qutubiyat ka ye roshan sitara khelkud main rahe issiliye hazrate Gaus e Azam رضي الله عنه bachpan se hi khelkud se dur rahe aur farmate hai ke jab kabhi mai bachho ke sathh khelne ka irada karta to main sunta thha koi kehne wala keh raha hain ke aye barkat wale meri taraf aa jaa

Ek martaba sarkar Gaus e paak رضي الله عنه se logo ne puchha huzoor aap ko apni wilayat ka ilm kab hua ?
to sarkar Gaus e paak رضي الله عنه ne farmaya ki 10 baras ki umr mai jab main madarse mein parhne ke liye jaata thha to gaibi awaz aati thhi ke Allah ke wali ko bethhne ke liye jagah do taaki wo aram se bethh jaye

#Hamare Gaus e Azam رضي الله عنه

#Firishte madarse tak sathh pahochane ko jaate thhe,
Ye darbare ilahi main hai Rutba Gaus e Azam رضي الله عنه ka

Hadees e Muabaka #649

KISI KA QARZ MAAF KARDO
APNE AAMAL KA PALDA AAKHIRAT KE LIYE BHAR LO
MUJE AISE AMAL KI DE TAUFIQUE
KE HO RAAZI TERI RAZA YAA RAB

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #649
11 Rabi Us Saani 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Qatada رضي الله عنه se riwayat hai maiñe Huzoor ﷺ ko farmate huwe suna ki jo shakhs qarzdar ko mohlat de ya qarz maaf karde toh Allah ﷻ usko qayamat ke din ki sakhtiyo se mehfooz rakhega.

#Muslim Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #648

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #648.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 19.
Contd Post No #647.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
3⃣ Magar baad iske ke unheiñ ilm aa chuka.
4⃣ Apne Diloñ ki jalan se aur jo Allah ki Aayatoñ ka munkir ho to beshak Allah jald hisaab lene wala hai.

▶ Tafseer
3⃣ Woh apni kitaabo meiñ Sayyade Aalam ﷺ ki Naat wa Sifat dekh chuke aur unhone pehchaan liya ki yahi woj Nabi (ﷺ) haiñ jinki Qutube Ilaahiya meiñ khabar di gayi hai.
4⃣ Yaani unke ikhtilaaf ka sabab unka hasad aur munafa e duniyawiya ki tama'a hai.

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #648

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #648.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrate Fatima Ummul Khair رضي الله عنها farmati haiñ ki wiladat ke saath ehkame shari'at ka iss qadr ehteram tha ki mera beta Abdul Qadir Ramzaan bhar din mein katai doodh nahi peeta tha ek martaba badalo ki wajah se 29 shaban ko chand nahi dikhai pada to log shak mein pad gaye kuch log sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه ki walida ki bargah mein hazir huwe aur daryaft kiya ke kya aapke bete ne aaj doodh pi liya ?

Hazrate Fatima Ummul Khair رضي الله عنها ne farmaya ki aaj mere bete Abdul Qadir ne sehri ke waqt se doodh nahi piya hai to logo ko yakeen ho gaya ke chand nikal aaya aur Ramzaan Shareef ki pehli tareekh hai.

Baad mein sharai shahadat se yeh sabit bhi ho gaya ke chand nikal aaya tha aur khud Hazrate Gaus e Aazam رضي الله عنه ki walida mohtarma ka bayan hai ki doodh peene ke zamane mein mere bete Abdul Qadir ki ye halat thi ke mera beta saal ke tamam hisso mein doodh peeta lekin jaise hi maahe Ramzaan Shareef shuru hota to mera beta Abdul Qadir sehri ke waqt se iftari tak hargiz kuch khata peeta nahi tha lekin jaise hi hum log iftari karte to mera beta bhi doodh peeta.

#Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Rahe paaband e Ahkaam e Shari'at Ibteda hi se,
Na chhoota sheer khwaari meiñ bhi roza Gaus e Aazam ka.

Hadees e Mubaraka #648

DUSHMAN E AHMED PE
SHIDDAT KIJIYE
MULHIDOÑ KI KYA MURAWWAT KIJIYE
SHIRK THEHRE JIS MEIÑ
TAZEEM E HABEEB
US BURE MAZHAB PE LAANAT KIJIYE

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #648
10 Rabi Us Saani 1437 Hijri.

Hazrat e Anas رضي الله عنه se riwayat hai Rasool e kareem ﷺ irshad farmate haiñ jabh tum kisi badmazhab ko dekho toh uske saath sakhti se pesh aao isliye ke Khuda e Ta'alaﷻ har badmazhab ko dushman rakhta hai.

#Ibne Asaqir.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #647

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #647.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 19.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Beshak Allah ke yahañ Islam hi deen hai
2⃣ Aur foot meiñ na pade kitaabi.

▶ Tafseer
1⃣ Iske siwa koi aur deen maqbool nahi Yahood wa Nasaara waghairah kuffar jo apne Deen ko afzal wa maqbool kehte hai is Aayat meiñ unke daawa ko baatil kar diya.
2⃣ Yeh Aayat Yahood wa Nasaara ke haq meiñ waarid huwi jinhone Islam ko chhorda aur unhone Sayyade Ambiya Muhammed Mustafa ﷺ ki Nabuwwat meiñ ikhtilaaf kiya.

to be contd. .

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #647

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #647.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Manaqib e Gausiya mein Hazrate Sahabuddin Soharwardi رضي الله عنه se manqul hai ke Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ki wiladat ke waqt 5 azeem ush shaan karamato ka zuhoor huwa

Hazrate Gaus e Aazam رضي الله عنه ke walideiñ majideiñ ko Allah ﷻ ne aalam e khawaab mein basharat di ke jo ladka tumhare yahañ paida hoga woh sultan ul Auliya hoga uska mukhalif gumrah aur bad-deen hoga.

Jabh Aapke walid e majid ko khawaab mein Huzoor Saiyyad e Aalam Noor e Mujassam ﷺ ki ziyarat naseeb huwi to Huzoor ﷺ ne farmaya aye mere bete Abu Saleh tujhe Allah Ta'ala ne woh farzand diya hai jo mera beta aur mehboob hai Khuda e Ta'ala ka bhi mehboob hai aur uska marataba Auliya mein aisa hoga jaisa mera martaba Ambiya mein hai.

Tamam Ambiya e Kiram علیہ السلام ne Hazrat Gaus e Aazam رضي الله عنه ke walid Hazrat Abu Saleh رضي الله عنه ko khawab mein basharat di ke aye Abu Saleh tamam sahaba e kiram رضي الله عنهم aur Aeemma e kiram علیہ رحمۃ ورضوان ke alawa tamam agle aur pichle Auliya tumhare noor e nazar Shaikh Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه ke farmabardar honge aur uska qadam apni gardano par rakhenge aur uski ita'at waliyoñ ke martabo ki balandi ka sabab hoga.

Hazrat Gaus e Aazam رضي الله عنه ki paidaish ke waqt jeelan mein jitne bacche paida huwe sab ke sab ladke the jinki tadad 1100 thi aur sab ladke Auliya e kamileen baney.

Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ne mea'raj ki raat jo Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه gardan par qadam mubarak rakha tha uska nishan Gaus e Pak رضي الله عنه ki paidaish ke waqt Aapki gardan mubarak par maujood tha. Paidaish ke waqt Hazrat Gaus e Aazam رضي الله عنه ka Chehra mubarak itna raubdaar aur noorani tha ki koi shakhsh Aapko gaur se na dekh sakta tha aur Aapko, Allah ﷻ ne Saiyyad e Aalam ﷺ ke jamal ka mazhar bana kar duniya mein bheja.

#Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Mustafa ke Taney Be Saaye ka Saaya Dekha,
Jis ne dekha meri jaañ Jalwa e Zeba Tera.

Sahabiyyat huwi phir Taab'iyyat,
Bas aage Qadri manzil hai Ya Gaus.

Hadees e Mubaraka #647

INHEIÑ KHUDA NE KIYA APNE MULK KA MAALIK
INHIÑ KE QABZE MEIN RAB KE KHAZAANE AAYE HAI
JO CHAAHENGE JISSE CHAAHENGE YEH USEY DENGE
KAREEM HAIÑ YEH KHAZAANE LUTAANE AAYE HAIÑ

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #647.
9 Rabi Us Saani 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat haiñ Rasool e kareem ﷺ irshad farmate haiñ is darmiyan ke Maiñ so raha tha maiñe dekha ki zameen ke khazano ki kunjiyañ laaye gaye aur mere dono haatho meiñ rakh di gaye.

#Bukhari Shareef.
#Mishkat Shareef, Safah 512.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #646

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 646

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 18

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Allah ne gawahi di ki uske siwa koi ma'abood nahi.
2⃣ Aur farishtoñ ne aur Aalimoñ ne insaaf se kaayam ho kar uske siwa kisi ki ibadat nahiñ izzat wala hikmat wala.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane nuzool ahbaare shaam meiñ se do shakhs Sayyade Aalam ﷺ ki khidmat meiñ haazir huwe jabh unhone Madeena Tayyaba dekha to ek doosre se kehne laga ki Nabi e Aakhiruz zama ke shehair ki yahi sifat hai jo is shehair meiñ paayi jaati hai jabh aastana e Aqdas ﷺ par haazir huwe to unhone Huzoor ﷺ ke shaql wa shamayeel Tauret ke mutabik dekh kar Huzoor ﷺ ko pehchaan liya aur arz kiya Aap Muhammed (ﷺ) hai Huzoor ﷺ ne farmaya haañ phir arz kiya ki Aap Ahmed hai (ﷺ) farmaya haañ arz kiya hum ek sawal karte hai agar Aapne thik jawab de diya to hum Aap par imaan le aayenge farmaya sawal karo unhone arz kiya ki Kitabullah meiñ sabse badi shahadat kaunsi hai is par Aayate kareema naazil huwi aur isko sun kar wo dono hibar musalman ho gaye Hazrat Saeed Bin Zubair رضي الله عنه se marawi hai ki Kaaba e Mu'azzama meiñ 360 bu'th the jabh Madeena Tayyaba meiñ yeh Aayat naazil huwi to Kaaba ke andar woh sab sajdah meiñ gir gaye.
2⃣ Yaani Ambiya Wa Awliya ne.

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #646

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #646.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Mo'atabar kitaboñ ke ehawale se pata chalta hai ke Huzoor Gaus e Paak رضي الله عنه ki wiladat 1 Ramzaan ul Mubarak jumu'ah ke din 470 hijri mein huwi aapke wiladat ke saal mein kuch aur riwayate hai magar jamhoor ka ijma 470 hijri ka hai aap ki wiladat tibristan ke paas jeelan mein huwi.

Huzoor Gaus e paak رضي الله عنه ki wiladate ba sa'adat ke waqt bahot se hairat angez waqiyat zahir huwe sabse badi baat to yeh ki jabh aap paida huwe uss waqt aap ki walida ki umr shareef 60 saal ki thi jiss umr mein auratoñ ko aulaad se na ummidi ho jaati hai. magar Allah ﷻ ka Karam e Khaas tha ke 60 saal ki umr shareef mein Hazrate Fatima رضي الله عنها ke muqaddas peit se wilayato karamat ka ek aisa suraj tulu huwa jiski hidayat ki raushni ne saare aalam ko raushan kar diya.

#Hamare Gaus e Azam رضي الله عنه

Nabavi mehh Alavi fasl Batooli gulshan,
Hassani phool Hussaini hai mehekna Tera.

Hadees e Mubaraka #646

GULISTANOÑ KO BHI JO MAYASSAR NAHI
AISI KHUSHBUEIÑ UNKE PASINE MEIN HAI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #646.
8 Rabi Us Saani 1437 Hijri.

Hazrat e Anas رضي الله عنه se riwayat haiñ Huzoor ﷺ ka rang raushan aur chamakdar tha aur Huzoor ﷺ ka paseena jaise moti tha aur kisi resham ke kapde ko maiñe Huzoor ﷺ ki mubarak hatheliyo se narm nahi paaya aur maiñe koi aisa mushk wa ambar nahi sungha jiski khushboo Huzoor ﷺ ke jism mubarak ki khushboo se badhkar ho.

#Bukhari Shareef.
#Muslim Shareef.
#Mishkat Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #645

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #645.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 17

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Sabr wale
2⃣ Aur Sacche
3⃣ Aur adab wale raahe Khuda meiñ kharachne waale aur pichle pahar se maafi maangne waale.

▶ Tafseer
1⃣ Jo Ta'ato aur musibatoñ par sabr kare aur gunahoñ se baaz rahe.
2⃣ Jinke qaul aur iraade aur niyyate sabh sacchi ho.
3⃣ Ismein aakhir shab meiñ namaz padhne wale bhi daakhil hai aur waqte sahar ke dua wa istigfaar karne wale bhi yeh waqte khalwat wa ijabate dua ka hai Hazrate Luqman عليه السلام ne Apne farzand se farmaya murg se kam na rehna ki woh to sahar se nidaa kare aur tum sote raho.

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #645

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #645.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Ek martaba ek Allah wale dariya e dajla ke kinare se jaa rahe the ke achanak kinare par behta huwa saib(apple) dekha unhein bhookh lagi thi to usse nikal kar aapne kha liya phir kuch aage gaye to khyal aaya ke saib malum nahi kiska hai qayamat ke din Allah ﷻ sawal karega to kya jawab dunga ye khayal aate hi saib ke malik ke paas maaf karane ya kimat dene ke irade se jis taraf se saib behta huwa aaya tha ussi jaanib chal pade to ek bagh mein pahuche jiski daliyan dariya ki taraf thi unhe khyal aaya ke jo saib khaya hai wo issi bagh ka hoga pata karne par malum huwa ke yeh bagh Hazrate Abdullah sumai رضي الله عنه ka hai.

Chunanche wo Allah wale Hazrat e Abdullah رضي الله عنه ki bargah mein hazir huwe aur saib khane ka wakiya sunaya aur maaf karne ya kimat lene ke liye arz ki Hazrat e Abdullah Sumai رضي الله عنه ne farmaya beta saib ki keemat bahot hai adaa nahi kar paoge, magar uss Allahwale ne israr kiya to Hazrat e Abdullah Sumai رضي الله عنه ne kaha uski kimat ye hai ke mere bagh ki rakhwali tum ek (1) saal tak karo.

Aap wahi par do (2) saal rakhwali karte rahe ek din Hazrat e Abdullah Sumai رضي الله عنه farmate hai tumhe saib maaf karwane ke liye ek aur kaam karna hoga aur woh yeh ke tumhe meri beti se shadi karo jo dono aankh se andhi, dono kaan se behri, dono haath se looli, dono pair se langdi aur zaban se goongi hai uss Allah wale ne saib maaf karwane ke liye yeh baat bhi maan li aur aap ki shadi hogayi jabh kamre mein gaye to hairaan huwe ke waha bahot hi khubsoorat haseen o jamil aurat maujood thi woh Allahwale ulte kadam bahar nikle aur Hazrate Abdullah Sumai رضي الله عنه ke paas gaye aur kaha jisse meri shadi huwi wo ladki kamre mein nahi hai balki doosri hai.

Hazrat e Abdullah رضي الله عنه ne farmaya wahi tumhari biwi hai aur jo Maine kaha tha usska matlab ye hai ke uss ladki ne kabhi zaban se shari'at ke khilaf baat nahi ki isiliye wo goongi hai, usne apne kaano se kabhi koi buri baat nahi suni isiliye wo behri hai, usne kabhi kisi gair mehram ko nahi dekha isiliye wo andhi hai, usne apne haatho se kabhi galat kaam nahi kiya isilye wo looli hai, uske pair kabhi gunah ki taraf nahi barhe isiliye wo langdi hai.

Uss muqaddas khatoon ka naam Saiyyada Fatema hai aur kunniyat Ummul khair hai laqab Amtul Jabbar hai aur uss Allahwale ka naam Saiyyad Moosa رضي الله عنه aur kunniyat Abu saleh aur laqab Jangi dost hai.

Inhi dono mubarak aur Allah walo ke zariye haqeeqat l marefat aur shari'at ka ek aisa mahekta huwa phool khila jisne saare aalam ko apni khushbu se mehka diya jo Gaushiyat aur Qutbiyat ka taajwar ban kar wilayat ke aasman par chand wa suraj ki tarah jagmagaya aur subhe qayamat tak jagmagata rahega jise duniya Gaus e Azam رضي الله عنه ke naam se janti hai.

#Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Kyun na Qasim ho ke Tu Ibne Abil Qasim hai,
Kyun na Qadir ho ke Mukhtaar hai Baba Tera.

Nabavi zil Alavi burj Batooli manzil,
Hasani chand Hussaini hai ujala Tera.




Sent from my iPhone

Hadees e Mubaraka #645

AISOÑ KO NEA'MAT KHILA DUDH KE SHARBAT PILA
AISOÑ KO AISI GIZA TUMPE KAROOROÑ DAROOD

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #645

Hazrat e Abdullah Ibne Masood رضي الله عنه se riwayat hai Nabi e kareem ﷺ irshad farmate haiñ ke shari'at ke doosre farzo ke baad halal rozi haasil karna farz hai.

#Baihiki Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #644

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #644.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 15 & 16

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Tum farmao kya maiñ tumhe isse.
2⃣ Behtar cheez bata du parhezgaari ke liye unke Rab ke paas jannatein hai jinke niche nehre rawaañ hamesha unme rahenge aur suthri biwiyañ.
3⃣ Aur Allah ki khushnudi.
4⃣ Aur Allah bandoñ ko dekhta hai wo jo kehte hai aye Rab hamare hum imaan laaye tu hamare gunah maaf kar aur humein dozakh ke azaab se bacha.

▶ Tafseer
1⃣ Ma'taa e duniya se.
2⃣ Jo janana awaariz aur har naa pasand wa kaabile nafrat cheez se paak.
3⃣ Aur yeh sab se Aala ne'amat hai.
4⃣ Aur unke Aamaal wa Ahwaal jaanta aur unki jazaa deta hai.

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #644

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #644.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Shaikhul Mashaekh Hazrat Junaid e Baghdadi رضي الله عنه jo Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه se 200 saal pehle ke buzurg hai ek din muraqbe mein the ke achanak sar uthaya aur farmaya mujhe Aalam e Gaib se maloom huwa ki 5vi sadi hijri mein Saiyyudul Mursaleen Khatamun Nabiyyin Alaihisalaatu wattasleem ki Aulaad e Pak mein ek qutub e Aalam hoga, Jinka laqab Muhiyuddeen hoga aur naam e mubarak Abdul Qadir hoga aur woh Gaus e Aazam hoga aur unki paidaish jeelan mein hogi aur unko hukm hoga ki ailaan kardo tamam agle pichle Auliya Allah ki gardan par mera qadam hai.

Huzoor peerane peer dastageer Raushan Zameer Qutbul Aqtaab Shahenshah e Baghdad Abu Muhammed Muhiyuddeen Sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه ki duniya mein tashreef aavri ke mutallik aur kaafi buzurgo ke qual aur rivayate hai kal se in sha Allah aap ki wiladat ka tazkira aur aap ki taleem aur bachpan ke aalam ke waqiyat post honge.

#Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Jiski Mimbar Bani Gardan e Auliya..
Us Qadam Ki Karamat Pe Laakhon Salaam..

Hadees e Mubaraka #644

ZIYARAT KE LIYE BAN KAR MALAK ZAWWAR AATE HAIÑ
NABI KO DEKHNE YAAÑ TAALIBE DEEDAR AATE HAIÑ

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #644.
6 Rabi Us Saani 1437 Hijri.

Hazrat ibne umar رضي الله عنه farmate haiñ Rasool e kareem ﷺ ne irshad farmaya ki jis ne hajj kiya aur meri wafa'at ke baad meri qabr ki ziyarat ki toh aisa hai jaise meri (duniyavi) zindagi meiñ ziyarat ki.

#Tabrani.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #643

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #643.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 14.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Logoñ ke liye aarasta ki gayi un khwahisho ki muhabbat.
2⃣ Auratein aur bete aur tale upar sone chandi ke dher aur nishan kiye huwe ghode aur chaupaye aur kheti yeh jeeti duniya ki punji hai.
3⃣ Allah hai jiske paas accha thikana.

▶ Tafseer
1⃣ Taaki shahwat parasto aur Khuda parasto ke darmiyañ farq wa imtiyaz zaahir ho jaisa ki doosri Aayat mein irshad huwa.
2⃣ Isme kuch arsa nafa pahuchta hai phir fanaa ho jati hai insan ko chahiye ki ma'ta e duniya ko aise kaam mein kharch kare jisme uski aaqibat ki durusti aur sa'adate aakhir ho.
3⃣ Jannat to chahiye ki uski ragabat ki jaaye aur duniya e naa paayedaar ki faani margubaat se dil na lagaya jaaye.

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #643

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #643.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Kalaeed ul Jawahir kitab ke musannif Hazrat Allama Shaikh ibne Yahya Hambali رضي الله عنه ka bayan hai ki mashoor buzurg Hazrate Abu bakr ibne Huwara رضي الله عنه jinki qaramat mashoor hai ke Hazrat e Amirul Mo'aminin Saiyyaduna Siddique e Akbar رضي الله عنه ne inko khawaab mein apna khirka shareef pehnaya aur jabh ye buzurg bedaar huwe to khirka maujood paaya.

Yahi Hazrate Abu bakr ibne Huwara رضي الله عنه ne barso pehle yeh gaib ki khabar di thi ke iraq mein 8 Awliya jo wilayat ke darje par faeez honge jinke naam hai Maroof Karkhi, Ahmed Ibne Hambal, Bishr Haafi, Mansoor ibne Ammar, Junaid baghdadi, Sarri Sakti, Suhail ibne Abdullah tustari aur
Abdul Qadir Jilani رضي الله عنهم

Jabh logo ne daryaft kiya ke Huzoor yeh Abdul Qadir jilani kaun hai to Hazrat e Abu bakr ibne Huwara رضي الله عنه ne farmaya ke yeh ek Azami hai ye jilan mein paida honge aur baghdad inka thikana hoga aur 5vi sadi mein inka zuhoor hoga aur wilayat mein inka muqaam itna buland hoga ke ek din mimber par alal elaan farmaenge ke mera ye qadam tamam Awliya Allah ki gardan par hai.

Tamam guzre huwe aur maujooda Awliya e kiram adab se apni apni gardan jhuka kar arz karenge ki aye Gaus e Aazam رضي الله عنه balki aap ka kadame mubarak hamare sar aur aankhon par hai.

# Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Jo Wali Qabl the ya Baad huwe ya Honge,
Sab Adab Rakhte haiñ dil mein mere Aqa tera.

Hadees e Mubaraka #643

PATLI PATLI GHUL E QUDS KI PATTIYA
UN LABO'N KI NAZAKAT PE LAAKHO SALAAM

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #643.
5 Rabi Us Saani 1437 Hijri.

Hazrat e Ayesha رضي الله عنها ne irshad farmaya ki maiñ ne Nabi e Kareem ﷺ ko aisa khul kar hañste huwe kabhi nahi dekha ki un ke taalu nazar aaye, aap sirf muskuraya karte the.

#Bukhari sharif.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #642

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #642.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 640.
Surah Aale Imran
Aayat No. 13

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
4⃣ Aur Doosra kaafir.
5⃣ Ki unhein aankhon dekha apne se doona samjhe aur Allah apni madad zaroor se zor deta hai jisse chahta hai beshak isme aqlmando ke liye zaroor dekh kar seekhna hai.

▶ Tafseer
4⃣ Kuffar ki taadad 950 thi unka sardar Utba bin Rabiya tha aur unke paas 100 ghode the aur 700 ouñth aur ba-kasrat jirah aur hathiyar the. (#Jumal)
5⃣ Khwaah uski taadad qaleel hi ho aur saroñ saaman ki kitni hi kami ho.

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #642

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #642.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ ne Hazrat Umar Farooque e Aazam رضي الله عنه aur Hazrat Maula Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم ko Hazrat e Owais Karni رضي الله عنه ke paas jaane ki wasiyat farmayi aur farmaya ki tum dono Owais karni ko mera salaam kehna, aur mera jubba dekar kehna ki woh meri ummat ki bakhshish ke liye dua kare.

Chunache jabh Hazrat e Umar رضي الله عنه aur Hazrat Ali e Murtuza كرم الله تعالٰی وجهه الكريم Hazrat e Owais Karni رضي الله عنه ke paas gaye aur Sarkar e Do Aalam ﷺ ka farmaan sunaya to Hazrate Owais Karni رضي الله عنه ne sajde mein apna sar rakh kar ummat e Muhammadiya ke liye dua maangni shuru ki.

Ussi waqt nida (aawaz) aayi ke sajde se apna sar utha le kyuki teri dua e shafa'at se apne Mehboob (ﷺ) ki aadhi ummat ko bakhsh diya aur aadhi ummat ko apne Mehboob e Aazam ke ladle farzand Gaus e Aazam Abdul Qadir (رضي الله عنه) jo mera bhi Mehboob hai uski shafa'at se bakhshunga jo tere baad paida hoga.

Hazrat e Owais Karni رضي الله عنه ne arz ki aye Parwardigar tera woh Mehboob banda kaun hai aur kaha hai ke Maiñ uski ziyarat karu to nida aayi ke jisska tarjama- "Sach ki Majlis mein azeem qudrat wale badshah ke huzoor yaani Allah ﷻ ki bargah mein hazir hai"

Woh mera mehboob hai aur mere Mehboob e Aazam Muhammadur Rasool Allah ﷺ ka bhi mehboob hai aur Sahaba e Kiram aur Aaeemma e Izaam ke ilawa tamam agle pichle Auliya ki gardano par uska kadam hoga aur jo usse qabool karega maiñ usko dost rakhunga.

Hazrate Owais Karni رضي الله عنه ne yeh sun kar apni gardan jhuka di aur arz ki aye Parwardigar maiñ bhi usse qabool karta hu.

# Tafreeh ul Khatir
#Manazil ul Awliya fee Fazaeelul Asfiya.
# Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه

Mohammed ( ﷺ )ka Rasooloñ meiñ hai jaise martaba A'ala,
Hai Afzal Auliya meiñ yuñ hi Rutba Gaus e Aazam ka.

Hadees e Mubaraka #642

GUNAHGARO KA ROZE MEHSHAR SHAAFI KHAIRUL ANAAM HOGA
DULHAN SHAFA'AT BANEGI DULHA NABI ALAIHIS SALAAM HOGA

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #642.
4 Rabi Us Saani 1437 Hijri.

Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat haiñ Rasool e kareem ﷺ irshad farmate haiñ ki maiñ qayamat ke din Adam علیہ السلام ki aulaad ka sardar rahunga aur maiñ sabse pehle qabr se uthunga aur sab se pehle maiñ hi shafa'at karunga aur sabse pehle meri hi shafa'at qubool ki jaaegi.

#Mishkat Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaa #641

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #641

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 13

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Beshak tumhare liye nishani thi.
2⃣ Do garoh meiñ jo aapas meiñ bhid pade.
3⃣ Ek jat'tha Allah ki raah meiñ ladta.

▶ Tafseer
1⃣ Iske mukhaatib yahood hai aur baaz ke nazdeek tamaam kuffar aur baaz ke nazdeek momineen. (#Jumal)
2⃣ Jange badar meiñ.
3⃣ Yani Nabi e Kareem ﷺ aur Aap ﷺ ke As'haab unki kul taadad 313 thi 70 muhajir aur 236 Ansaar muhajireen ke sahabe raayat Hazrate Ali Murtaza the aur Ansar ke Hazrat Sa'ad Bin Ubaada رضي الله عنهم us kul lashkar meiñ 2 ghode 70 ouñth aur 6 jirah 8 talware thi aur is waaqiya meiñ 14 sahaba shaheed huwe 6 muhajir aur 8 Ansaar.

〰〰 to be contd.




Sent from my iPhone

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #641

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani #641

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat e Imam Jafar Sadiq رضي الله عنه ne Kashf ul Guyub mein tehreer farmaya ke jumah ki raat 11 Rajjab hijri 140 Main Quraan e paak ki tilawat mein mashgul tha takriban aadhi raat khatam ho chuki thi mujh par neend ka galba gaalib huwa uss waqt ilham huwa ke iss waqt tilawat choor kar so jao.

Chunache Main so gaya to ussi halat mein Aalam e malaqoot(firishto ki duniya) mein zahir huwa aur jald hi Aalam e malaqoot se Aalam e jabaroot ki taraf barha to khawab mein ek baagh nazar aaya jiske har darakht par tajalliya nazar aa rahi thi kuch firishte tasbeeh parh rahe the bahot se Ambiya e Kiram ki rooh e maujood thi.

Sahabi e Rasool ﷺ Hazrate Anas ibne Maalik رضي الله عنه mere paas tashreef laaye aur farmaya ki Huzoor ﷺ aapke intezaar mein hai Main Sarkar e Do Aalam ﷺ ki khidmat e akdas mein haazir huwa waha ek bade maidan mein ek shandar khaima (tent) maujood tha aur maidan ke beech mein ek takht bichha huwa tha jiss par do jaha ke Rasool ﷺ jalwa farma they, mujhe dekh kar Rehmat e Do Aalam ﷺ ne irshad farmaya ki aye mere Noor e nazar bahot jald tum hamare paas aane wale ho jo wakiya tumhe dekhne mein aa raha hai usse duniya mein likh dena, phir Huzoor ﷺ ne mujhe apne kareeb baithne ka hukm farmaya to kareeb baith gaya kuch deir ke baad 2 Rooheiñ Sarkar e do Aalam ﷺ ke takht ke kareeb aayi ek rooh ka rang heere ki tarah chamakdar tha aur doosri rooh ka rang jo piche thi wo yakoot jaisa tha.

Pehli rooh ko Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ ne apne sidhe Janoo par baithaya aur doosri rooh ko baaye Janoo par baithaya phir Sarkar e Do Aalam ﷺ ne pehli rooh ke mutalliq farmaya iska naam duniya mein Abdul Qadir Muhiyuddeen hoga iska martaba bohat buland hai iske asar se mazhab e islam mazboot hoga. Phir doosri rooh ke mutalliq irshad farmaya iska zuhoor Abdul Qadir ke baad hoga aur duniya mein iska naam Ali Ahmed Sabir hoga iske andar shaan e jalal zyada hogi aur ye haqq ke dushmano ko barbad kar dega uske baad Hazrat Jafar Sadik رضي الله عنه neend se bedaar huwe.

# Hamare Gaus e Aazam رضي الله عنه

▶ Nabi Noor e Ilaahi aur ye Noor e Mustafaai haiñ,
To phir Noori na ho kyuñ kar gharaanaa Gaus e Aazam ka.

▶ Wilaayat hai Muheet Aalam e Arwaah-e-Baala ko,
Ke Tum ho Khaatim e Arwaaho Shaah Do Jahaañ Saabir.

Hadees e Mubaraka #641

DUNIYA BANE YA BIGDE DUNIYA RAHE YA JAAYE
TU DEEN BANA PYAARE DUNIYA KA HAI KYA KARNA
KHAYA PIYA AUR PEHNA ACCHOÑ SE RAHA ACCHA KUCH DEEN KA BHI KARLE DUNIYA KA HAI KYA KARNA

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #641.
3 Rabi Us Saani 1437 Hijri.

Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai Rasool e kareem ﷺ irshad farmate haiñ duniya momin ka qaid khana hai aur kaafir ki jannat hai.

#Muslim .

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #640

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #640

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 10 , 11 & 12

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Beshak woh jo kaafir huwe.
2⃣ Unke maal aur unki aulad Allah se unhein kuch na bacha sakega aur wahi dozakh ke indhan hai jaise firaun waaloñ aur unse agloñ ka tareeka unhone hamari Aayatein jhootlayi to Allah ne unhein gunahoñ par unko pakda aur Allah ka azaab sakht farma do kaafiro se koi dum jaata hai ki tum magloob hone aur dozakh ki taraf hañke jaoge aur woh bahot hi bura bichauna.

▶ Tafseer
1⃣ Rasoole Akram ﷺ se munharif ho kar.
2⃣ Shaane nuzool Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنه se marwi hai ki jabh badar mein kuffar ko Rasool e Akram ﷺ shikast dekar Madeena Tayyabah wapas huwe to Huzoor ﷺ ne yahoodo ko jama karke farmaya ki tum Allah se daro aur isse pehle Islam laao ki tum par aisi musibat naazil ho jaisi badar mein qauraish par huwi tum jaan chuke ho Maiñ Nabi e Mursal hu tum apni kitaab mein yeh likha paate ho is par unhone kaha ki quraish to funoone haram se naa-aashna hai agar humse muqabla huwa to Aapko maloom ho jayega ke ladne wale aise hote hai is par yeh Aayate kareema naazil huwi aur unhein khabar di gayi ki woh magloob honge aur qatl kiye jaayenge giriftaar kiye jaayenge un par jizaya muqarrar hoga chunanche aisa hi huwa ki Nabi e Kareem ﷺ ne ek roz 600 ki taadad ko qatl farmaya aur bahuto ko giriftaar kiya aur ahle khaibar par jizaya muqarrar farmaya.

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani#640

Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani # 640

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ ki basharat.

Mea'raj ki raat jabh Huzoor ﷺ buraaq par sawar ho kar Hazrat e Jibreel e Amin علیہ السلاام ke saath ravana huwe to Sidrat ul Muntaha par Jibareel e Amin ruk gaye aur arz ki Aye Allah ke Rasool ﷺ abh agar Main yaha se baal barabar bhi aage gaya to Allah ﷻ ki tajalli se mere par(wings) jal jaenge ussi maqam par buraaq bhi ruk gaya.

Iske baad Sarkar e Do Aalam ﷺ ki sawari ke liye rafraf haazir huwa lekin rafraf bhi bahot se hijabat tay karne ke baad ruk gaya abh Lahoot aur La-maqaa ke siwa kuch bhi naa tha.

Hazrat e Sulatan bahoo رضي الله عنه apni kitab Noor ul Huda mein likhte hai ke uss maqam par Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه ki mubarak rooh ko mehboobi soorat mein Huzoor Nabi e Akram ﷺ ki khidmat mein hazir kiya gaya. Sarkar ﷺ ke qadmo ke niche Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ki mehboobi soorat ne apni gardan pesh ki aur sawari ki hesiyat se Sarkar e Do Aalam ﷺ ko maqam e khaas Kaaba Kausain o adna tak pahocha diya.

Nabi e Kareem ﷺ ne uss maqam e Noor mein Allah ﷻ se arz ki yeh kaun hai jisse meri aankhen thandi ho rahi hai to Allah ﷻ ne irshad farmaya Aye Habib ! tumhe mubarak ho ke yeh Muhiyuddeen Shaikh Abdul Qadir Jeelani ki rooh hai jo tumhari ummat ke wali e kamil aur tumhari Aulad se honge. Uss waqt Huzoor ﷺ intehayi shafkat se farmate hai aye Noor e nazar Muhiyuddeen jaisa ki tune apni gardan mere qadmo ke niche pesh ki kal tu Allah ﷻ ke hukm se kahega ke mera ye qadam Allah ﷻ ke har wali ki gardan par hai aur meri ummat ke tamam Auliya apni gardane tere kadam ke niche pesh karenge.

Jabh Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه paida huwe to aap ki mubarak gardan par Huzoor Rehmatulil Aalameen ﷺ ke qadam shareef ka nishan moujood tha.

# Tafrihul Khatir
# Hamare Gaus e Azam رضي الله عنه

# Ye Dil Ye Jigar hai ye Aankhen Ye Sar hai,
Jaha Chaho Rakhho Kadam Gaus e Azam.

Hadees e Mubaraka #640

GUZRE JIS RAAH SE WO SAYYIDE WAALA HOKAR
REH GAYI SAARI ZAMEEÑ AMBAR E SAARA HOKAR

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #640.
2 Rabi Us Saani 1437 Hijri.

Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ jis raaste se bhi guzar jaate baad mein aane waale shakhs khushboo se mehsoos kar leta ke idhar se Aaqa e Do Jahaañ ﷺ ka guzar huwa hai.

#Bukhari Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #639

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 639

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 8 & 9.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aye Rab hamare tedhe na kar baad iske ki tune humein hidayat di aur humein apne paas se rehmat ataa kar beshak hai bada dene wala.
2⃣ Aye Rab hamare tu sab logoñ ko jama karne wala hai us din ke liye jisme koi shubaha nahi.
3⃣ Beshak Allah ka waada nahi badalta.

▶ Tafseer
1⃣ Hisaab ya jazaa ke waste.
2⃣ Woh roze qayamat hai.
3⃣ To jiske dil mein kazi ho woh halaaq hoga aur jo tere mannat wa ehsaan se hidayat paaye wo saeed hoga najaat payega.
▶ Masla – Is Aayat se maloon huwa ki kizb manafiye uloohiyat hai lihaaza Hazrat Quddus Qadeer ka kizb muhaal aur uski taraf uski nisbat sakht be adabi. (#Madariq wa Abu Masuud Waghairah)

Nabi e Kareem ﷺ ki bataye huwi Duaein #639

Nabi e Kareem ﷺ ki Batayi huwi Duaein #639

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩Jannat ka ticket

▶Huzoor e Akram ﷺ irshad farmate haiñ jo shakhsh iss dua ko parhta rahe usske liye jannat wajib ho gayi.

#Abu Dawood, Jild 1, Safah 221.

رضيت بالله ربا و بالإسلام دينا
و بسيدنا ومولانا محمد صلى الله عليه وسلم
نبيا ورسولا

▶ Razeetu billahi Rab'baw wa bil'islami deen'av wa bi'Muhammadin sallallahu alaihi wasallam Nabi aw wa Rasoola.

Hadees e Mubaraka #639

MUJHE AISE AMAL KI DE TAUFEEQ
KE HO RAAZI TERI RAZA YAA RABB

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #639.
1 Rabi Us Saani 1437 Hijri.

Hazrat e Alqama رضي الله عنه riwayat farmate hai unhone Ummul Momineen Hazrat e Aysha رضي الله عنها se arz kiya, Aye Ummul Momineen رضي الله عنها Allah ke Rasool ﷺ ka amal e mubarak kaisa huwa karta tha, kya Huzoor ﷺ amal ke liye kuch din makhsoos farmaya karte they?

Hazrat e Aysha رضي الله عنها farmati haiñ Nahi! Huzoor ﷺ ka amal e mubarak hamesha huwa karta tha. Tum mein kaun iss tarah amal kar sakta hai jis tarah RasoolAllah ﷺ ne kiya hai.

#Bukhari Shareef, Hadees No 1981.
#Muslim Shareef, Kitab us Salah, Baab Fazilat ul Amalul Daayim, Hadees No 1865.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #638

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #638.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 636 & 637
Surah Aale Imran
Aayat No. 7

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
9⃣ Aur pukhta ilm wale.
🔟 Kehte hai hum us par imaan laaye.
1⃣1⃣ Sab hamare Rab ke paas se hai.
1⃣2⃣ Aur nasihat nahi maante magar aql wale.

▶ Tafseer
9⃣ Hazrate Ibne Abbas رضي الله عنها se marwi hai Aap farmate the ki maiñ rasekhine fil'ilm se hu aur mujahid se marwi hai ki maiñ unmein se hu jo mutashabah ki taaweel ko jaante hai Hazrate Anas bin Maalik رضي الله عنه se marwi hai ki rasekh fil'ilm woh aalim baa amal hai jo Apne ilm ka muttaba'a ho aur ek qaul mufassireen ka yeh hai ki rasekh fil'ilm woh hai jinme 4 sifate ho Taqwa Allah ka, Tawajjoh logoñ se, juhd duniya se mujada e nafs ke saath. (#Khaazin)
🔟 Ki woh Allah ki taraf se hai aur jo maana uski muraad hai haq hai aur uska naazil farmana hikmat hai.
1⃣1⃣ Mohkam ho ya mutashabah.
1⃣2⃣ aur Rasekh ilm wale kehte hai.

Nabi e Kareem ﷺ ki Batayi huwi Duaein #638

Nabi e Kareem ﷺ ki Batayi huwi Duaein #638.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Sohbat ki Dua.

▶ Huzoor e Akdas ﷺ irshad farmate haiñ ke agar koi musalman apni biwi se sohbat karne se pehle ye dua parh le to uss sohbat se jo aulad hogi usko kabhi shaitaan koi nuksan nahi pahucha sakega.

#Bukhari Shareef, Jild 2, Safah 945.

▶Bismillahi Allahumma Jannib-bish-Shaitaana wa Jannib-bish-Shaitaana maa razaktana.

بسم الله اللهم جنب الشيطان و جنب الشيطان ما رزقتنا

Hadees e Mubaraka #638

HAR BAAT BAD A'AMAALIYOÑ SE MAINE BIGAADI AUR TUMNE MERI BIGDI KO HAR BAAR BANAYA
LILLAH KARAM MERE BHI VEERANA E DIL PAR SEHRA KO TERE HUSN NE GULZAAR BANAYA

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #638.
30 Rabi Un Noor 1437 Hijri.

Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ beshak Allah Ta'ala tumhare jismoñ aur suratoñ ko nahi dekhta balke tumhare diloñ ko dekhta hai.

#Muslim Shareef, Hadees No 6702

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #637

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #637.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 636.
Surah Aale Imran
Aayat No. 7

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
5⃣ Woh ishtebaah waali ke piche padte hai.
6⃣ Gumhrahi chahne.
7⃣ Aur uska pahlu dhundhne ko.
8⃣ Aur uska thik pahlu Allah hi ko malum hai.

▶ Tafseer
5⃣ Aur uske zaahir par hukm karte hai ya tawile baatil karte hai aur yeh neki niyati se nahi balki. (#jumal)
6⃣ Aur shaq wa shubaha mein daalne. (#jumal)
7⃣ Apni khwahish ke mutabik bawajoode ki woh taawil ke ahal nahi. (#Jumal wa khaazin)
8⃣ Hakekat mein. (#jumal) aur apne karam wa ataa se jisko woh nawaze.

〰〰 to be contd.

Nabi e Kareem ﷺ ki Batayi huwi Duaein #637

Nabi e Kareem ﷺ ki Batayi huwi Duaein # 637.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩Jannat ka Khazana

▶ Hazrat e Abudullah bin Qais رضي الله عنه ka bayan hai ke Sarkar e Do Aalam ﷺ ne farmaya ki kya Main teri rehnumai aise kalema par naa karu jo Jannat ke khazano mein se hai, Maine arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ wo kaunsa kalema hai ?
To irshad farmaya woh kalema

▶ Laa haula wala quwwata illa billahi

َلا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللهِ".

#Muslim Shareef
Jild 2, Safah 351

Monday, March 28, 2016

Hadees e Mubaraka #637

IYADAT KARO APNE MOMIN BHAI KI
AUR APNE GUNAAHOÑ KO BAKSHWAAO
ISS PYARI HADEES PAR AMAL KARKE
APNE LIYE DUA KARWAALO

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #637.
29 Rabi Un Noor 1437 Hijri.

Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ jabh tum kisi beemar ke pass jaao to usse kaho ke woh tumhare liye dua karey ke uski dua Farishtoñ ki dua ki tarah hai.

#Ibne Majah Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #636

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #636.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 7

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Wahi hai jisne tum par yeh kitaab utaari iski kuch Aayatein saaf maana rakhti hai.
2⃣ Woh kitaab ki asl hai.
3⃣ Aur doosri woh hai jinke maana mein ishtebaah hai.
4⃣ Woh jinke diloñ mein kazi hai.

▶ Tafseer
1⃣ Jisme koi ehtemaal wa ishtebaah nahi.
2⃣ Ki ehkaam mein unki ruju'u kiya jaata hai aur halaal wa haram mein unhi par amal.
3⃣ Woh chand wujuh ka ehtemaal rakhti hai unmein se kaunsi wajah muraad hai yeh Allah hi jaanta hai ya jisko Allah Ta'ala ilm de.
4⃣ Yaani gumrah aur bad mazhab log jo hawa e nafsaani ke paaband hai.

〰〰 to be contd.

Nabi e Kareem ﷺ ki Batayi huwi Duaein #636

Nabi e Kareem ﷺ ki Batayi huwi Duaein #636.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Ghar se nikalte waqt ki dua.

▶ Huzoor ﷺ ne farmaya ke jo shakhsh ghar se bahar nikalte waqt yeh dua parh le to uski mushkilaat dur ho jayegi aur woh dushmano ke shar se mehfooz rahega aur shaitaan usse alag hat jayega.

#Tirmizi Shareef, Jild 2, Safah 180.

▶ Bismillahi Tawakkaltu Alal-laahi laa haula wala quwwata illa billah.


"بِسْمِ اللهِ، تَوَكَّلْتُ عَلَى اللهِ، وَلَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللهِ".

Hadees e Mubaraka #636

TUMHARE BAAD PAIDA HO NABI KOI NAHIÑ MUMKIN
NABUWWAT KHATM HAI TUM PAR KE KHATAMUL AMBIYA TUM HO

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #636.
28 Rabi Un Noor 1437 Hijri.

Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ Maiñ tamaam makhlook ki taraf Risaalat ki shaan ke saath bheja gaya hu, aur mujh par Nabuwat ke silsile ko khatam kar diya gaya hai.

#Muslim Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #635

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #635.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Aayat No. 5 & 6

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Allah par kuch chupa nahi zameen mein na aasmaan mein.
2⃣ Wahi hai ki tumhari tasweer banata hai maao ke peit mein jaisi chahe uske siwa kisi ki ibadat nahi izzat wala hiqmat wala.

▶ Tafseer
1⃣ Mard, aurat, gora, kaala, khoobsurat, bad shaql waghairah Bukhari wa Muslim ki hadees meiñ hai Sayyade Aalam ﷺ ne farmaya tumhara maaddaye paidaish Maa ke peit mein 40 roz jamaa hota hai phir utne hi din alka yaani khoone basta ki shaql mein hota hai phir utne hi din para e gosht ki surat mein rehta hai phir Allah Ta'ala ek farishta bhejta hai jo uska rizq uski umr uske amal uska anjaame kaar yaani uski sa'adat wa shakawat likhta hai phir usmein rooh daalta hai to uski kasam jiske siwa koi ma'abud nahi aadmi jannatiyo ke se amal karta rehta hai yahañ tak ki usmein aur jannat mein haath bhar ka yani bahot kam fark reh jaata hai to kitaaab sabakat karti hai aur woh dozakhiyo ke se amal karta hai isi par uska khaatma ho jaata hai aur daakhile jahannam hota aur koi aisa hota hai ki dozakhiyo ke se amal karta rehta hai yahañ tak ki usme aur dozakh mein ek haath ka fark reh jaata hai phir kitaab sabakat karti hai aur uski zindagi ka naksha badalta hai aur woh jannnatiyo ke se amal karne lagta hai isi par uska khaatma hota hai aur daakhile jannat ho jaata hai.
2⃣ Isme bhi nasara ka radd hai jo Hazrate Issa علیہ السلام ko khuda ka beta kehte aur unki ibadat karte the.

Nabi e Kareem ﷺ ki Bataye huwi Duaein #635

Nabi e Kareem ﷺ ki Batayi huwi Duaein # 635.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Sote waqt ki dua

▶ Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ke jo shakhsh bichone (bistar) par yeh dua 3 martaba parh kar soyega to Allah ﷻ uske tamam gunaah ko bakhsh dega agarche usske gunaah darakhto(tree) ke patto aur teelo(n) ki reit ki tadaad mein ho.

▶ Astagfirullah-al-lazee La Ilaha Illa huval haiyyul Qaiyyum wa Atubu Ilaihi

أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْْقَيُّومُ وَ أَتُوبُ إِلَيْهِ"