Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #705.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Aale Imran
Paara No. - 3 Ruku - 17
Aayat No. 85 , 86 , 87 & 88
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur jo Islam ke siwa koi deen chahega woh hargiz usse qubool na kiya jaaega aur woh aakhirat mein ziyañkaaro se hai ○ Kyuñ kar Allah aisi qaum ki hidayat chaahe jo Imaan laa kar kaafir ho gaye.
2⃣ Aur gawahi de chuke the ki Rasool.
3⃣ Saccha hai aur unhein khuli nishaniyañ aa chuki thi Aur Allah zaalimo ko hidayat nahi karta ○ Unka badla yeh hai ki un par laanat hai Allah aur farishtoñ aur aadmiyo ki sab ki ○ Hamesha usme rahe na un par se azaab halka ho aur na unhein mohlat di jaaye.
▶ Tafseer
1⃣ Hazrate Ibne Abbas رضي الله عنهما ne farmaya ki yeh Aayat yahood wa nasaara ke haq mein naazil huwi ki yahood Huzoor ﷺ ki be'asat se qabl aap ke waseela se duaeiñ karte the aur Aap ki Nabuwwat ke muqeer the aur Aap ko tashreef aawari ka intezaar karte the jabh Huzoor ﷺ ki tashreef aawari huwi to hasadan Aap ka inkaar karne lage aur kaafir ho gaye Maana yeh hai ki Allah Ta'ala kaise Taufeeq e Imaam de ki jo jaan pehchan kar aur maan kar munqir ho gaye.
2⃣ Yaani Sayyade Ambiya Muhammed Mustafa ﷺ.
3⃣ Aur woh raushan moujezaat dekh chuke the.
Sunday, April 3, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment