Friday, October 28, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #755

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #755.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 07
Aayat No. 149.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aye Imaan waaloñ agar tum kaafiro ke kahe par chale.
2⃣ To woh tumhe ulte paoñ lauta denge.
3⃣ Phir tuta khaake ( Nuksan utha kar ) palat jaaoge.

▶ Tafseer
1⃣ Khwaah woh yahood o nasaara ho ya munafiq o mushrik.
2⃣ Kufr wa be Deeni ki taraf.
3⃣ Masla - Is Aayat se maloom huwa ki musalmanoñ par laazim hai ki woh kuffar se alahidgi ikhtiyaar kare aur hargiz unki raaye wa mashware par amal na kare aur unke kahe par na chale.

Shaan e Imam e Aazam رضي الله عنه Hazrat e Noumaan Ibne Saabit #755.

Shaan e Imam e Aazam رضي الله عنه Hazrat e Noumaan Ibne Saabit #755.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Aap ka naam Noumaan ibne saabit hai.
▶ Aap ki kunniyat Abu Hanifa aur laqab Imaam e Aazam hai.
▶ Aap ki wiladat 80 hijri ko kufaa mein huwi.
▶ Aap ne kam o besh 30 Sahaba e Kiraam رضي الله عنهم ki ziyarat ki.
▶ Aap ko 55 martaba hajj ki sa'adat mili.

Ek baar aap Madina Munawwara pahuche aur Rauza e Anwar par hazir huwe to aap ne arz ki,

"Assalaamu Alaikum ya Sayyedul Murseelin"
to Muwaja e Aqdas se jawab mila
"Walaikum Assalaam ya Imamul Muslimeen "
Iss se pata chala khud Sarkar e Do Aalam ﷺ ne aap ko musalmano ka imaam farmaya hai.

#Tazkiratul Auliya, Safah no. 246.

Hum ahle sunnat ke liye yeh badi khushi aur gaur talab baat hai,
▶ Hamare Rasool - Rasool e Aazam.
▶ Hamare Shaheed - Shaheed e Aazam.
▶ Hamare Imam - Imam e Aazam
▶ Hamare Gaus - Gaus e Aazam.
▶ Hamare Khwaja - Khwaja e Aazam.
▶ Hamare Mujaddid - Mujaddid e Aazam.
▶ Hamare Mufti - Mufti e Aazam .

رضي الله عنهم

Hadees e Mubaraka #755

SHAAFI O NAAFI HO TUM KAAFI O WAAFI HO TUM
DARD KO KARDO DAWA TUMPE KAROROÑ DAROOD

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 755
29 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Jabeer رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ke har beemari ki dawa hai jabh beemari ko uski sahi dawa pahucha di jaati hai toh Khuda e Ta'ala ke hukm se beemar accha ho jaata hai.

#Muslim Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #754.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #754.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 06
Aayat No. 148.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ To Allah ne unhein duniya ka inaam diya.
2⃣ Aur aakhirat ke sawab ki khoobi aur neki wale Allah ko pyaare hai.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani fatah wa zafar aur dushmano par galba.
2⃣ Magfirat wa Jannat aur istehqaaq se zyada inaam wa ikraam.

Bahar e Shariat Shaheed ka Bayaan wa Masail #754

Bahar e Shar'iat.
Shaheed ka Bayaan wa Masail #754

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Istilaahe fiqh mein shaheed uss musalmaan Aaqil balig taahir ko kehte hai jo ba taur zulm kisi ala'e jareha yani zakhmi karne wale hathyaar se qatl kiya gaya aur nafs e qatl se maal na wajib huwa ho (nafs e qatl se maal wajib tabh hota hai jabh dhoke mein koi mar gaya ho maslan shikaar ke liye teer ya goli chala raha tha aur usse koi shakhs mar gaya toh maal wajib hoga jaan ke badle jaan na li jayegi) aur duniya se nafa na uthaya ho shaheed ka hukm yeh hai ki gusl na diya jaaye waise hi khoon samet dafan kardiya jaaye toh jahañ yeh hukm paya jayega fuqha ussey shaheed kahenge warna nahi, magar shaheed e fiqhi na hone se yeh lazim nahi ki shaheed ka sawaab bhi na paaye sirf iska matlab itna hoga ki gusl diya jaaye bas.

● Masla - Apni jaan ya maal ya kisi musalmaan ke bachane mein lada aur mara gaya woh shaheed hai yuñhi patthar ya lakdi ya kisi cheez se qatl kiya gaya ho.

● Masla - Jaise aur murdoñ ko khushboo lagaate hai shaheed ko bhi lagaye najaasat lagi ho toh dho daale shaheed ki namaaz e janaza padhi jaaye.

Hadees e Mubaraka #754

DEV TUJHSE KHUSH HAI PHIR HUM KYA KAREIÑ
HUM SE RAAZI HAI KHUDA PHIR TUJHKO KYA

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 754
28 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Huzaifa رضي الله عنه se riwayat hai Sarwar e Kaunainﷺ irshad farmate haiñ ke Khuda e Taala kisi badmazhab ka na roza qubool karta hai na Namaz na Zakaat na Hajj na Umraah na Jihaad na Nafl na Farz. Badmazhab Deen e Islam se is tarha nikala jaata hai jaise gundhe hue aate se baal nikala jaata hai.

#Ibne Maaja.

Sunday, October 2, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #753.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #753.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 06
Aayat No. 147.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur woh kuch bhi na kehte the siwa is dua ke.
2⃣ Ki aye Rab hamare bakhsh de hamare gunah aur jo zyadatiyañ humne apne kaam mein ki.
3⃣ Aur hamare qadam jama de aur humein un kaafir logoñ par madad de.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani himaayat e deen wa maqamaate harab mein unki zaban par koi aisa kalima na aata jisme ghabrahat pareshani aur tazalzul ka shayeeba bhi hota balki woh istaqlaal ke saath saabit qadam rehte aur dua karte.
2⃣ Yaani tamaam sagayeer wa Kabaayeer bawajood ke wo log Rabbani yaani ataqiya the phir bhi gunahoñ ka apni taraf nisbat karna shaane tawazo'a wa inkesaar aur aadabe abdiyat mein se hai.
3⃣ Isse yeh masla maloom huwa ki talabe haajat se qabl tauba wa istigfaar aadaabe dua mein se hai.

Bahar e Shar'iat Shaheed ka bayaan wa masail #753

Bahar e Shar'iat.
Shaheed ka bayaan wa masail #753

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Allah Ta'ala farmata hai jo log Allah ki raah mein qatl kiye gaye unhein murda na kaho balki woh zinda hai magar tumhe khabar nahi aur farmata hai jo log raahe khuda mein qatl kiye gaye unhein murda na gumaan kar balki woh apne rab ke yahañ zinda hai unhein rozi milti hai Allah ne apne fazl se jo diya uss par khush hai aur jo log baad wale unse abhi na mile unke liye khushkhabri ke taalib ki unpar na kuch khauf hai aur na woh ghamgeen hoñge Allah ki ne'amat aur fazl ki khushkhabri chahte hai aur yeh ki imaan waaloñ ka ajr Allah zaaye nahi farmata. Ahadees mein iske fazaail ba kasrat warid hai shahadat sirf issi ka naam nahi ki jihaad mein qatl kiye jaaye balki ek hadees mein farmaya ki iske siva saañt (7) shahdatein aur hai.
1) Jo taoon se mara shaheed hai.
2) Jo doob kar mara shaheed hai.
3) Jo jatul janab (nimoniya) mein mara shaheed hai.
4) Jo peit ki beemari mein mara shaheed hai.
5) Jo jal kar mara shaheed hai.
6) Jiske upar deewar wagaira taah padhi aur mar jaaye shaheed hai.
7) Aurat ki baccha paida hona ya kuwarepan mein mar jaye shaheed hai.
RasoolAllah ﷺ ne farmaya taoon se bhaagne wala uski misl hai jo jihaad se bhaaga aur jo sabr kare uske liye shaheed ka ajr hai. Hazrat e ibne abbas رضي الله عنه se riwayat hai ki irshad farmaya safar ki maut shahdat hai yaani safar mein mare toh shaheed hai inke siwa bohat soortein hai jin mein shahadat ka sawaab milta hai.

Hadees e Mubaraka #753

AUR KOI GAIB KYA TUMSE NIHAAÑ HO BHALA
JAB NA KHUDA HI CHUPA TUMPE KAROROÑ DAROOD

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #753
27 Rajjab 1437 Hijri.


Hazrat e Abdullah ibne Abbas رضي الله عنه riwayat farmate hai Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ Maiñe apne Rab ka deedar kiya.

#Bukhari Shareef, Kitab ul Tauheed, Jild 3, Hadees No 2364.
#Muslim Shareef, Jild 1, Safah 186.
#Tirmizi Shareef, Jild 2, Safah 472.
#Musnad e Ahmed, Jild 1, Safah 90
#Sahih Ibne Hibban, Jild 1, Safah 226.
#Tabraani Shareef, Jaame ul Bayaan, Jild 27, Safah 226
#Mustadrak, Jild 1, Safah 65.
#Imam Qazi Ayaaz Maliki, Kitab ul Shifa, Jild 1, Safah 121.
#Tafseer Ibne Kaseer, Jild 6, Safah 448.
#Sharah Muslim Shareef, Jild 1, Safah 97.
#Fathul Baari, Sharah Sahih Bukhari, Jild 8, Safah 609.
#Imam Jalaluddin Suyuti, Sharah Muslim Shareef, Jild 1, Safah 247.
#Ummat ul Qaari, Sharah Sahih Bukhari, Jild 99, Safah 199.
#Mulla Ali Qari Mirqat sharah Mishkaat Shareef, Jild 1, Safah 349.
#Ashat ul Lama'at, Sharah Mishkaat, Jild 4, Safah 431.
#Tafseer Roohul Bayan, Jild 9, Safah 222.
#Tafseer Roohul Maani, Jild 27, Safah 54.
#Musnad e Ahmed.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #752.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #752.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 06
Aayat No. 146.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur kitne hi Ambiya ne jihaad kiya unke saath bohat Khuda wale the to na sust pade un musibatoñ se jo Allah ki raah mein unhein pahuñchi aur na kamzor huwe aur na dabe aur sabr wale Allah ko mehboob hai.

▶ Tafseer
▶ Aisa hi har Imaandaar ko chahiye.

Bahar e Shar'iat Namaaz e janaaza ke masaail # 752.

Bahar e Shar'iat.
Namaaz e janaaza ke masaail # 752.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Namaaz e janaaza padhne ka tareeka yeh hai ki kaan tak haath utha kar الله أكبر kehta huwa haath neeche laaye aur naaf ke neeche hasb e dastoor baañdh le yaani jaise namaaz mein bandhte hai aur sana padhe phir bagair haath uthaye الله أكبر kahe aur durood shareef padhe behtar woh durood hai jo namaaz mein padha jaata hai aur koi doosra padha jabh bhi harj nahi phir الله أكبر kehkar apne aur mayyat aur tamaam momin wa momineen ke liye dua kare aur behtar yeh hai ki woh duaein padhe jo ahadees mein warid hai aur maasoor duaein woh duaein jo ahadees se sabit ho agar acchi tarah na padh sake toh jo dua chaahe padhe magar woh dua aisi ho ki umre akhirat se mutalliq ho.

● Masla - Chauthi takbeer ke baad bagair koi dua padhe haath khol kar salaam pher de salaam mein mayyat aur farishte aur hazireen e namaaz ki niyyat kare ussi tarah jaise aur namaazon ke salaam mein niyyat ki jaati hai yahañ itni baat zyada hai ki mayyat ki bhi niyyat kare.

● Masla - Behtar hai ki namaaz e janaza mein teen safein kare ki hadees mein hai ki jiski namaaz teen safon ne padhi uski maghfirat ho jayegi aur agar qul saat (7) hi shakhs ho toh ek imaam ho aur teen pehli saff mein aur do doosri mein aur ek teesri mein.

● Masla - Janaze mein pichli saff ko tamaam safon par fazilat hai yaani pichli mein khade hona agli ke muqable afzal hai.

#Durr e Mukhtaar.

Hadees e Mubaraka #752

MUJHE AISE AMAL KI DE TAUFEEQ
KE HO RAAZI TERI RAZA YA RAB
TU HASAN KO UTHA HASAN KARKE
HO MA'AL KHAIR KHAATIMA YA RAB

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 752
26 Rajjab 1437 Hijri.

Safar e Mea'raj ke mauke par Huzoor e Akram ﷺ ne ek qaum ko mulaheza kiya : Ek badnaseeb qaum sakht takleef mein mubtila hai. Unke saroñ ko bade bade wazni pattharo se kuchla jaata hai,udhar sar kuchla gaya idhar fauran sahi saalim hogaya, phir kuchal diya gaya unki haalat badastur yahi rehti hai.Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ ne farmaya Aye Jibrael! Yeh kaun badnaseeb log hai? Arz kiya yeh woh log hai jinke sar Allah Taala ki baargah me na jhuke.

#Majma Azvaid' Man fil israa, Hadees No. 235

Note: Jo panj waqta namaaz nahi padhte aur Namaz ko bhaar(bojh) samajte hai unhe iss tarha azaab diya jaaega.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #751.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #751.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 06
Aayat No. 145.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur koi jaan be hukme Khuda mar nahi sakti.
2⃣ sab ka waqt likha rakha hai.
3⃣ Aur jo duniya ka inaam chaahe.
4⃣ Hum usmein se usse de aur jo aakhirat ka inaam chaahe hum usmein se usse de aur kareeb hai ki hum shukr waaloñ ko sila ataa kare.

▶ Tafseer
1⃣ Isme jihaad ki targeeb hai aur musalmanoñ ko dushman ke muqabla par zari banaya jaata hai ki koi shakhs baghair hukme Ilaahi ke mar nahi sakta chaahe wo mahalik aur ma'arik mein ghus jaaye aur jabh maut ka waqt aata hai to koi tadbeer nahi bacha sakti.
2⃣ Usse aage piche nahi ho sakta.
3⃣ Aur usko apne amal wa ta'at se husoole duniya maqsood ho.
4⃣ Isse saabit huwa ki madaar niyyat par hai jaisa ki Bukhari wa Muslim Shareef ki hadees mein aaya hai.

Bahar e Shar'iat Namaaz e janaaza ke masaail #751 Contd Post #750.

Bahar e Shar'iat.
Namaaz e janaaza ke masaail #751
Contd Post #750.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

1) Baaghi yaani jo imaame barhaq par nahaa khurooj kare aur ussi baghawat mein mara gaya.
2) Daaku ki daake mein mara gaya na inn ko gusl diya jaaye na inki namaaz padhi jaaye.
3) Jo log nahak paasdari mein lade balki jo inka tamasha dekh rahe the aur patthar akar laga aur mar gaye toh inki namaaz nahi haañ inke alag alag hone ke baad mare toh namaaz hai.
4) Jisne kayi shakhs gala ghontkar maar daale.
5) Shehair mein raat ko hathyaar lekar loot maar kare.
6) Jisne apne maa ya baap ko maar dala uski bhi namaaz nahi.
7) Jo kisi ka maal cheen raha tha aur iss halaat mein mara gaya uski bhi namaaz nahi.
● Masla - Jisne khudkhushi ki halaañki yeh bohat bada gunaah hai magar uske janaaze ki namaaz padhi jayegi agarche qasdan khudkhushi ki ho jo shakhs rajm kiya gaya ya qisaas mein mara gaya usey gusl denge aur namaaz padhenge.

#Durr e Mukhtaar.

Hadees e Mubaraka #751

SHAB E ASRA KE DULHA PE DAA'IM DUROOD
NAUSHAH E BAZME JANNAT PE LAAKHOÑ SALAAM


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 751
25 Rajjab 1437 Hijri.

Sarwar e Ambiya ﷺ irshad farmate haiñ Mea'raj ki raat maine jannat mein barabar barabar ooñche mahal dekhe toh Maiñe kaha Aye Jibrael! yeh mahal kiske liye hai? Toh Jibrael ne arz kiya Yeh mahal gussa zabt karne walo ke liye aur logoñ ko darguzar karne walo ke liye hai.

#Kanzul Ummal,Hadees No. 7016.

Saturday, October 1, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #750.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #750.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 06
Aayat No. 144.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Muhammad to ek Rasool hai.
2⃣ Unse pehle aur Rasool ho chuke.
3⃣ To kya agar woh inteqaal farmaye ya shaheed ho to tum ulte paoñ phir jaaoge aur jo ulte paoñ phirega Allah ka kuch nuksaan na karega aur ankareeb Allah shukr waloñ ko sila dega.

▶ Tafseer
1⃣ Aur Rasooloñ ki be'asat ka maqsood Risaalat ki tableeg aur hujjat ka laazim kar dena hai na ki apni qaum ke darmiyan hamesha maujood rehna.
2⃣ Aur unke mutta'baeen unke baad unke deen par baaki rahe Shaane Nuzool jung e uhad mein jabh kaafiroñ ne pukara ki Muhammad Mustafa ﷺ shaheed ho gaye aur shaitan ne yeh jhooti afwaah mash'hoor ki to sahaba ko bohat ijteraab huwa aur unmein se kuch log bhaag nikle phir jabh nidaa ki gayi ki Rasool e Kareem ﷺ tashreef rakhte hai to sahaba ki ek jamaat wapas aayi Huzoor ﷺ ne unhein hajimat par malaamat ki unhone arz kiya hamare Maa aur Baap Aap par fida ho Aapki shahadat ki khabar sun kar hamare dil toot gaye aur humse thahra na gaya is par yeh Aayate Kareema naazil huwi aur farmaya gaya ki Ambiya ke baad bhi ummatoñ par unke deen ka itteba'a laazim rehta hai to agar aisa hota bhi to Huzoor ke deen ka itteba'a aur uski himaayat laazim rehti.
3⃣ Jo na phire aur apne deen par saabit rahe unko 'Shaakireen' farmaya kyuñ ki unhone apne sabaat se Ne'amat e Islaam ka shukr adaa kiya Hazrat Ali Murtaza كرم الله تعالٰی وجهه الكريم farmate the ki Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه 'Ameenush-Shakireen' haiñ.

Bahar e Shar'iat Namaaz e janaaza ke masaail #750

Bahar e Shar'iat.
Namaaz e janaaza ke masaail #750

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Namaaz e janaaza farz e kifaya hai ki ek ne bhi padh li toh sab zimmedaari se bari hogaye warna jis jis ko khabar pahuchi thi aur na padhi gunaahgaar huwe. Iski farziyat ko jo inkaar kare kafir hai.

●Masla - Uske liye jama'at shart nahi ek shaks bhi padhle farz adaa hogaya.
●Masla - Har musalman ki namaaz padhi jaaye agarche woh kaisa hi gunaahgaar wa murtakibe kabair yaani kabira gunaah karne wala ho magar chand qism ke log hai unki namaaz nahi.


To be Continued.........


#Durr e Mukhtaar.

Hadees e Mubaraka #750

WAHI HAI AWWAL WAHI HAI AAKHIR
WAHI HAI BAATIN WAHI HAI ZAAHIR
USI KE JALWE USI SE MILNE USI SE USKI TARAF GAYE THE

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 750
24 Rajjab 1437 Hijri.

Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ Maiñe apne Rab ko apni aankh aur apne dil se dekha.

#Muslim Shareef

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #749.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #749.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 143

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur tum to maut ki tamanna kiya karte the uske milne se pehle to abh woh tumhe nazar aayi aankhoñ ke saamne.

▶ Tafseer
▶ Shaane Nuzool jabh shohdaa e Badr ke darje aur martabe aur un par Allah Ta'ala ke inaam wa ehsaan bayaan farmaye gaye to jo musalman wahañ haazir na the unhein hasrat huwi aur unhone aarzu ki ke kaash kisi jihaad mein unhein haazri mayassar aaye aur shahadat ke darjaat mile unhi logoñ ne Huzoor Sayyade Aalam ﷺ se Uhad par jaane ke liye israar kiya tha unke haq mein yeh Aayat naazil huwi.

Bahar e Shar'iat Mayyat ke Masaail #749

Bahar e Shar'iat.
Mayyat ke masaail #749.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


● Masla - Mayyat ko kafan dena farz e kifaya hai agar kisi ne kafan nahi diya toh jis jis ko maloom tha sab gunaahgaar huwe kafan ke teen darje hai,
1) Zaroorat
2) Kifayat
3) Sunnat

Mard ke liye sunnat teen kapde hai,
1) Izaar
2) Lifaafa
3) Kameez
Aur aurat ke liye paanch kapde sunnat hai.
1) Izaar
2) Lifaafa
3) kameez
4) odhni
5) seena bandh,
kafan e kifayat mard ke liye do kapde hai lifaafa aur izaar aur aurat ke liye kafan e kifayat teen hai lifaafa, izaar, odhni ya lifaafa, kameez, odhni kafan e zaroorat dono ke liye yeh ki jo mayassar aaye aur kam az kam itna toh ho ki saara badan dhak jaaye.

#Durr e Mukhtaar.

Hadees e Mubaraka #749

HIJAAB UTHNE MEIÑ LAAKHOÑ PARDE
HAR EK PARDE MEIÑ LAAKHOÑ JALWE
AJAB GHADI THI KE WASL O FURQAT
JANAM KE BICHHDE GALEY MILE THE

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 749
23 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Ikramah رضي الله عنه bayan farmate hai ke Sayyeduna Abdullah ibn Abbas رضي الله عنه riwayat farmate hai Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ ne apne Rab ka deedar kiya, Maiñe arz kiya Allah Ta'ala ne yeh nahi farmaya nigaahen uska ihaata nahi kar sakti aur woh nigaahoñ ma idraak o ihaata karta hai?

Hazrat e Abdullah ibn Abbas رضي الله عنه ne farmaya tum par Tajjub hai! jabh Allah apne uss Noor ke saath Tajjalli farmaye jo uska gair mutanaahi Noor hai aur beshak Rasoolullah ﷺ ne apne Rabka do (2) martaba deedar kiya.

#Tirmizi Shareef.
#Umdatul Qari Sharah Bukhari.
#Tafseer Ibn e Kaseer.
#Subul ul Huda Warrishad.
#Mustadrak Ala Assahihain.
#Musnad Ahmad Mu'jam e Kabeer.
#Tafseer Ibn Abi Haatim.
#Surah An'aam.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #748.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #748.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 142.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Kya is gumaan mein ho ki jannat mein chale jaoge aur abhi Allah ne tumhare gaaziyoñ ka imtihaan na liya aur na sabr waloñ ki aazmayish ki.

▶ Tafseer
▶ Ki Allah ki Raza ke liye kaise sakht zakhm khaate aur takleef uthaate hai ismein un par aitaab hai jo roze Uhad kuffar ke muqable se bhaage.

Bahar e Shar'iat Mayyat ke Masaail #748

Bahar e Shar'iat.
Mayyat ke masaail #748.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Mayyat ko nehlaana farz e kifaaya hai baaz logoñ ne gusl de diya toh sab se saqit hogaya.

● Masla- Ek martaba saare badan par paani behna farz hai aur teen martaba sunnat jahañ gusl de mustahab yeh hai ki parda karle ki siva nehlaane waloñ aur madadgaaro ke doosra na dekhe nehlaate waqt khwaah uss tarah litaaye jaise kabr mein rakhte hai ya qibla ki taraf pau karke ya jo aasaan ho kare.

● Masla - Aurat inteqal kar jaaye toh shohar ussey na nehla sakta hai na chu sakta hai aur dekhne ki manahi nahi awaam mein jo yeh mashoor hai shauhar aurat ke janaze ko na kandha de sakta hai na kabr mein utaar sakta hai na muñh dekh sakta hai yeh mehaz ghalat hai sirf nehlaane aur uske badan ko bila ha'il yaani bagair kisi kapde wagaira ki aad ke haath lagane ki manahi hai.

#Durr e Mukhtaar.

Hadees e Mubaraka #748

TU BADHA ITNA KE MEA'RAJ MEIN RAB TAK PAHUCHA
KEH RAHA HAI YEH DANA AUR TAD'ALA TERA


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 748
22 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Ibn e Abbas رضي الله عنه riwayat farmate hai Allah Ta'ala ne Hazrat e Ibrahim علیہ السلام ko khullat aur Hazrat e Moosa علیہ السلام ko kalam aur Sayyeduna Muhammadur RasoolAllah ﷺ ko apne deedar se imtiyaz baksha.

#Tirmizi Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #747.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #747.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 141.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur isliye ki Allah musalmano ka nikhaar kar de .
2⃣ Aur kaafiroñ ko mitaa de.

▶ Tafseer
1⃣ Aur unhein gunahoñ se paak kar de.
2⃣ Yaani kaafiro se jo musalmano ko takleef pahunchti hai woh to musalmano ke liye shahadat o tatheer hai aur musalman jo kuffar ko qatl kare to yeh kuffar ki barbaadi aur unka istisaal hai.

Bahar e Shar'iat Mayyat ke Masaail #747

Bahar e Shar'iat
Mayyat ke masaail #747.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

● Masla - jabh usne kalima padh liya toh talkeen mauqoof kardein haan agar kalima padhne ke baad usne koi baat ki toh phir talkeen kare ki uska akhrir kalaam لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ صلى الله تعالى عليه واله وسلمَ ho.

● Masla - jabh rooh nikal jaaye toh ek chaudi patti jabde ke neeche se sar par le jakar girah de dein ki muñh khula na rahe aur ankhein band kardi jaaye aur ungliya aur haath pau seedhe kar diye jaaye yeh kaam uske ghar waaloñ mein jo zyada narmi ke saath kar sakta ho baap ya beta woh kare uske peit par loha ya gili mitti ya aur koi bhaari cheez rakhde ki peit ful na jaaye magar zaroorat se zyada wazni na ho ki takleef ki wajeh ho.

●Masla - mayyat ke saare badan ko kisi kapde se chupa de aur usko chaarpai ya takht wagaira kisi uñchi cheez par rakhe ki zameen ki seel na pahuche.

● Masla - gusl wa kafn wa dafn mein jaldi karna chahiye ki hadees mein iski bohet takeed aayi.

#Durr e Mukhtaar.

Hadees e Mubaraka #747

ISS MUBARAK MAHINE MEIN AATI HAI AISI EK RAAT
KARLO IBAADAT DIL LAGA KAR AUR PAAO SAB GHAM SE NAJ'AAT


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 747
21 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Anas رضي الله عنه se riwayat farmate hai Rajjab mein ek raat aisi hai jisme amal karne waale ko sau (100) saal ki ibadat ka sawab diya jaata hai, aur woh maah e rajjab ke khatm hone se teen din pehle 27vi rajjab ki raat hai, pas jo koi iss raat mein baraah (12) rakat iss tarah padhe ke har rakat mein Surah Fatiha ke baad aur koi Surah padhe aur har do (2) rakat mein tasshahud padhe aur aakhri rakat mein salam phairey aur phir 'SubhanAllahi Wal Hamdulillahi Wa La
Ila'aha Il'Allahu WAllahu Akbar' sau (100) martaba aur 'Astagfirullah Rabbi Min Qulli Zambiyuñ Wa At'tubu Ilaih' sau (100) martaba aur sau (100) martaba Darood Shareef padh kar apne dunyawi aur ukhrawi amoor ki takmeel ke liye dua maange aur phir subah ko roza rakhe to Allah Ta'ala uski tamam duaeiñ qabool karega, siwa iske ke woh kisi khilaaf e sharai kaam ke liye dua karey.

#Shob ul Imaan, Baab fil Sayaam, Taqsees Sahar e Rajjab Bal Zikr, Hadees No 3812.

>>Note - jis shakhs ke zimme qaza namaazein ho, woh pehle qaza namaazeiñ adaa karey uske
baad deegar nafli ibadat mein mashgool hone se behtar yeh amal hai ke faraiz ki adaaegi.