Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #750.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 06
Aayat No. 144.
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Muhammad to ek Rasool hai.
2⃣ Unse pehle aur Rasool ho chuke.
3⃣ To kya agar woh inteqaal farmaye ya shaheed ho to tum ulte paoñ phir jaaoge aur jo ulte paoñ phirega Allah ka kuch nuksaan na karega aur ankareeb Allah shukr waloñ ko sila dega.
▶ Tafseer
1⃣ Aur Rasooloñ ki be'asat ka maqsood Risaalat ki tableeg aur hujjat ka laazim kar dena hai na ki apni qaum ke darmiyan hamesha maujood rehna.
2⃣ Aur unke mutta'baeen unke baad unke deen par baaki rahe Shaane Nuzool jung e uhad mein jabh kaafiroñ ne pukara ki Muhammad Mustafa ﷺ shaheed ho gaye aur shaitan ne yeh jhooti afwaah mash'hoor ki to sahaba ko bohat ijteraab huwa aur unmein se kuch log bhaag nikle phir jabh nidaa ki gayi ki Rasool e Kareem ﷺ tashreef rakhte hai to sahaba ki ek jamaat wapas aayi Huzoor ﷺ ne unhein hajimat par malaamat ki unhone arz kiya hamare Maa aur Baap Aap par fida ho Aapki shahadat ki khabar sun kar hamare dil toot gaye aur humse thahra na gaya is par yeh Aayate Kareema naazil huwi aur farmaya gaya ki Ambiya ke baad bhi ummatoñ par unke deen ka itteba'a laazim rehta hai to agar aisa hota bhi to Huzoor ke deen ka itteba'a aur uski himaayat laazim rehti.
3⃣ Jo na phire aur apne deen par saabit rahe unko 'Shaakireen' farmaya kyuñ ki unhone apne sabaat se Ne'amat e Islaam ka shukr adaa kiya Hazrat Ali Murtaza كرم الله تعالٰی وجهه الكريم farmate the ki Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه 'Ameenush-Shakireen' haiñ.
Saturday, October 1, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment