Wednesday, April 1, 2015

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 229 - Masbuq muqtadi ki namaaz aur sajda e sahw

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Masbuq muqtadi ki namaaz aur sajda e sahw.

 Imam par sajda e sahw waajib na tha aur usne bhool kar sajda e sahw kiya, to imam aur woh muqtadi jinki koi rakat choothi na ho unki namaaz hojaaegi. Lekin masbuq muqtadi jiski kuch rakaatein choothi uski namaaz na hogi aur woh masbuq muqtadi jo sajda e sahw ke baad shamil huwa namaaz mein uski bhi namaaz na hogi.
 Aakhiri qaide mein aisa laga ke yeh pehle qaida hai aur khada hogaya to fauran qaide mein baith jaaye aur fauran attahiyaat padhe bagair hi sajda e sahw karey aur sajda e sahw ke baad atthaiyaat darood shareef dua e masoora padh kar salaam phere.
 
This entry was posted in

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 230 - Masbuq muqtadi ki namaaz aur sajda e sahw

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



 Masbuq muqtadi ki namaaz aur sajda e sahw.

 Agar masbuq muqtadi se un rakaton mein jo usne imam ke saath padhi hai, koi aisi galti huwi jisse sajda e sahw wajib ho jata hai, to sajda e sahw waajib nahi.
 Sajda e sahw waajib ho chuka lekin namaazi aakhri qaide mein attahiyaat ke baad darood o dua bhi padhli phir yaad aaya k sajda e sahw karna hai, atthiyaat ke baad salam se pehle kabhi bhi karey sajda e sahw ada ho jaaega.
 
This entry was posted in

Shaan e Ahle Bait 229 - Imam Aali Muqaam Hazrat e Imam Hussain رضي الله عنه ka Sar e Mubarak aur Shohada e Karbala ke jism mubarak

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Imam Aali Muqaam Hazrat e Imam Hussain رضي الله عنه ka Sar e Mubarak aur Shohada e Karbala ke jism mubarak.

Imam ka Sar e Anwar ibne ziyaad ke paas bheja gaya aur baki sar shimar ke saath rawana kiye gaye khud ibne saad uss roz karbala mein thehra aur 11 moharram ko apni fauj ke murdon ko jamaa kar ke namaaze janaazah padhi aur dafan kiya.

Magar Imam ke jism mubaarak aur saathiyo ki laashon ko baghair gaur o kafan wahi maidaan mein chorr diya aur parda nasheen aurton aur beemaar Hazrat e Imaam Zainul Aabideen رضي الله عنه aur bacchon ko raat bhar khule aasmaan ke niche rahe aur subha qaidi bana kar koofa ki taraf rawaana kiya gaya.

Yazeedi fauj ke ek sipaahi ka kehna hai ke jabh Sayyeda Zainab رضي الله عنه Imam Hussain رضي الله عنه ki laash ke kareeb se guzri toh rote huwe boli Yaa RasolAllah ﷺ aap par Allah ﷻ aur Farishton ka durood o salaam ho, Imam e Hussain رضي الله عنه ki laash e mubarak maidaan e jung mein hai khoon mein doobi huwi hai. Jism mubarak ke tukde tukde hai Ya RasolAllah ﷺ Aapki betiya qaid hai aur aulaad shaheed kardi gayi aur hawa in paak jismon par dhool uda rahi hai, Sayyeda ke in jumlo par dost o dushman sab rone lage.

Phir jabh karbala se yazeedi chale gaye toh qabila e bani asad jo paas hi ghazriya naam ke gaau mein rehta tha un logon ne Imam aur saathiyo ki jismon ko dafan kiya.

# Tareekh e Tibri.
# Khutbaat e Moharram.
 

Ahadees e Mubaraka 229

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Sarwar e Qaunain ﷺ irshad farmate haiٌ jo shakhs narmi se mehroom raha woh bhalaai se mehroom kar diya gaya, Allah ﷻ mehrbaan hai aur mehrbaani ko pasand karta hai.

# Muslim Shareef.
 

Sawaal o Jawaab Bazabaani Huzoor Tajush Shariah Damat Barakatuhu Alia 228

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


29 MUHARRAM 1436 hijri.

Sawaal :
ya Mohammad kahna kaisa? kuch logo ka kahna hai k ya rasullah kahna Jaiz hai lekin ya Mohammad nahi kahna chahiye.

Jawaab :
Huzoor Taajush Shari'ah ki mubaarak aawaz me samat farmayeٌ.

Live weekly question & answer session with Huzoor Taajush Shari'ah every sunday 9pm to 10pm at www.jamiaturraza.com
 

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 228 - Masbuq muqtadi ki namaaz aur sajda e sahw

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Masbuq muqtadi ki namaaz aur sajda e sahw.

 Masbuq muqtadi ne imam ke saath sajda e sahw kiya phir jabh apni baki rakatein padhne khada huwa to un rakaton mein bhi koi aisi galti huwi ke sajda e sahw waajib huwa to phirse sajda e sahw karey.
 Agar muqtadi se imam ke piche koi galti huwi jisse sajda e sahw waajib hota ho to muqtadi ko sajda e sahw karna waajib nahi aur namaaz bhi phirse padhna uske zimme nahi.
 
This entry was posted in

Ahadees e Mubaraka 228

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ sadqa dene se maal kam nahi hota hai, Maafi aur darguzar karne ke sabab Allah ﷻ bande ki izzat badhata hai, Allah Ta'ala usko buland farmata hai jo Allah ﷻ ke liye khud ko kamtar aur doosron ko khudse behtar samajhta hai.

# Muslim Shareef.
 

Shaan e Ahle Bait 227 - Huzoor ﷺ ka gumme Hussain

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Huzoor ﷺ ka gumme Hussain.

Hazrate Abu Raafe ki biwi Hazrate Salma kehti hain ke mai Ummul Momineen Umme Salma ke paas haazir hui toh unko rote huwe dekh kar rone ki wajeh poochi to unhone farmaya Maine Rasulallah ﷺ ko khwaab mai dekha ke Aaqa ke Sare anwar aur Daadhi mubarak ke baal bikhre huwe hai aur dhool se ate huwe hai,kehti hai maine arz kiya Ya Rasulallah ﷺ yeh aapka kya haal hai toh farmaya mai abhi karbala ke jahan Hussain ko shahid kiya gaya wahan gaya huwa tha.
Allahuakbar.

Hazrat Abdullah bin Abbas farmate hai ke maine ek dopher ko khwaab dekha ke Aaqa ke baal chehre par bikhre huwe hai aur dhool se ate huwe hai aur haat mubarak mai khoon se bhari hui khoon ki bottel hai toh maine arz kiya
Ya Rasulullah ﷺ
mai aur mere maa baap aap par qurbaan ho yeh kaisi bottel hai aur Aap ke chehra e zaibaa par ye kaisa gum aur malaal hai toh farmaaya iss bottel mai mere noor e nazar Hussain aur uss ke saathiyo ka khoon hai jo subha se jamaa kar raha hu.
Hazrat Abbas kehte hain ke maine taarikh aur waqt yaad rakha kuch din ke baad khabar aayi to malum huwa ke Imaame Hussain usi waqt shaheed kiye gaye the ke jab maine khwaab dekha tha.

#Rawahul Baihaqi
#Khutbaate Moharram.
 



HUZOOR ﷺKE FARMAAN PAR AMAL KARKE NEKIYA KAMAAO
ALLAH ﷻ KI BARGAAH MEIN
APNI IZZAT KO BARHAAO
 

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 227 - Masbuq muqtadi ki namaaz aur sajda e sahw

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Masbuq muqtadi ki namaaz aur sajda e sahw.

 Masbuq muqtadi yaani aisa muqtadi jiski kuch rakat ya ek hi rakat chooth gayi ho aur phir woh jamaat mein shamil huwa ho.
 Agar namaaz mein imam se aisi galti huwi ke sajda e sahw waajib huwa to muqtadi par bhi waajib hai chahe masbuq muqtadi hi kyu na ho tab bhi imam ki pairweeh karey aur sajda e sahw karey.
 Lekin masbuq muqtadi salaam phere bagair hi sajda e sahw kare, agar masbuq muqtadi ne sajda e sahw ka salaam phera to uski namaaz jati rahegi.
 Ek aham baat yaad rakhein ke masbuq muqtadi imam ke sajda e sahw mein saath dega magar sajda e sahw ke salaam me imam ka sath na dega.
This entry was posted in

Ahadees e Mubaraka 227 - Ghusse Par kaboo karna ka tohfa

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ jo bhi gusse ko pee jaaye (jab ke taakat ho ke zaahir karke badla le sakta ho) to Allah ﷻ qayamat ke din usko sardaroñ meiñ bulaayega aur ikhtiyaar dega ke jo Hoor chaahey lele.

# Abu Dawood, Tirmizi Shareef.