Wednesday, April 1, 2015

Shaan e Ahle Bait 232 - Yazeed ki khushi damiskh mein

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Yazeed ki khushi damiskh mein.

Jabh yazeed ko pata chala ke Imam Hussain رضي الله عنه ka Sar aur loota huwa qaafila damiskh (damasscus) pahuch ne wala hai toh yazeed ne shehair ko sajane ka aur khushiya manane ka hukm diya.

Ek sahaabi Hazrat e Sohail رضي الله عنه kaaro baar ke liye mulk e shaam (syria) aaye huwe the jab damiskh mein daakhil huwe toh dekha ke log khushiya mana rahe hai dhol aur baaje baj rahe hai to Aapne pucha toh saari baat pata chali aapki aankhon se aansu nikal aaye.

Aap kisi tarah qaafile tak pahuch gaye aapko rota dekh kar Ahle Bait mein se kisine rone ki wajeh puchi to jawab diya ke mein aapke nana ka sahabi hu agar mere layek koi khidmat ho toh kaho toh Sayyeda Sakina رضي الله عنها ne kaha ke agar ho sake toh mere Abaa jaan ke Sar e Anwar ko aurton se aage karwa de ke log hum se dur rahe aur hamari be pardagi na ho aapne 400 dirham de kar ye khidmat anjaam dedi.

Yeh pata chala ke khushi mein dhol bajana aur baaje bajana yeh yazeediyo ka tareeka hai to agar koi Imam Hussain رضي الله عنه se mohabbat ka daawa karta hai aur muharram ke mahine mei  ya saal ke kisi bhi din kisi bhi khushi ke mauke par dhol aur baaje bajaye ya bajwaye to apne daawa e mohabbat par usse gaur karna chahiye.

Allah ﷻ samaj ki tofeeq de Qalb o Nazar ki paakeezgi ataa farmaye.

آميــــــــــــــــــــن يَارَبَّ الْعَالَمِين

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 232 - Musafir ki namaaz ke masail

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Musafir ki namaaz ke masail.

 Shari'at e Mutahhara ki nazar mein musaafir (traveller) woh hai jo teen (3) din ki duri tak jaane ke iraade se apni basti se safar ke liye nikle.
 Teen (3) din ki duri ka matlab hai 57.50 mile ki duri ke iraade se apni basti se nikle woh musafir hai aur namaaz chaar (4) rakat wali ko qasr karke padhega matlab do (2) rakat padhega.
 57.50 mile yaani 92.54 kilometer hiwa.
1 mile = 1.60934km
57.50 mile = 92.53705 km yaani 92.54km.
 
This entry was posted in

Ahadees e Mubaraka 231

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiٌ ke jiss mayyat ke pass Surah Yaseen ki tilawat ki jaaye to Allah ﷻ uspar aasani farma deta hai.

# Tafseer Durr e Mansoor.
 

Shaan e Ahle Bait 231 - Imam e Aali Muqaam Hazrat e Imam Hussain رضي الله عنه ka Sar e Mubarak aur padri ka imaan

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Imam e Aali Muqaam Hazrat e Imam Hussain رضي الله عنه ka Sar e Mubarak aur padri ka imaan.

Jabh yeh qaafila yazeed ke paas jaate huwe ek girja ghar (church) ke kareeb ruka toh deewar par ek shair likha huwa tha jiska mafoom yeh tha, "Jinhone Hussain ( رضي الله عنه ) ko shaheed kiya hai kya woh yeh samajhte hai ke unke Nana Alaihi Salaam qayamat ke din unki shafa'at karenge.?

Jabh yazeediyo ne dekha to tajjub karne lage aur padri se pucha ke yeh shair kabh likha hai? toh padri bola ke yeh toh mujhe malum nahi ke kisne likha hai lekin Tumhare Nabi ﷺ ke zamane se 500 saal pehle se likha huwa hai.

Jabh padri ko pata chala ke yeh saare sar Nabi ﷺ ke ghar walo ke hai aur yeh qaidi Nabi ﷺ ke ghar waale hai to uske dil par bohot bura asar huwa ke yeh kitne bure log hai ke apne hi Nabi ﷺ ke gharwalo ke saath aisa sulook kiya.

Phir us raahib padri ne fauji se kaha ke dus hazaar (10000) dirham dunga mujhe Hussain ( رضي الله عنه ) ka sar ek raat ke liye do fauji maan gaye.

Padri ne Imam Hussain رضي الله عنه ke sar ko lekar chehre se dhool o gubaar saaf ki zulfon aur daadhi shareef ko sawaara aur itar aur kaafoor se khushboo ki aur adab se Sar e Anwar ke saamne baith kar ziyarat karne lage Allah ﷻ ko uska adab pasand aaya wo rone laga Rehmat ke darwaze khul gaye aur nigaahon se parde uth gaye Sar e Mubarak se aasmaan tak Noor ki raushni dekhi aur us padri ne yeh dekh kar Kalma padh liya aur musalmaan ho gaya. Subha Sar e Anwar wapas kar diya aur apne waade ke mutabik dus hazaar dirham bhi unko dediya. Wahi dus hazaar dirham aage chal kar jabh khole gaye to sab theekri aur mitti ho gaye the.

# Khutbaat e Karbala

 


Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 231

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Musafir ki namaaz ke masail.

 Har shakhs ko kahin na kahin safar karna padhta hai aur namaaz har haal mein momin par farz hai, lekin safar mein padhe jaane waali namaaz mein kuch aasaaniyan hai.
 Safar mein zohar, asar aur isha. Matlab chaar (4) rakat wali farz namaazon mein qasr ka hukm hai, yaani chaar ke badle do rakat farz padhne ka hukm hai.
 Kam karke sirf farz rakatein padhi jaaegi, Sunnaton ko poori hi padhna hai.
 
This entry was posted in

Ahadees e Mubaraka 231

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Huzooor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiٌ duniya ki halaal cheezon ko apne upar haram kar lena aur maal ko barbaad kar dena yeh tarq e duniya nahi hai balke, Duniya se beragbati yeh hai ke jo kuch maal daulat tere haathon mein hai iss par bharosa na kar, aur bharosa uspar kar jo Allah ﷻ ke dast e qudrat mein hai.

# Tirmizi Shareef.
 

Sawaal o Jawaab Bazabaani Huzoor Taajush Shari'ah Damat Barakatuhu Alia 230

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


1 SAFAR 1436 hijri.

Sawaal :
Imdad Kun Imdad Kun Az Band-e-Gam Azad kun Dar Deen-o-Dunya Shaad kun Ya Ghous-e-Aazam Dastgeer Kch loug Az Ranj-o-Gam Aazad kun bhi parrhtay hain? Sahi aur Asal kia hay?


Jawaab :
Huzoor Taajush Shari'ah ki mubaarak aawaz me samat farmayeٌ.

Live weekly question & answer session with Huzoor Taajush Shari'ah every sunday 9pm to 10pm at www.jamiaturraza.com
 

Shaan e Ahle Bait 230 - Karbala ka manzar

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Shaan e Ahle Bait # 230.

Imam Hussain رضي الله عنه ka Sar e Anvar koofa pahucha aur bhare darbaar mein ibne ziyaad ke saamne ek thaal mein laya gaya, ibne ziyaad apne haath ki chhadi se Imam ke hothon aur daanton ko thokar maarne laga. Ek sahaabi Zaid bin Arqam jo budhe ho chuke the, tadap kar rote huwe farmaya ke apni chhadi ko hataa le Khuda ki kasam maine RasoolAllah ﷺ ko in hothon aur daanton ko choomte huwe dekha hai aur rone lage.

ibne ziyaad ne kaha agar tu buddha na hota to mein teri gardan maar deta zaid wahan se uthe aur bole ke Aye arab qaum aaj se tum sab ghulaam bana diye gaye, tumne Farzand e Rasool ko qatal kiya ar zaalim ko haakim banaya, jo acchon ko qatal aur buron ko ghulaam bana raha hai, tumne zillat ko qubool kar liya aur jo zillat ko qubool kare us par khuda ki maar ho..

Phir masjid mein jama hone ka ailaan huwa log jama ho gaye ibne ziyaad ne mimbar par khade ho kar yazeed ki tareef aur Imam e Hussain رضي الله عنه ki shaan mein naa-zaiba kalimaat kahe to ek zaeef buzurg Hazrat Abdullah رضي الله عنه jo ahle bait ke chaahne wale the aur dono aankhon se mazoor the woh is gustakhi ko na sun sake aur gazabnaak ho kar farmaya ke "Tu jhoota tera baap jhoota, Hussain رضي الله عنه sacche aur Hussain رضي الله عنه ke baap (Hazrat Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم) bhi sacche aur Hussain رضي الله عنه ke Nana ﷺ bhi sacche. Tumne awlaad e Rasool ko qatal kiya aur sacchon jaisi baatein karte ho ? Yeh sun kar pakadne ka hukm diya kuch logon ke beech bachaao se woh chooth gaye lekin zaalim ibne ziyaad ne baad mein unko ghar se bulwa kar qatal kiya aur aam raaste par unke jism ko latka diya.

Imam ke Sar e Anwar ko koofa ki galiyon mein ghumaaya gaya aur wahan se shimar ke saath is bache huwe qaafle ko aur shohda ke saron ko nezon par chadha kar yazeed paleed ke paas rawaana kar diya.

# Tareekh e Tibri
# Khutbaat e Karbala
 

Sawaal o Jawaab Bazabaani Huzoor Tajush Shariah Damat Barakatuhu Alia 229

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


30 MUHARRAM 1436 hijri.

Sawaal :
Arab mein jo Gutra aur Egaal (Sar par pehannay ka Romal aur Rassi) pehna jata hay usski Sharaee Hasiyat kia hay? Baaz loug kehtay hain k ye Bid'at-e-Dalalah hay kiun k iss se Imama Sharif ki Sunnat tark hoti hay?

Jawaab :
Huzoor Taajush Shari'ah ki mubaarak aawaz me samat farmayeٌ.

Live weekly question & answer session with Huzoor Taajush Shari'ah every sunday 9pm to 10pm at www.jamiaturraza.com
 

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 229 - Masbuq muqtadi ki namaaz aur sajda e sahw

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Masbuq muqtadi ki namaaz aur sajda e sahw.

 Imam par sajda e sahw waajib na tha aur usne bhool kar sajda e sahw kiya, to imam aur woh muqtadi jinki koi rakat choothi na ho unki namaaz hojaaegi. Lekin masbuq muqtadi jiski kuch rakaatein choothi uski namaaz na hogi aur woh masbuq muqtadi jo sajda e sahw ke baad shamil huwa namaaz mein uski bhi namaaz na hogi.
 Aakhiri qaide mein aisa laga ke yeh pehle qaida hai aur khada hogaya to fauran qaide mein baith jaaye aur fauran attahiyaat padhe bagair hi sajda e sahw karey aur sajda e sahw ke baad atthaiyaat darood shareef dua e masoora padh kar salaam phere.
 
This entry was posted in