Monday, April 6, 2015

Shaan e Sayyeduna Siddique e Akbar رضي الله عنه .Day Post 359

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Hijrat ke mauke par Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه gaar e saur mein Aaqa e Kareem ﷺ se pehle daakhil huwe, ta'ake kisi nagahani uftaad ko khud par daal lein aur RasoolAllah ﷺ ko takleef na ho.

Gaar mein daakhil hone par RasoolAllah ﷺ ne unki godh mein Apna Sar rakh kar aaram farma rahe they aur ek surakh ke andar ka saanp bari shiddat se Hazrat e Abu Bakr رضي الله عنه ko dank marta magar Aap bilkul harkat na karte, Lekin Aapke aansu beh kar Sarkaar Rehmat e Aalam ﷺ ke Chehra E Aqdas par girr pare.

Aaqa e Kareem ﷺ ne pucha kya baat hai Abu Bakr to Aapne arz ki Mere maa baap Aap par fida ho, Mujhe saanp ne dank maara hai,  Tabh RasoolAllah ﷺ Apna Luhaab e Dehan unke pair par lagaye aur fauran takleef jaati rahi.

# Al Mawahib, Jild 1, Safah 149.
# Madarijun Nabuwah, Jild 2, Safah 58.

fb.me/kanzul.imaan.group
 


Bahar e Shari'at #359 - Qayamat ki Nishaniya. ⏩ Yajooj Majooj ka nikalna

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Qayamat ki Nishaniya.
⏩ Yajooj Majooj ka nikalna.

Yajooj Majooj ke marne ke baad jab pahad se hazrat Isaa علیہ السلام utrenge to saari zameen par unhe Yajooj Majooj ki lashe milengi ke ek balisht zameen bhi khali nahi milegi fir Hazrate Isaa علیہ السلام aur unke saathiyo ki dua se Allah ﷻ kuch parinde bhej dega jo unki lasho ko Allah ﷻ jahañ chahega waha phek aayenge aur unke teer kaman musalman 7 saal tak jalaaenge.

Phir aisi barish hogi ke zameen ko hamwar kar ke chhoregi jis se phal(fruits) paida honge Allah ﷻ ke hukm se zameen aur aasman se itni barkat nazil hogi ke ek anaar se puri jamat ka pet bhar jayega aur chhilke ke saaye mein 10 aadmi beth payenge dudh mein itni barkat hogi ke ek oonthni ka dudh puri jamat ke liye kafi hoga.

Uske baad ek aisa waqt aayega ke Allah ﷻ ke hukm se aisa dhuaa zahir hoga ke zameen se aasman tak andhera hi andhera hoga.

fb.me/kanzul.imaan.group
 


Hadees e Mubaraka 359 (Hadith Of The Day)

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


RasoolAllah ﷺ irshad farmate haiñ momin jabh gunaah karta hai to uske qalb par siyaah daagh lag jaata hai, agar woh tauba o astagfaar karey to uska qalb saaf hojata hai, aur agar zyada gunaah karey to yeh siyaahi badhti jaati hai yahan tak ke poora dil siyaah hojata hai, yahi woh zung hai jiska Allah Ta'ala ne zikr farmaya ke 'unke burey aamaal ne unke diloñ par zung laga diya.

# Tirmizi Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
 


Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #358 Surah Baqrah Shareef Ayat No. 35

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 35

بسم الله الرحمن الرحيم

1⃣ وَقُلْنَا يَا آدَمُ اسْكُنْ أَنتَ وَزَوْجُكَ الْجَنَّةَ          وَكُلَا مِنْهَا رَغَدًا حَيْثُ شِئْتُمَا وَلَا تَقْرَبَا هَـٰذِهِ
2⃣ الشَّجَرَةَ فَتَكُونَا مِنَ الظَّالِمِينَ

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Humne Farmaya Aye Aadam tu aur teri biwi Is jannat mein raho aur Khao is mein se be rok tok jahan Tumhara Jee chahe magar is ped ke paas na jana ki.
2⃣ Hadd se badhne walo mein ho jaaoge.

▶ Tafseer
1⃣ Isse Gandoom ya Angur waghairah Muraad hai. #Jalalain
2⃣ Zulm ke mana hai kisi shay ko be mahal waja’a karna ye mamnoo hai aur Ambiya maasoom hai unse gunah sarzad nahi hota yahan zulm khilafe aula ke mana mein hai.
▶ Masla- Ambiya علیہ السلام ko zaalim kehna ihanat wa kufr hai jo kahe wo kaafir ho jayega Allah Ta’ala Maliq wa Maula hai jo chahe farmaye isme unki Izzat hai doosre ki kya majaal ki khilafe adab kalima zaban par laaye aur khitabe Hazrate Haq ko apni jur’rat ke liye Sanad banaye hamein Tazeem wa Tauqeer aur adab wa Taa’at ka huqm farmaya hum par Yahi  laazim hai.

▶ Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group


NA BARHAAO APNE GUNAAH KABHI
KISNE KAHA MAAFI MILTI NAHI
DIL PE JO DAAG HAI MITAALO ABHI
KHUDA SE REHMAT MAANGLO SABHI

Bahar e Shari'at #357 - Qayamat ki Nishaniya. ⏩ Imam Mehndi رضي الله عنه ka daur

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Qayamat ki Nishaniya.
⏩ Imam Mehndi رضي الله عنه ka daur.

Duniya mein jab sab jagah se Islam simat kar Makkah Shareef aur Madeena shareef mein pahuch jaaega uss waqt saare Abdaal aur Auliya hijrat karke wahi pahuch jaenge saari zameen qabrastan hogi Ramazan Shareef ka mahina hoga Abdaal Kaaba Shareef ka tawaf karte honge Hazrate Imam Mehndi رضي الله عنه bhi wahi honge auliya unhe pehchan kar unse ba'it ke liye kahenge to aap inkar karenge aur gaib se awaz aayegi,

Tarjama:- "Ye Allah ke wali Mehndi hai inki baat suno aur inka hukm maano."

Phir tamam log Aapke Dast e Mubarak par ba'it honge aur Imam Mehndi رضي الله عنه sabko apne saath lekar mulk e shaam (syria) tashreef le jaaenge.

fb.me/kanzul.imaan.group
 


Shaan e Sayyeduna Siddique e Akbar رضي الله عنه .Day Post 358

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Hazrat e Siddique e Akbar رضي الله عنه ka ek laqab "Ateek" bhi hai,

Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ jo chahta hai ke aise shakhs ko dekhe jo jahannam se aazad hai to ussey chahiye ke Abu Bakr رضي الله عنه Ko Dekhe. #Tirmizi Shareef.

Baaz riwayat mein hai ke Husn o Jamaal ki wajah se Aapka laqab Ateek huwa,
Baaz riwayat mein hai ke Aapka laqab Ateek isliye huwa ke Aapke nasab mein koi baat aisi na thi ke jisse Aap par aaib lagaya jaata kyuke Aap pehle hi se khair par they.

# Madarijun Nabuwwah, Jild 2, Safah 914.

fb.me/kanzul.imaan.group

Bahar e Shari'at #358 - Qayamat ki Nishaniya. ⏩ Yajoo Majooj ka nikalna

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



⏩ Qayamat ki Nishaniya.
⏩ Yajoo Majooj ka nikalna.

Allah ﷻ ka Hazrat e Isaa علیہ السلام ke liye hukm hoga ke musalmano ko koh e toor(ek pahad ka naam) par le jao kyuki kuch aise log zahir honge jinse ladne ki kisi mein takat na hogi.

Jabh Hazrat e Isaa علیہ السلام musalmano ko koh e toor par le jaaenge to Yajooj Majooj niklenge ye itne zyada hoge ke 10 meel ki nadi (river) ya jheel se unki pehli jamat guzregi to uss jamat ke log uss nadi ya jheel ko paani peekar sukha denge baad mein aane walo ko aisa malum hoga ke kabhi yaha pani tha hi nahi.

Yeh Yajooj Majooj jabh duniya mein qatl aur garat se fursat paenge to kahenge ke zameen waloñ ko qatl kar chuke ab aasman walo ko qatl kiya jaye aur wo apne teer aasman ki taraf phekenge Allah ﷻ ki qudrat se unke teer khoon se bhare huwe girenge ye apni harkato mein mashgul honge aur waha pahad par Hazrat Isaa علیہ السلام apne saathiyo ke saath dua farmayenge ke Allah Ta'ala unki gardano mein kode paida kar dega ki ek dum mein sab mar jaaenge.

fb.me/kanzul.imaan.group
 


Hadees e Mubaraka 358 (Hadith Of The Day)

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ banda kehta hai mera maal, mera maal, jab ke uska maal sirf 3 cheezeiñ hai,
1⃣ Jo khaa kar khatam kar diya.
2⃣ Ya pehen kar galaa diya.
3⃣  Ya to Allah ﷻ ki raah meiñ kharch karke jama kar diya aakhirat ke liye, iske siwa jo bhi hai woh jaane wala hai aur ahl o ayaal ke liye chhorna hai.

# Muslim Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
 



Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #357 Surah Baqrah Shareef Ayat No. 34

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 34

بسم الله الرحمن الرحيم

◀ وَإِذْ قُلْنَا لِلْمَلَائِكَةِ اسْجُدُوا لِآدَمَ فَسَجَدُوا إِلَّا إِبْلِيسَ أَبَىٰ وَاسْتَكْبَرَ وَكَانَ مِنَ الْكَافِرِينَ


▶Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur Yaad karo jab Humne Farishto ko Huqm diya ki Aadam Ko sajdah karo to sabne sajdah kiya siwaye iblees ke, ki munqeer huwa aur guroor kiya aur Kaafir ho gaya.

▶ Tafseer
▶ Allah Ta’ala ne Hazrate  Aadam علیہ السلام ko Tamam moujudat ka namuna aur Aalame Roohani wa jismani ka majma banaya aur malaika ke liye husoole kamalat ka waseela kiya to unhe hukm farmaya ki Hazrat Aadam علیہ السلام  ko Sajdah kare Kyuki Isme Shukr guzari aur Hazrate Aadam علیہ السلام ki fazeelat ke aiteraf aur apne ma'qulah ( Farishto ki kahi hui baat ) ki ma’azarat ki shaan payi jati hai, Baaz mufassireen ka qaul hai ki Allah Ta’ala ne Hazrat Aadam علیہ السلام ko paida karne se pehle hi  Sajdah ka Huqm tamam malaika ko diya  gaya tha. #Bezawi.
Sajdah ka huqm tamam malaika ko diya gaya tha yahi Asah hai # khazin
▶Masla- Sajdah do tarah ka hota hai, ek Sajda e Ibadat jo bakasade parshist kiya jata hai Doosra Sajda e Tahiyyat jisme masjood ki tazeem manzoor hoti hai na ki ibadat.
▶Masla- Sajda e ibadat Allah Ta’ala ke liye khaas hai kisi aur ke liye nahi ho sakta na kisi shari'at mein kabhi jayaz huwa yahan jo mufassireen Sajda e Ibadat muraad lete hai wo farmate hai ki Sajdah Khaas Allah Ta’ala ke liye tha Aur Hazrat Aadam علیہ السلام Qibla banaye gaye the to wo masjood ileh the na ki masjood lahu. magar ye qaul zayeef hai kyun ki is sajdah Se Hazrate Aadam علیہ السلام Ka fazl wa sharaf zaahir farmana maqsad tha aur masjood ilaih ka saajid se afzal hona kuch zaruri nahi jaisa ki Kaaba Muazzama Huzoor ﷺ  ka Qibla wa Masjood ilaih hai, bawajood ki Huzoor ﷺ usse afzal hai, doosra qaul ye ki yahan sajda e ibadat na tha Sajda e Tahiyyat tha aur khaas Hazrate Aadam علیہ السلام ke liye tha Zameen par peshani rakh kar tha na ki sirf jhukna yahi qaul sahi hai aur isi par jahoor hai. #madarik
▶Masla- Sajda E tahiyyat pahli Shariato mein jayaz tha Hamari Shariat mein Mansukh kiya gaya ab kisi ke liye jayaz nahi hai kyuki jabh Hazrate Salman رضي الله عنه ne Huzoor e Aqdas ﷺ ko Sajdah karne ka irada kiya to Huzoor ﷺ  ne farmaya ki Makhlooq ko na chahiye ki Allah Ta’ala ke siwa kisi ko sajdah kare #madarik. Malaika mein sabse pehle sajdah karne wale Hazrate Jibrail علیہ السلام hai phir Mikayil علیہ السلام phir israfil علیہ السلام phiir izrayil علیہ السلام phir aur malaikaye mukarrabin ye Sajda Jumaa ke roz Waqte jawal se asr tak kiya. Ek qaul ye bhi hai ki Malaika Mukarrabin 100 baras aur ek qaul me 500 baras sajdah me rahe, shaitan ne Sajdah na kiya  aur barahe takabbur ye aitekad karta raha ki wo Hazrate Aadam علیہ السلام se afzal hai uske liye sajdah ka hukm Maaz’Allah khilafe hiqmat hai aur is aitekade baatil se wo kaafir ho gaya.
▶Masla- Is aayat mein dalail hai ki Hazrate Aadam علیہ السلام farishto se afzal hai ki unse unhe sajdah karaya gaya.
▶Masla- Takabbur nihayat Khabees hai isse kabhi mutakabbir ki naubat Kufr tak Pahochti hai  # bezawi wa jamal.

▶Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group


KHAAYA PIYA AUR PEHNA
ACCHOÑ SE RAHA ACCHA
KUCH DEEN KA BHI KARLE
DUNIYA KA HAI KYA KARNA

Shaan e Sayyeduna Siddique e Akbar رضي الله عنه .Day Post 357

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ

Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ Mere 4 wazeer haiñ, Do (2) ahle aasmaan se
1⃣ Hazrat e Jibreel علیہ السلاام
2⃣ Hazrat e Mikaail علیہ السلاام
Aur do (2) ahle zameen se
1⃣ Hazrat e Abu Bakr Siddique رضي الله عنه
2⃣ Hazrat e Umar Farooque e Aazam رضي الله عنه

# Tafseer Alam Nashrah Safah 196.

Hazrat e Abu bakr Siddique رضي الله عنه ki shaan mein Imam ul Sufiyah Hazrat e Daata Ali Hajveri رضي الله عنه apni kitaab kashful Mehjoob Shareef mein farmate hai "Hazrat e Siddique Akbar رضي الله عنه saare musalmaano ke Shaykh (Peer) aur Ambiya علیہ السلاام ke baad saari makhlook mein sabse Afzal hai.

Aur kisike liye jaiz nahi ke Hazrate Abu bakr رضي الله عنه ke aage qadam rakhe.

# Kashful Mehjoob Shareef.