Tuesday, May 26, 2015

Bahar e Shari'at #368.

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Qayamat ka Aagaz.

Qayamat ke din har ek ko uska aamal'naama diya jaaega jo neik honge unke dahine haath mein aur jo gunehgaar honge unke baaye haath mein aur jo kafir honge unka seena todh kar unka baaya haath piche nikal kar peeth ke piche diya jaaega.

Pul-sirat haqq hai ye ek aisa pul hai jo jahannam ke upar lagaya jaaega baal se barik aur talwar se zyada tez hoga jannat mein janeka yahi raasta haiñ sab se pehle Huzoor e Akdas ﷺ guzrenge phir doosre Nabi wa Rasool uske baad Huzoor ﷺ ki ummat aur phir doosri ummateiñ uss par guzrengi.

Tamam mehshar wale pul-sirat ka pul paar karne mein lage honge aur Huzoor Shafi e Mehshar ﷺ pul ke kinare khade honge apni ummat ke gunehgaaro ke liye ro ro kar ye dua kar rahe honge.

" Ilahi inn gunehgaaro ko bacha le "

fb.me/kanzul.imaan.group

# Ya Ilahi jab chalooñ taareek raahe pul siraat

Aftaab e haashmi noorul huda ka saath ho
 


Hadees e Mubaraka # 368.

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Ek aurat, Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ ki khidmat meiñ kisi masle ko daryaft karne haazir huwi.
Huzoor ﷺ ne farmaya dobarah zarurat parhe to aana. Uss aurat ne arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ Aap agar yahaañ maujood na ho to kisse daryaft karu?

RasoolAllah ﷺ ne irshad farmaya agar tu aaye aur Meiñ maujood na rahu to Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه se puch lena jo mere baad khalifa hoñge.

# As Sawaaequl Muharriqah, Safah 77.

fb.me/kanzul.imaan.group
 


HAI WOH AMEER UL MOMINEEN
JO HAI SABSE BEHTAREEN
HAI KYA UNKA MARTABA
FARMATE HAIÑ RASOOLALLAH ﷺ
 


Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #367

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 46

▶Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶Jinhe yakeen hai ki unhe apne Rab se milna hai aur ussi ki taraf phirna

▶ Tafseer
▶Isme Basharat hai ki Aakhirat mein momineen ko deedare Ilahi ki ne’amat milegi.

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
 


Bahar e Shari'at #367.

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



⏩ Qayamat ka Aagaz.

Huzoor Shafi e Mehshar ﷺ ne farmaya meri ummat se 70 hazaar be-hisab jannat mein dakhil honge aur unke tufail aur waseele se har ek ke saath 70 hazaar jaaenge.

Tahajjud parhne wale bina hisab jannat mein jaaenge, Huzoorﷺ ki ummat mein aisa shakhsh bhi hoga ke jiske ninyanve(99) daftar gunaho ke honge aur har daftar itna hoga jaha tak nigah pahoche, phir woh sab daftar khole jayenge phir Allah ﷻ puchega ki inn mein se tumhe kisi baat ka inkar hai ? Mere farishte qiramin qatibin ne tum par zulm karte huwe galat baate to nahi likhi ? Ya tere paas koi bahana to nahi ?

To woh apne Rabb ke samne apne gunaho ko qabool karega, Allah Ta'ala farmaega ke haa teri ek neki hamare samne hai aur usiki wajah se aaj tuje naja'at milegi phir ek parcha nikala  jayega jis par Kalma e Shahadat likha hoga.

Allah ﷻ usse hukm dega jaao meezan par unn daftaro ke samne iss parche ko rakh do wo kahega Ya Allah ﷻ unn dafataro ke samne ye parcha kya hakikat rakhta hai Allah ﷻ farmayega tere saath insaf kiya jaaega phir ek palle par wo sab gunaho ke daftar rakhe jaaenge aur ek palle par wo parcha jis par kalima likha hai,

Allah ﷻ ki marzi se wo parche wala palla gunaho ke daftar se bhari ho jaaega ye usski rehmat hai uski rehmat mein koi kamee nahi yakeenan wo reham farmaye to thori cheez bhi bahot hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
 


Hadees e Mubaraka # 367.

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ chaar (4) aadmiyoñ ki mohabbat munaafiq ke dil meiñ jamaa nahiñ ho sakti aur naa hi momin ke siwaa koi unse muhabbat karta hai yaani Abu Bakr, Umar, Usmaan aur Ali ( رضي الله عنهم ) se.

# As Sawaaequl Muharriqah.

fb.me/kanzul.imaan.group

Hadees e Mubaraka # 367.

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ chaar (4) aadmiyoñ ki mohabbat munaafiq ke dil meiñ jamaa nahiñ ho sakti aur naa hi momin ke siwaa koi unse muhabbat karta hai yaani Abu Bakr, Umar, Usmaan aur Ali ( رضي الله عنهم ) se.

# As Sawaaequl Muharriqah.

fb.me/kanzul.imaan.group



JO NA KARE INSE MOHABBAT
WOH MOMIN HAI HI NAHIÑ
APNE DIL MEIÑ BARHAAO
MOHABBAT INKE LIYE SABHI

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #366

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 45

▶Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur Sabr aur Namaz se madad chaho aur beshaq Namaz Zaroor Bhari hai magar un par jo dil se meri taraf jhukte hai.

▶ Tafseer
▶Yaani Apni Hajato mein Sabr Aur Namaz se madad chaaho سُــــبْحانَ الله kya  pakeeza Taalim hai sabr musibatoñ ka Akhlaki muqabla hai insan Adl wa Azm Haq parasti par Bagair iske qayam nahi rah sakta, Sabr ki teen qisme hai.
1⃣ Shiddat wa musibat par nafs ko rokna.
2⃣ Taa’at wa ibadat ki mushakkato mein mustakil rehna.
3⃣ Ma’asiyat ki taraf maaeel hone se tabiyat ko baaz rakhna.
Baaz mufassiren ne yahan sabr se Roza muraad liya hai wo bhi sabr ka ek fard hai is Aayat mein musibat ke waqt Namaz ke saath istea'nat ki taalim bhi farmayi kyuki wo ibadat badaniya wa nafsaniya ki jaame’a hai aur isme Qurb e Ilahi hasil hota hai Huzoor ﷺ aham umoor ke pesh aane par mashale Namaz ho jate the is aayat mein ye bhi bataya gaya ki momineen e saadiqeen ke siwa auro par Namaz gira(n) hai.

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
 


#366 Shaan e Saiyyaduna Siddique e Akbar رضي الله عنه

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Hazrat Ali e Murataza كرم الله تعالٰی وجهه الكريم se riwayat hai ke jabh Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه ke wisaal ka waqt kareeb aaya to Aapne Hazrat e Ali رضي الله عنه ko apne sirhaane bithaya aur farmaya, aye Ali jabh Main faut hojaau to Mujhe ussi haath se gusl dena jisse tumne RasoolAllah ﷺ ko gusl diya tha aur Mujhe khushbu lagaana aur Mujhe Huzoor ﷺ ke Rauza e Aqdas ke pass le jaana agar tum dekho ke darwaza khul  gaya(izazat mil jaye) to Mujhe wahan dafn kar dena warna waapas laa kar ummatul muslimeen ke qabrastaan mein dafn kar dena
taa waqt yeh ke Allah Ta'ala apne bandon ke darmiyaan faisla farma de.

Hazrat Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم farmaate hai ke Maine Aapko gusl aur kafan diya aur Maine sabse pehle Rauza e Rasool ﷺ ke darwaaze par pahuch kar ijazat talab ki,

Maine arz ki Ya RasoolAllah ﷺ Abu Bakr Aapse dakhile ki ijazat maang rahe hai phir Maine dekha ke Rauza e Aqdas ka darwaza khul gaya aur aawaz aayi "Habeeb ko uske Habeeb ke yahan daakhil kardo, beshak Habeeb Mulaqaat e Habeeb ke liye mushtaaq hai."

# Seerat e Halbiya 493:3.
# Tareekh e Damishq 436:30.
# Al Khasais ul Kubra 492:2.

fb.me/kanzul.imaan.group

Bahar e Shari'at #366 Qayamat ka Aagaz

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Qayamat ka Aagaz.

Phir to shafa'at ka silsila shuru ho jaaega yaha tak ki jiske dil mein raai ke daane barabar bhi Imaan hoga usse bhi shafa'at kar ke jahannam se nikalaenge aur jo sacche dil se musalman ho aur uska koi neik amal naa ho usse bhi dozakh se nikalenge.

Phir tamam Nabi, Wali, Shaheed, Aalim, Hafiz aur Haji, shafa'at karenge balki wo har wo shakhs apne apne rishtedaaro ki shafa'at karega jisko koi deeni martaba ya darja ataa kiya gaya ho. na balig bacche jo mar gaye hai wo apne maa-baap ki shafa'at karenge kuch aalimo ke paas jakar kahenge ke humne aap ke liye ek waqt wuzu ke liye paani diya tha to wo aalim unki bhi shafa'at karenge.

Aqeeda:~ Hisab kitab haqq hai aur acche bure kaamoñ ka hisab kiya jayega.

Aqeeda:~ Jo hisab kitab ka inkar kare wo kafir hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
 




Hadees e Mubaraka # 366

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ Maine Abu Bakr aur Umar ko muqaddam nahi kiya balki Allah ﷻ ne unhein muqaddam kiya.

# As Sawaaequl Muharriqah.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

 HAI JO UNCHA MUQAAM
IN KHALIFAAOÑ NE PAAYA
YEH TO ALLAH ﷻ NE APNI
JANIB SE INAYAT FARMAYA