Tuesday, May 26, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #366

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 45

▶Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur Sabr aur Namaz se madad chaho aur beshaq Namaz Zaroor Bhari hai magar un par jo dil se meri taraf jhukte hai.

▶ Tafseer
▶Yaani Apni Hajato mein Sabr Aur Namaz se madad chaaho سُــــبْحانَ الله kya  pakeeza Taalim hai sabr musibatoñ ka Akhlaki muqabla hai insan Adl wa Azm Haq parasti par Bagair iske qayam nahi rah sakta, Sabr ki teen qisme hai.
1⃣ Shiddat wa musibat par nafs ko rokna.
2⃣ Taa’at wa ibadat ki mushakkato mein mustakil rehna.
3⃣ Ma’asiyat ki taraf maaeel hone se tabiyat ko baaz rakhna.
Baaz mufassiren ne yahan sabr se Roza muraad liya hai wo bhi sabr ka ek fard hai is Aayat mein musibat ke waqt Namaz ke saath istea'nat ki taalim bhi farmayi kyuki wo ibadat badaniya wa nafsaniya ki jaame’a hai aur isme Qurb e Ilahi hasil hota hai Huzoor ﷺ aham umoor ke pesh aane par mashale Namaz ho jate the is aayat mein ye bhi bataya gaya ki momineen e saadiqeen ke siwa auro par Namaz gira(n) hai.

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
 


0 comments:

Post a Comment