Tuesday, May 26, 2015

Hadees e Mubaraka # 371

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

Hazrat e Anas bin Maalik رضي الله عنه riwayat farmate haiñ, Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ ki khidmat e aqdas mein kabeera gunaah ke mutalliq sawal kiya gaya, Huzoor Sarwar e Kaunaain ﷺ ne irshad farmaya ' Allah ﷻ ke saath kisiko shareek karna, maa baap ki naa farmaani karna, naa haq kisika qatl karna aur jhooti gawaahi dena' kabeera gunaah haiñ.

# Bukhari Shareef, Hadees No 2653.
 
 SAMAJ LO YE BAAT AUR
DUSRO KO SAMJAAO
APNE AAP KO
GUNEHGAAR MAT BANAAO

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #370

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 49

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur yaad karo jab humne tumko firoun waalo se najaat bakhshi
2⃣ ki wo tum par bura azaab karte the.
3⃣ Tumhare beto ko zubah karte aur tumhari  betiya(n) zinda rakhte
4⃣ Aur usme tumhari Rab ki taraf se badi bala thi ya bada Inaam

▶Tafseer
1⃣ Qaume Kibt Amaalik se jo misr ka Baadshah hua usse Firoun kahte hai Hazrate Moosa علیہ السلام  ke Zamane ke Firoun ka naam waleed bin musaeeb bin Rayyan hai  yahan usi ka zikr hai uski umr 400 baras se zyada hui Aale Firoun se uske muttabaeen muraad hai # Jumal Waghairah
2⃣ Azaab sab bure hote hai Su’al Azaabi wo kahlayega jo aur azaabo se shaded ho isliye Hazrate Mutarjim Quddasa Sirrahu ne Bura Azaab tarjuma kiya Firoun ne Bani Israeel par nihayat bedardi se mehnat wa mashakkat ke dushwar kaam laazim kiye the pattharo ki chattane kaat kar dhote dhote unki kamare gardane zakhmi ho gai thi gareebo par tax muqarrar kiye the jo guroobe aaftaab se qabl ba-jabr wasool kiye jate the jo naadar kisi din tax ada na kar saka uske hath garden ke sath mila kar  bandh diye jaate the aur Mahina bhar tak usi museebat me rakha jaata tha aur tarah tarah ki be rahmana sakhtiya thi # Khaazin Wagairah.

〰 to be contd...

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Islami Akhlaak o Ada'ab, Bahar e Shari'at # 370.

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

▶ Haram cheezo'n ko dawa ke taur bhi istemal karna na jaaez hai , ke Hadees me irshad farmaya jo cheeze'n haraam hain un me Allah Taala ne shifa nahi rakhi hai

▶ Baaz amraaz me mareez ko be hosh karna padhta hai taake gosht kaata jaa sake ya haddi wagairah ko joda jaa sake ya zakhm me taanke lagaae jaaen is zaroorat se dawa se be hosh karna jaaez hai .

fb.me/kanzul.imaan.group
 
Hadees e Mubaraka # 370.

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

Hazrat e Abdullah bin Abbas رضي الله عنه riwayat farmate haiñ, Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ jo koi farmabardaar baccha apne maa baap ko muhabbat ki nigaah se dekhta hai to Allah Ta'ala har nazar ke badle usse Hajj e Maqbool ka sawaab ataa karta hai.

Sahaba e kiram رضي الله عنهم ne arz kiya Ya RasoolAllah ﷺ agar woh din mein 100 martaba dekhe to kya 100 Maqbool Hajj ka sawaab milega? Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ ne irshad farmaya haañ! Allah ﷻ bohat bada hai aur be-inteha karam farmaane wala hai.

#Shob Al Imaan, Hadees No 7611.
 
EK BAAR PYAR SE DEKHO ZARA
APNI NIGAHO SE AMAL KO BARAHO ZARA
FARMATE HAIÑ YE RASOOLALLAH ﷺ
KE ISS NIGAH SE HOTA HAI KHUSH KHUDA

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #369

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 48

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur daro us din se jis din koi jaan dusre ka badla na ho sakegi
2⃣aur na kaafir ke liye koi sifarish maani jaye aur na kuch lekar uski jaan chhori jaye aur na unki madad ho

▶ Tafseer
1⃣ Wo Roze Qayamat hai Aayat mein Nafs Do martaba aaya hai Pahle Nafs e Momin dusre se Nafs e Kaafir muraad hai  # madarik
2⃣ Yahan se Ruku ke aakhir tak 10 ne’amato ka bayan  hai jo Un Bani Israeel ke aaba ko mili

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Islami Akhlaak o Ada'ab, Bahar e Shari'at # 369.

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

▶ Insaan ke kisi juzz (hissa-part) ko dawa ke taur par istemal karna haraam hai , khinzeer ke baal ya haddi yaa kisi juzz ko dawa me istemal karna haraam hai .

▶ Haddiyan agar aesi dawa me daali gai hon jo khaai jaaegi to ye zaroori hai ke aese jaanwar ki haddi ho jiska khana halal hai aur zubah bhi kardiya ho, murdar ki haddi khane me istemal nahi ki jaa sakti .

fb.me/kanzul.imaan.group
 
Hadees e Mubaraka # 369.

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

Ummul Momineen Hazrat e Aisha Siddiqua رضي الله عنها riwayat farmati haiñ, Hazrat e Abu Bakr رضي الله عنه jab Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ki khidmat e Aqdas meiñ haazir huwe to RasoolAllah ﷺ ne irshad farmaya Tum minjanib Allah naar e dozakh se aazad ho.

# Tirmizi Shareef, Hadees No 3612.

NABI SE UNHONE
KI BEHADD MUHABBAT
HAI ALLAH ﷻ NE UNPAR
BARSAAYI KITNI REHMAT
 
Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #368

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 47

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aye Aulade Yaqub yaad karo mera wo ehsaan jo Maine tum par kiya aur yeh ki is saare zamane par tumhe badhai di.

▶ Tafseer
▶ Al-aalameen ka istigarak haqeeqi nahi muraad ye hai ki Maine tumhare aaba ko unke zamana walo par fazilat di ya fazl juzai Muraad hai jo Aur kisi Ummat ki fazilat ka naafi nahi ho sakta Issi liye Ummate Muhammadiya ke Haq mein irshad huwa # Roohul bayaan Jumal waghairah

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group