Sunday, October 25, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 420

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Contd post# 419.
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 106 , 107 & 108

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
2⃣ To usse behtar ya us jaisi le aayenge kya tujhe Khabar nahi ki Allah sab kuch kar sakta hai kya tujhe khabar nahi ki Allah hi ke liye hai aasmano aur zameen ki baadshahi aur Allah ke siwa tumhara na koi himayati na madadgaar kya ye chahte ho ki Apne Rasool se waisa sawal karo jo moosa se pehle hua tha aur jo Imaan ke badle kufr le.
3⃣ Woh thik raasta behak gaya.

▶ Tafseer
2⃣ Shaane Nuzool yahood ne kaha Aye Muhammed ( ﷺ ) hmare paas aap aisi kitaab laaiye jo aasman se ekbaar-hi naazil ho unke haq mein yeh aayat naazil huwi.
3⃣ Yaani jo Aayat Naazil ho chuki hai unke qubool karne mein beja bahas kare aur doosri aayate talab kare.
▶ Masla- Isse maloom huwa ki jis sawal mein mufsida ho woh buzurgo ke samne pesh karna jayaz nahi aur sabse bada mufsida ye ki usse na-farmani zaahir hoti ho.
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Islami Akhlaak o Ada'ab, Bahar e Shari'at # 419

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Mahe rajab ki chatti tareekh balke har mahine ki chatti tareeekh ko Huzoor Khwaja Gareeb Nawaz Moinuddeen Chishti Ajmeri رضي الله عنه ki fateha bhi esale sawab mein dakhil hai. Ashabe kahf ka tosha ya Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه ka tosha ya Hazrat Shaikh Abdul Haqq Radaulwi quds sirrahul azeez ka tosha bhi jaaez hai aur esale sawab mein dakhil hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Islami Akhlaak o Ada'ab, Bahar e Shari'at # 420

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Urs e Buzurgane deen jo har saal unke wisal ka din hota hai yeh bhi jaaez hai ke us tareekh mein Qurane Majeed khatam kiya jata hai aur sawab un buzurg ko pahuchaya jaata hai ya Meelad Shareef padha jaata hai ya waaz kaha jaata hai, aise amoor jo Baais e Sawab o Khair o Barkat haiñ jaise doosre dino mein jaaez hai in dino mein bhi jaaez hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


Hadees e Mubaraka #420

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat e Abdullah bin Abbas رضي الله عنه riwayat farmate hai ek Sahabi رضي الله عنه Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ ki khidmat mein haazir huwe aur arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ maiñe nazr maani thi ke agar Allah Ta'ala Aapke liye Makkah Mukarrama Fateh farma deiñ to maiñ wahan pahuch kar Kabatullah shareef ki chaukhat ko bosa doonga.

Yeh sunkar Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ tum apni Maa ke Qadmoñ ko Bosa do! Yaqeenan tumne apni nazr poori karli.

#Bukhari Shareef, Jild 15, Safah 141.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

MAA KE QADMON MEIN WO BARKAT HAI
JO MAANI HUWI NAZR POORI HO JAAYE
KHIDMAT KARTE RAHO APNI MAA KI
SABAB ISKE AAPKI HAR MURAAD BAR AAYE

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 419

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 106,107 & 108

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Jabh koi Aayat hum mansukh farmaye ya bhula de.

▶Tafseer
1⃣  Shaane Nuzool Quraane Kareem ne shara e saabika wa qutoobe qadeema ko mansukh farmaya to kuffar bahot tawahhush huwa aur unhone us par ta’an kiye is yeh Aayate Kareema Naazil huwi aur bataya gaya ki mansukh bhi Allah ki taraf se hai aur naasikh bhi dono ain e hiqmat hai aur naasikh kabhi mansukh se zyada sahal wa anfa’a hota hai Qudrate Ilahi par yakeen rakhne wale ko isme zaaye taraddud nahi qaayina mein mushahida kiya jaata hai Allah Ta’ala din se raat ko garma se sarma ko jawani se bachpan ko beemari se tandurasti ko bahaar se kharza ko mansukh farmaya hai ye tamaam naskh wa  tabdeel uski qudrat ke dalayel hai to ek Aayat aur ek hukm ke mansukh hone mein kya ta’ajjub naskh dar haqeeqat hukme Saabik ki muddat ka bayan hota hai ki wo hukm us muddat ke liye tha aur ain e hiqmat tha kuffar ki nafahami ki naskh par aiteraz karte hai aur ahle kitaab ka aiteraaz unke mo’atekadat ke lihaaz se bhi galat hai unhe Hazrate Aadam عليه السلام ki shari’at ke ahkaam ki mansukhiyat tasleem karna padegi ye manna hi padega ki shamba ( Shanichar ) ke roz duniyawi kaam unse pehle Haraam na the un par Haraam huwe ye bhi iqraar naaguzeer hoga ki tauret mein Hazrate Nooh عليه السلام ki ummat ke liye tamaam chaupaye Halaal hona bayan kiya gaya aur Hazrate Moosa عليه السلام par bahot se haraam kar diye gaye in umoor ke hote huwe naskh ka inkaar kis tarah mumkin hai.
▶ Masla – Jis tarah doosri Aayat se mansukh hoti hai usi tarah Hadees e Mutawatir se bhi hoti hai.
▶ Masla – Naskh kabhi sirf tilawat ka hota hai kabhi sirf hukm ka kabhi tilawat wa hukm dono ka behaqi ne Abu Umama se riwayat ki ke ek Ansari sahabi shab ko tahajjud ke liye uthe aur Surah Fatiha ke baad jo surat Hamesha parha karte the usko parhna chaha lekin wo bilkul yaad na aayi aur siwa e Bismillah Shareef ke kuch na parh sake subah ko dusre as-haab se iska zikr kiya un Hazraat ne farmaya hamara bhi yahi haal hai wo Surat hume bhi yaad thi aur jab hamare haafiza mein bhi na rahi Sabne Sayyade Aalam ﷺ ki khidmat mein waaqiya arz kiya Huzoore Akram ﷺ ne farmaya Aaj shab wo surat utha li gayi uske hukm wa tilawat dono mansukh huwe jin kagazo par wo likhi gayi thi un par naksh tak baaki na rahe.

〰〰 to be contd.
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Hadees e Mubaraka #419

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Shaafi e Mehshar ﷺ irshad farmate haiñ, Allah Ta'ala ne farmaya Meiñe Aapki Ummat par paañch (5) namaazeiñ farz ki haiñ aur Meiñe apne yahaañ waada kar rakha hai ke jo inko waqt ke saath paabandi se adaa karega usey Jannat meiñ daakhil karuñga aur jo inki paabandi nahi karega toh uske saath mera koi ahad (Waada) nahiñ.

#Abu Dawood Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #418

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 105

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Woh jo Kaafir hai kitabi ya mushriq.
2⃣ Woh nahi chahte ki tum par koi bhalayi utare tumhare Rab ke paas se aur Allah apni Rehmat se khaas karta hai jise chahe aur Allah bade fazl wala hai.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool yahood ki ek jamaat musalmano se dosti wa khair khwahi ka izhaar karti thi unki taqzeeb mein yeh aayat naazil huwi musalmano ko bataya gaya ki kuffar khair khwahi ke daawe mein jhute hai.(#Jumal)
2⃣ Yaani kuffar ahle kitaab aur mushrikeen dono musalmano se bugz rakhte hai aur is ranj mein hai ki unke Nabi Muhammed Mustafa ﷺ ko Nabuwwat wa Wahi ataa huwi aur musalmano ko ye ne’mate uzma mili ( #Khaazin Waghairah )

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Hadees e Mubaraka #418

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ





Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ, Shabaan ki 13vi raat ko Bargaah e Khudawandi mein apni ummat ke liye Shafa'at ki arz ki to 1/3 ummat ki shafa'at maqbool huwi, Phir 14vi raatein dua ki to 2/3 ummat ki shafa'at ataa ki gayi, Phir 15vi raat (Shab e Bara'at) mein dua ki to saari ummat ke haq mein Shafa'at qabool hogayi, siwaye unn naa farmaan bandoñ ke jo Allah Ta'ala ki ita'at se ounth ki tarah bidak kar bhaagte hai.

#Mukaashafatul Quloob.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

NA BANO WOH LOG JINHE REHMAT MILTI NAHIÑ
NEKIYO KO NIBHAAO AUR KARO HAR AMAL SAHI
ISS SHAB KITNE GUNHEGAARO KO MILTI HAI AAZAADI
ACCHE AMAL KARO NA BULAAO APNI BARBAADI

Islami Akhlaak o Ada'ab, Bahar e Shari'at # 417

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Esale Sawab yaani Qurane Majeed ya Darood Shareef ya Kalma e Tayyaba ya kisi neik amal ka sawab doosre ko pahuchana jaaez hai, zindoñ ke esale sawab se murdoñ ko fayda pahuchta hai Hadees se bhi iska jaaez hona sabit hai. Hazrat e Saad رضي الله عنه ki walida ka jabh inteqal huwa unhone Huzoor e Aqdas ﷺ ki khidmat mein arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ Saad ki maa ka inteqal hogaya kaun sa sadqa afzal hai? Irshad farmaya paani.
Unhone kunwa (well) khudwaya aur ye kaha ke Saad ki maa ke liye hai, maloom huwa ke zindoñ ke aamaal se murdoñ ko sawab milta hai aur fayda pahuchta hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 417

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 103 & 104

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur agar woh imaan laate.
2⃣ Aur parhezgaari karte to Allah ke yahañ ka sawab bohat accha hai kisi tarah unhe Ilm hota, Aye Imaan Waloñ.
3⃣ Raaeena na kaho aur yuñ arz karo ki Huzoor hum par Nazar rakhe aur pehle hi se bagaur suno.
4⃣ Aur Kafiro ke liye dardnaak azaab hai.

▶ Tafseer
1⃣ Hazrate Sayyade Qayinaat ﷺ aur Quraan paak par.
2⃣ Shaane Nuzool jabh Huzoor Aqdas ﷺ sahaba ko kuch taleem wa talkeen farmate to woh kabhi kabhi darmiyan mein arz kiya karte Raayina Ya RasoolAllah ﷺ iske ye  maana the ki Yaa RasoolAllah hamare haal ki riaayat farmaiye yaani Kalame Aqdas ko acchi tarah samajh lene ka mauqa dijiye yahood ki lugaat mein ye kalima soo e adab ke maana rakhta tha unhone is niyyat se kehna shuru kiya Hazrate Sa’ad Bin Ma’az رضي الله عنه yahood ki istilaah se waaqif the Aapne ek roz yeh kalima unki zabaan se sunkar farmaya Aye Dushmanane Khuda tum par Allah Ki Laanat agar maiñ kisi ki zabaan se ye kalima suna to uski gardan maar dunga yahood ne kaha hum par to Aap beraham hote hai Musalman bhi to yahi kehte hai is Aap ranzeeda ho kar Khidmate Aqdas mein haazir huwe hi the ki ye Aayat Naazil huwi jisme Raayeena kehne ki mumana’at farma
di gayi aur is maana ka doosra lafz Unzurna kehne ka hukm huwa.
▶ Masla – Isse Maloom huwa ki Ambiya ki taazeem wa tauqeer aur unki janaab mein kalimaate adab arz karna farz hai jis karlima mein tarqe adab ka shaeeba bhi ho wo zabaan par laana mamnu’a hai.
3⃣ Aur Hama Tan Gosh ho jao taaki ye arz karne ki zarurat hi na rahe ki Huzoor ﷺ tawajjoh farmaye kyuki darbare Nabuwwat ka yahi Adab hai.
▶ Masla – Darbare Ambiya mein Aadmi ko adab ke aala maratib ka lihaaz laazim hai.
4⃣ Ishaara hai ki Ambiya Alaihimus Salaam ki janaab mein be adabi kufr hai.

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group