Sunday, October 25, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 430

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 117

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Naya paida karne wala aasmano aur zameen ka.
2⃣ Aur jabh kisi baat ka hukm farmaye to usse yahi farmata hai ki ho jaa wo fauran ho jaati hai.

▶ Tafseer
1⃣ Jisne baghair kisi misale saabik ke Ashiya ko Adam se wajood ataa farmaya.
2⃣ Yaani Qaynaat uske iraada farmate hi wajood mein aajati hai.

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Hadees e Mubaraka #431

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ ne Hazrat e Rabeeah bin Ka'ab رضي الله عنه se ek mauke par irshad farmaya, Maañgo unhone arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ Maiñ Jannat mein Aapki rafaaqat chaahta hu, yeh sunkar RasoolAllah ﷺ irshad farmate hai kya iske alawa kuch aur nahi chaahiye Hazrat e Rabeeah رضي الله عنه ne arz kiya wahi mere liye kaafi hai.

RasoolAllah ﷺ ne irshad farmaya kasrat e sujood se tum meri madad karo.

#Muslim Shareef, Safah 193.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


MAAÑGENGE MAAÑGE JAAYEÑGE MUÑH MAAÑGI PAAYEÑGE
SARKAR ﷺ MEIN NA LAA HAI NA HAAJAT AGAR KI HAI

Zakaat ka Bayan # 430

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Ussi chiz ka (Jiss maal ki zakaat na adaa ki gayi) qayamat ke din unke gale mai tauk daala jayega jinke saath bukhl kiya aur farmata hai jo log sona chaandi jama karte hai aur use Allah ﷻ ki raah mein kharch nahee karte unhe dardnaak azaab ki khushkhabari suna do...

... jis din jahannam ki aag mein tapaye jayenge aur inse unki peshaaniyan aur karwate aur peeth daagi jayengi aur unse kaha jayega yeh woh hai jo tumne apne nafs ke liye jama kiya tha to ab chakho jo jama karte the.

Masla :- Zakaat shariat mein isko kehte hai ki Allah ke liye maal ke ek hisse ka jo Shari'at ne muqarrar kiya hai uska musalmaan, faqeer ko malik bana de.

# Qanoon e Shariat Page no- 220

Hadees e Mubaraka #430.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai ke Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ki bando ke aamaal har hafte do (2) martaba pesh kiye jaate haiñ. Peer aur jumeraat ko, har bande ki bakhshish hoti hai siwaaye us bande ke jo apne kisi musalmaan bhai se dushmani rakhta ho. Aur uske baare meiñ hukm diya jaata hai ki un dono ko chhorte raho (yaani farishte unke gunaaho ko na mitaye) yahañ tak ke woh apas meiñ dushmani ko khatam karde.

# Muslim Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


 KISI SE BHI DUSHMANI
MAT NIBHAAO
APNI BAKHSHISH KO
MAT THUKRAAO

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 429

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 115 & 116

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur purab paschim sab Allah hi ka hai tum jidhar muñh karo udhar wajadullah (Khuda Ki rehmat tumhari taraf mutawajjah) hai beshak Allah wus’at wala Ilm wala hai aur bole Khuda ne Apne liye Aulaad rakhi paaki hai usse.
2⃣ Balki ussi ki milk hai jo kuch aasmano aur zameen mein hai sab uske Huzoor gardan daale hai.

▶Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool yahood ne Hazrate Uzair عليه السلام ko aur nasaara ne Hazrat Maseeh عليه السلام ko Khuda ka beta kaha mushrikine arab ne farishton ko Khuda ki betiya bataya unke radd mein yeh Aayat naazil huwi farmaya Pak hai isse ki uske aulaad ho uski taraf aulad ki nisbat karna usko Aib lagana aur be-adabi hai Hadees mein hai ki Allah Ta’ala farmata hai Ibne Aadam ne mujhe gaali di mere liye Aulad batayi aur biwi se paak hu.
2⃣ Aur mamlook (milqiyat) hona aulad hone ke manafi hai jabh tamam jahan uska mamlook hai to koi aulad kaise ho sakta hai.

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Bahar e Shari'at, Zakat ke Masael # 429

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Zakat adaa karne mein yeh zaroori hai ki jise de malik bana de ibahat kafi  nahi yaani mubah kar dena kafi nahi (Maslan nul (tap) lagwaya ki log pani piyenge aur samjhe ki zakat adaa ho gayi to aisa karne se zakat adaa na hogi kyuki yaha maal ka malik na banaya gaya) lihaza maale zakat masjid mein sarf karna ya usse mayyat ko kafan dena ya mayyat ka dein adaa karna, pul saraa , sikaya (pyau), sadak banva dena ya nahar aur kunwa khudva dena in af'al mein kharch karna ya kitab wagairah koi cheez kharid kar waqf kar dena, naa-kafi hai yaani iss tarah ke kaam karne se zakat adaa nahi hogi.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #429

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنه riwayat farmate hai Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ koi aisa momin nahi jiska duniya o aakhirat mein Maiñ Waali nahi agar tum chaahte ho to yeh Aayat padho ( Yeh Nabi ﷺ musalmaano ka unki jaan se zyada maalik hai. #Surah Ahzaab, Aayat no 6)

Aur jo momin faut hojaaye aur apne peeche maal chhor jaaye to uske kareebi rishtedar uske waaris hoñge aur jo momin qarza chhor jaaye woh mere pass aaye Maiñ uska Waali hu.

#Bukhari Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


WAHI WAALI WAHI AAQA WAHI WAARIS WAHI MAULA
MAIÑ UNKE SADQE JAOOÑ AUR MERA KAUN WAALI HAI

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #428

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Contd Post# 427.
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 114

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
5⃣ Aur unke liye Aakhirat mein bada azaab hai.

▶Tafseer
5⃣ Shaane Nuzool Sahaba e Kiraam Rasool e Kareem ﷺ ke saath ek andheri raat mein safar mein the zehte Qibla maloom na ho saki har ek shakhs ne jis taraf uska dil jama namaz parhi subah ko Sayyade Aalam ﷺ ki khidmate Aqdas mein haal arz kiya to ye Aayat Naazil huwi.
▶ Masla- Isse Maloom huwa ki Jehte Qibla maloom ne ho sake to jis taraf dil jame ki ye Qibla hai ussi taraf munh kar ke Namaz parhe iss Aayat ke Shaan e Nuzool mein doosra qaul yeh hai ki yeh us musafir ke haq mein naazil huwi jo sawari par Nafl Adaa kare uski sawari jis taraf mutawajjeh ho jaye us taraf uski Namaz durust hai #Bukhari. #Muslim ki Ahadees se yeh saabit hai . Ek qaul yeh hai ki jabh tahweele Qibla ka hukm diya gaya to yahood ne musalmano par ta’ana zani ki unke radd mein yeh aayat naazil huwi bataya gaya ki mashrik maghrib sab Allah ka hai jis taraf chahe Qibla mu’ayyan farmaye kisi ko aiteraaz ka kya haq ( #Khaazin ) ek qaul yeh hai ki yeh Aayat dua ke haq mein waarid huwi Huzoor ﷺ se dariyaft kiya gaya ki kiss taraf munh karke dua ki jaaye uske jawab mein ye Aayat Naazil huwi ek qaul yeh hai ki yeh Aayat haq se gurez wa faraar mein hai aur khitaab un logo ko hai jo Zikre Ilaahi se rokte aur masjidon ki veerani me sayi karte hai woh duniya ki ruswayi aur azaabe aakhirat se kahi bhaag nahi sakte kyuki mashrik wa maghrib sab Allah ka hai jahan bhagenge wo girift farmayega is takdeer par waj-hullah ke maana Khuda ka Qurb wa Huzoor Hai ( Fatah ) ek qaul yeh bhi hai ki maana yeh hai ki agar kuffar khana e kaaba mein Namaz se mana kare to tumhare liye tamaam zameen masjid bana di gayi hai jahan se chaho qibla ki taraf munh kar ke namaz parho.

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Bahar e Shari'at, Zakat ke Masael # 427

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Bad mazhab ko zakat dena jaiz nahi jabh bad mazhab ka hukm yeh hai to iss zamane ke wahabi tauheen e Khuda wa tanqeese Shaane Risalat karte hai aur shaaye bhi karte hai jinko Aqabeer Aulmae Harmain Tayyebain ne bil ittefaq kafir wa murtad farmaya agarche woh apne aapko musalman kahe unhe zakat dena haram wa sakht haram hai aur di to zakat hargiz adaa na hogi.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Bahar e Shari'at, Zakat ke Masael #428

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Maa-baap mohtaj ho aur hilaa e sharai karke zakat dena chahta hai ke yeh fakeer ko dedeiñ phir fakeer unhe de aisa karna makrooh hai issi tarah hilaa e sharai karke apni aulad ko zakat dena bhi makrooh hai.
▶ Apni asl yaani Maa-baap, dada-dadi, nana-nani, wagairah jinki aulad mein ho unheiñ zakat nahi de sakta issi tarah apni aulad beta-beti, pota-poti, nawasa-nawasi wagairah ko zakat nahi de sakta issi tarah sadqa e fitr, nazr wa kaffara bhi inhe nahi de sakta.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in