Sunday, October 25, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #428

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Contd Post# 427.
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 114

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
5⃣ Aur unke liye Aakhirat mein bada azaab hai.

▶Tafseer
5⃣ Shaane Nuzool Sahaba e Kiraam Rasool e Kareem ﷺ ke saath ek andheri raat mein safar mein the zehte Qibla maloom na ho saki har ek shakhs ne jis taraf uska dil jama namaz parhi subah ko Sayyade Aalam ﷺ ki khidmate Aqdas mein haal arz kiya to ye Aayat Naazil huwi.
▶ Masla- Isse Maloom huwa ki Jehte Qibla maloom ne ho sake to jis taraf dil jame ki ye Qibla hai ussi taraf munh kar ke Namaz parhe iss Aayat ke Shaan e Nuzool mein doosra qaul yeh hai ki yeh us musafir ke haq mein naazil huwi jo sawari par Nafl Adaa kare uski sawari jis taraf mutawajjeh ho jaye us taraf uski Namaz durust hai #Bukhari. #Muslim ki Ahadees se yeh saabit hai . Ek qaul yeh hai ki jabh tahweele Qibla ka hukm diya gaya to yahood ne musalmano par ta’ana zani ki unke radd mein yeh aayat naazil huwi bataya gaya ki mashrik maghrib sab Allah ka hai jis taraf chahe Qibla mu’ayyan farmaye kisi ko aiteraaz ka kya haq ( #Khaazin ) ek qaul yeh hai ki yeh Aayat dua ke haq mein waarid huwi Huzoor ﷺ se dariyaft kiya gaya ki kiss taraf munh karke dua ki jaaye uske jawab mein ye Aayat Naazil huwi ek qaul yeh hai ki yeh Aayat haq se gurez wa faraar mein hai aur khitaab un logo ko hai jo Zikre Ilaahi se rokte aur masjidon ki veerani me sayi karte hai woh duniya ki ruswayi aur azaabe aakhirat se kahi bhaag nahi sakte kyuki mashrik wa maghrib sab Allah ka hai jahan bhagenge wo girift farmayega is takdeer par waj-hullah ke maana Khuda ka Qurb wa Huzoor Hai ( Fatah ) ek qaul yeh bhi hai ki maana yeh hai ki agar kuffar khana e kaaba mein Namaz se mana kare to tumhare liye tamaam zameen masjid bana di gayi hai jahan se chaho qibla ki taraf munh kar ke namaz parho.

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

0 comments:

Post a Comment