Wednesday, February 17, 2016

Hadees e Mubaraka #493.

ACCHE AAMAL KARO
AUR JANNAT PAAO
BURE KAAMO SE BACH KAR JAHANNAM SE NAJA'AT PAAO

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #493.

Hazrat e Abu Huraira رضي الله عنه se marvi hai ki Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ ki jo cheez insaan ko sabse zyada jannat mein dakhil karne wali hai woh taqwa aur acche akhlaq hai aur jo cheez insaan ko sabse zyada jahannam mein le jaane wali hai woh do joufdaar ( khukkal/khokli/begair haddi wali ) cheezein hai muñh aur sharmgaah.

#Tirmizi Shareef.
# Ibne Majah Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 492.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 492.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 182.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Phir jise andesha huwa ki wasiyat karne wale ne kuchh be-insafi ya gunah kiya to usne un mein sulah kara di uspar kuch gunah nahi Beshak Allah bakhshne wala meherbaan hai.

▶ Tafseer
▶ Maana yeh hai ki waaris ya wasi ya imaam ya qazi jisko bhi moosi ki taraf se naa-insafi ya nahaq kaarwayi ka andesha ho woh agar moosa-lahu ya wariso mein shara'a ke muwafiq sulah kara de to gunahgaar nahi kyuki usne haq ki himayat ke liye baatil ko badla ek qaul ye bhi hai ki muraad woh shakhs hai jo waqt e wasiyat dekhe ki moosi haq se tajaawuz karta aur khilafe shara'a tareeka ikhtiyar karta hai to usko rok de aur haq wa insaaf ka hukm kare.

Momin ka Momin par haq. #492.
Waalidein ka Haq inteqal ke baad.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ se kisine poocha Yaa RasoolAllah ﷺ kya maa baap ke inteqal ke baad unke koi haq mujh par baaki hai, Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ Haa unke liye Rehmat o Maghfirat ki dua karna, unke kiye huwe waade poore karna, unke rishtoñ ko baaki rakhna jo unki wajah se ho, aur unke dostoñ ka ehteraam karna.

#Ibne Majaah.

Hadees e Mubaraka #492.

DUSHMAN E AHMED PE SHIDDAT KIJIYE
MULHIDOÑ KI KYA MURAWWAT KIJIYE

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #492.

RasoolAllah ﷺ irshad farmate haiñ aakhiri zamaane mein dajjal kazzab fareb dene waale jhoote log aaeñge, tumhare pass aisi baatein laaeñge jinko na tumne suna hoga na tumhare abba wa ajdaad ne, tum unse durr raho aur unhein apne se durr rakho, ke kahiñ woh tumhe gumraah na karde aur kahi tumhe fitne mein mubtila na karde.

#Muslim Shareef, Jild 1, Safah 10, Hadees No 16.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 491.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 491.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 181.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ To jo wasiyat ko sun sunaakar badal de
2⃣ Uska gunah unhi badalne waloñ par hai Beshak Allah sunta jaanta hai.

▶ Tafseer
1⃣ Khwaas wasi ho ya wali ya shaahid aur wo tabdil kitabat mein kare ya taqseem mein ada e shahadat mein agar woh wasiyat muwafiqe Shara'a hai to badalne wala gunahgaar hai.
2⃣ Aur doosre khwah woh Moosi ho ya Moosa-lahu bari hai.

Momin ka Momin par haq. #491.

Momin ka Momin par haq. #491.
Waalidein ko Muhabbat se dekhna.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Huzoor Sarwar e Kaunaain ﷺ irshad farmate haiñ jo shakhs apne maa baap ko ek martaba muhabbat ki nazar se dekhe to Allah ﷻ uske badle ek maqbool haj ka sawab ataa farmaega, Sahaba e Kiram رضي الله عنهم ne arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ agar koi roz sau (100) martaba dekhe to Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ haañ Allah Ta'ala ke khazaaño mein koi kami nahi.

#Mishkaat Shareef.

Ahadees e Mubaraka # 491.

ALLAH ﷻ KO RAZI KARNE MEIN
DUNIYA DAARI BHULA KE DEKHO
MILTA HAI KYA SAJDE MEIN
SAR KO JHUKA KE DEKHO

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Ahadees e Mubaraka # 491.

Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ banda sajde mein apne Rabb se sabse zyada kareeb hota hai, to sajde mein khoob dua maanga karo.

# Muslim Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 490.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 490.

بسم الله الرحمن الرحي
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 180.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Tum par Farz hua ki jabh kisi ki mout aaye agar kuchh maal chhore to wasiyat kar jaaye Apne Maa Baap qareeb ke rishtedaaro ke liye muwafiqe dastoor ye waajib hai Parhezgaaro par

▶ Tafseer
▶ Yaani muwakif dastoore shariat ke Adl kare aur ek tihaayi maal se zyada ki wasiyat na kare aur mohtaajo par maaldaaro ko tarzeeh na de
▶ Masla – Ibteda E Islam mein ye wasiyat farz thi jab meeras ke Ahkaam naazil hue mansukh ki gayi ab gaire waaris ke liye tihayi se kam mein wasiyat karna mustahab hai ba-shart ki waaris mohtaaj na ho yaa tarqa milne par mohtaj na rahe warna tarqa wasiyat se afzal hai ( # Tafseer Ahemadi )

Momin ka Momin par haq. #490.

Momin ka Momin par haq. #490.
Maa Baap ki Khushi Jannat

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ se arz ki gayi Yaa RasoolAllah ﷺ maa baap ka aulaad par kya haq hai irshad farmate haiñ woh dono teri jannat hai yaa dozakh matlab unko khush karke jannati hojaa yaa naraaz karke jahannami hojaa.

#Ibne Majah.

Ahadees e Mubaraka # 490.

EK WALI KA DARJA
HOTA HAI KYA?
UNKO NARAZ KARNE SE
HOTA HAI NARAZ KHUDA

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Ahadees e Mubaraka # 490.

Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat haiñ Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ke Allah ﷻ farmata hai jo mere kisi wali se dushmani rakhe main usse ailaan e jung karta hu aur mera banda aisi kisi cheez ke zariye mera qurb nahi paata jo mujhe farz se zyada mehboob ho aur mera banda nafl ibadat ke zariye barabar mera qurb haasil karta rehta hai. Yahan tak ke main usse muhabbat karne lagta hu to main uska kaan ban jaata hu jisse woh sunta hai aur uski aankh ban jaata hu jisse woh dekhta hai aur uske haath ban jaata hu jisse woh pakadta hai aur uske pair ban jaata hu jisse woh chalta hai. Agar woh mujhse sawal karta hai to main usey zaroor ata karta hu aur agar woh meri panaah mangta hai to main zaroor usey panaah deta hu.

# Bukhari Shareef 05/2384 raqam 6137.
# Ibn Hibban 02/58 raqam 347.
# Baihaqi As Sunan ul Kubra 10/219