Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 492.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 182.
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Phir jise andesha huwa ki wasiyat karne wale ne kuchh be-insafi ya gunah kiya to usne un mein sulah kara di uspar kuch gunah nahi Beshak Allah bakhshne wala meherbaan hai.
▶ Tafseer
▶ Maana yeh hai ki waaris ya wasi ya imaam ya qazi jisko bhi moosi ki taraf se naa-insafi ya nahaq kaarwayi ka andesha ho woh agar moosa-lahu ya wariso mein shara'a ke muwafiq sulah kara de to gunahgaar nahi kyuki usne haq ki himayat ke liye baatil ko badla ek qaul ye bhi hai ki muraad woh shakhs hai jo waqt e wasiyat dekhe ki moosi haq se tajaawuz karta aur khilafe shara'a tareeka ikhtiyar karta hai to usko rok de aur haq wa insaaf ka hukm kare.
Wednesday, February 17, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment