Tuesday, March 1, 2016

Hadees e Mubaraka #574

SHAJA'AT NAAZ KARTI HAI JALAALAT NAAZ KARTI HAI
WOH SULTAAN E ZAMAAÑ HAI UNPE SHAUKAT NAAZ KARTI HAI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #574.

Khatoon e Jannat Sayyeda Fatima Zehra رضي الله عنها se riwayat hai ke woh Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ke marz e wisaal ke dauraan Hasan aur Hussain (رضي الله عنهم) ko Huzoor ﷺ ki khidmat e aqdas mein laayi aur arz kiya Yaa RasoolAllah ﷺ yeh Aapke shehzade hai inheiñ apni viraasat mein se kuch ataa farmaye, Huzoor Sayyed e Aalam irshad farmate haiñ Hasan ke liye mera Jaah wa Jalaal aur Sardaari wa Siyaadat hai, aur Hussain ke liye Meri Jurrat wa Shuja'at aur Karam wa Sakhawat hai.

#Tabraani Shareef, Hadees No 18474.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #573

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #573.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd Post # 572.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 247

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
2⃣ Bole use hum par baadshahi kyu kar hogi.
3⃣ Aur hum usse zyaada saltanat ke mustahiq hai aur use maal mein bhi wus'at nahi di gayi.
4⃣ Farmaya use Allah ne tum par chun liya.

▶ Tafseer
2⃣ Bani Israeel ke sardaroñ ne Apne Nabi Hazrat Shamweel عليه السلام se kaha ki Nubuwwat to Laawa Bin Yaqub عليه السلام ki aulaad mein chali aati hai aur saltanat Yahood Bin Yaqub عليه السلام ki aulaad mein aur Taaloot un dono khaandano mein se nahi hai to Baadshsh kaise ho sakte hai.
3⃣ Wo Gareeb shakhs hai Baadshah ko sahibe maal hona chahiye.
4⃣ Yaani Saltanat warsaa nahi ki kisi nasal wa khaandaan ke saath khaas ho mahaz fazle Ilaahi par hai. Isme Shiya ka radd hai jinka aitekaad ye hai ki Imamat warasat hai.

〰〰 to be contd. .

Shaan e Ahle Bait #573

Shaan e Ahle Bait #573.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

⏩ Shahadat e Shahenshah e Shaheedan Imam e Hussain رضي الله عنه

Imam Hussain رضي الله عنه ne samajh liya ke abh hujjat qayem ho gayi aur yazeedi Mere khoon se apne haathoñ ko rangeen karke hi dam lenge to Aapne irshad farmaya 'tum log jo iraada rakhte ho woh poora karo aur jise chaaho mere muqaable ke liye bhejo'. ibne saad ne mashoor aur bade bade pehelwaan aur maidan e jung ke maahiroñ ko sambhal rakha tha ke jo Shere Khuda ke Sher se muqaabla kar sake, un mein se sabse pehle Tameem bin qahtba, yazeed abtahi, badar ka beta, badar bin sohel yamani, shaam o iraq ke bade pehelwan. Yeh sab naam cheen pehelwaan the aur ye sab bade guroor se aur itraate jhoomte huwe aaye aur apne anjaam ko pahuche.

Kisi ka ek hi waar mein sar jism se uda kar uska ghamand khaak mein mila diya to kisi ne apni badhaai maari aur Imam se badkalaami ki to ek do petre mein hi uski kamar par aisa waar kiya ke uske kamar se hi 2 tukde kar diye. Kisi pehelwaan ne apni taaqat bataane ke liye apne bete ko bheja to beta bhi kho diya aur baad mein josh mein aakar khud bhi maidaan mein aa kar apni jaan se haath dho baitha. Kisiko seene mein nezah maara aur aar paar nikaal diya, To kisi ko nezeh ki nok par utha kar zameen par patak diya, To kisiko zameen par patak kar ghode ki taapon se rondh daala.

Qul milaa kar Imam ne bade bade bahadur aur naamwar pehelwaano aur unke betoñ ko thikaane laga kar laashon ka dhair laga diye. Aapki yeh bahaaduri shuja'at dekh kar yazeedi lashkar mein shor huwa ke is tarah to ye ham sabke hausle bhi todh denge aur hamare bohot se logon ko qatl kar denge, tab in zaalimon ne hazaaroñ log mil kar Imam ko chaaroñ taraf se ghair liya aur pachaaso talwaarein aur neze ek saath takraaye phir bhi Haidari Talwaar ka jalaal kam na huwa aur dushmano ke sar udte dikhayi diye.

Abh ibne saad ne teeron ki baarish karwa di aur hazaron teer ek saath Imam ki taraf barse aur Aapko aur aapke ghode ko zakhmon se choor choor kar diya, aur ek teer zeher mein dooba huwa aapki muqaddas peshaani mein laga jahan Nabi e Kareem ﷺ chooma karte the, teer lagte hi aapka chehra e zaiba khoon se tar ho gaya aur ghode se zameen par aagaye aur phir sajde mein chale gaye aur Allah ﷻ ka shukr ada kiya aur Sayyedush Shahudah ki rooh parwaaz kar gayi.

56 saal 5 mahine 5 din ki umr shareef mein Jumu'ah ke din muharram ki 10 tareekh ko hijri 61 aur angrezi calender ke mutabiq 680 mein Imam ne is dare faani se rehlat farmaayi.

nazar bin kharsha ne Imam ka sare aqdas jism mubarak se alag karne ke liye aage badha lekin Imam ki haibat se uske haath kaanp gaye aur haath se talwaar chooth gayi, phir azali badbakht khuli bin yazeed, sanaan bin anas, shibal bin yazeed, ya shimar ne aapke Sar e Aqdas ko jism se alag kar diya.

"Shehashaah e Shaheedan Ho Anookhi Shaan Waale Ho,
Hussain Ibne Ali Tum Par Shahaadat Naaz Karti Hai."

رضي الله عنهم

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥَ

#Khutubaat e Muharram.

Hadees e Mubaraka #573

BITHA KAR SHAANA E AQDAS PE KARDI SHAAN DO BAALA
NABI ﷺ KE LAADLOÑ PAR HAR FAZEELAT NAAZ KARTI HAI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #573.

Hazrat e Abdullah bin Shudaad رضي الله عنه apne walid se riwayat karte hai RasoolAllah ﷺ isha ki namaaz ke liye hamare darmiyaan tashreef laaye, Aap Hazrat e Imam Hasan ya Imam Hussain رضي الله عنهم ko uthaye huwe they, phir Huzoor ﷺ ne aage tashreef le gaye aur unheiñ bitha diya aur Aapne namaaz ke liye taqbeer farmayi aur namaaz ada karne lagey,

Aain namaaz mein Aapne taweel sajda farmaya, mere walid farmate hai maiñe sar utha kar dekha me Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ sajde mein hai aur Shehzade رضي الله عنه aapki Pusht e Anwar par hai, maiñ phir se sajde mein chala gaya.

Jabh Rasool e Akram ﷺ namaaz se farig huwe to Sahaba e Kiram رضي الله عنهم ne arz ki Ya RasoolAllah ﷺ Aapne namaaz mein sajda itna daraaz farmaya ke humein andesha huwa ke kahi koi waqiya pesh to nahi aaya? Ya Aap par Wahi e Ilahi ka nuzool ho raha hai, Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ iss tarah ki koi baat nahi huwi siwaye iske ke yeh Mera Beta Mujh par sawaar hogaya tha aur jabh tak woh apni khawaish se na utre Mujhe ujlat karna pasand na huwa.

#Nisaai Shareef, Hadees No 1129.
#Musnad e Ahmed, Hadees No 15456.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #572

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #572.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 247

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur unse unke Nabi ne farmaya Beshak Allah ne Taloot ko tumhara baadshah bana kar bheja hai.

▶ Tafseer
1⃣ Taaloot Buniyamin Bin Hazrat Yaqub عليه السلام ki aulaad se hai Aapka naam Toole kaamat ki wajah se Taaloot hai Hazrat Shamweel عليه السلام ko Allah Ta'ala ki taraf se ek Asaa mila tha aur bataya gaya tha ki jo Shakhs tumhari qaum ka baadshah hoga uska qad is Asaa ke barabar hoga Aapne us Assa se taaloot ka qad naap kar farmaya ki Maiñ tumko bahukm e Ilahi Bani Israeel ka Baadshah muqarrar karta hu aur Bani Israeel se farmaya ki Allah Ta'ala ne Taaloot ko tumhara Baadshah bana kar bheja hai. (#Khaazin wa Jumal)

〰〰 to be contd.

Shaan e Ahle Bait #572

Shaan e Ahle Bait #572.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

⏩ Shahadat e Shahenshah e Shaheedan Imam e Hussain رضي الله عنه


Parda nasheen hasrat o yaas ki khaamosh tasveer bani huwi khadi hai aur sabki aankhon se aansoo beh rahe hai Imam Hussain رضي الله عنه ne sab ko Allah ﷻ ke hawale kiya aur dushmano ke samne pahunch gaye,

Kayi din ke bhookhe pyaase hai betoñ, bhaiyoñ, bhatijoñ, bhanjoñ, saathiyoñ aur jaa-nisaron ki qurbaaniyañ de kar gham se nidhaal hai iske bawajood sher ki tarah datt kar khade ho gaye,

Hamd o salaat ke baad farmaya aye logo tum jis Rasool ﷺ ka kalma padhte ho usi Rasool ﷺ ka farmaan hai jisne Hasan o Hussain رضي الله عنهم se dushmani ki usne mujhse dushmani ki aur jisne mujhse dushmani ki usne Allah ﷻ se dushmani ki

Aye yazeediyo, Allah ﷻ se daro aur meri dushmani chordh do agar Allah ﷻ wa Rasool ﷺ par imaan rakhte ho to socho tum Khuda e Shaheed o Bashir ko kya jawab doge? aur Rasoollallah ﷺ ko kya muñh dikhaoge, Bewafaao tumne mujhe baar baar khat likhe aur bulaaya aur jabh aa gaya to Mere saath aisa bura sulook kiya ke zulm ki hadoñ ko paar kar diya, zaalimon tumne mere betoñ, bhaiyoñ, bhatijoñ, saathiyoñ ko khaako khoon mein nehlaaya fatema ke baagh ke ek ek phool ko kaat diya mere saathiyoñ ko shaheed kiya aur abh mere khoon se apne haathoñ ko rangne ka irada rakhte ho?

Apne Rasool ﷺ ka ghar viraan karne walo agar qayamat par imaan rakhte ho apne anjam par gaur karo karo aur socho, Maiñ kaun hu, Kiska nawasa hu? Mere walid kaun hai? Meri waleda kiski lakhte jigar hai?

Ussi fatema Zehra رضي الله عنها ka Maiñ lakhte jigar hu jinke pulsiraat par se guzarne ke waqt mehshar ke logoñ se kaha jayega ke aye ahle mehshar apne saroñ ko jhukalo apni aankhon ko bandh kar lo ke khatoon e jannat 70000 hooroñ ke saath guzarne wali hai, phir Imam ne farmaya aye be-gairato abh bhi waqt hai sharm se kaam lo aur mere khoon se apne haathoñ ko na rango

Aap ki baaton ka yazeedi lashkar par aisa asar huwa ke aankhon se aansoo nikal gaye shimar ne dekha ke lashkar par asar ho raha hai to fauran shor gul machane laga aur bola yeh sab chhoro yazeed ki bai'at karo ya jung ke liye taiyyar ho jao.

Imam e Aali Maqam رضي الله عنه ne farmaya aye badbakhto Maiñ janta tha tumhara yahi jawab hoga Maiñe sirf isiliye tumko yeh baatein batayi ke tum ye na keh sako ke humne haq aur imam e barhaq ko nahi pehchana tha Alhumdulillah Maiñe tum tak haq pahucha diya abh raha sawal yazeed ki bai'at ka to yeh hargiz nahi ho sakta ke Maiñ jhooth aur na-haq ke samne sar jhuka du,

Allahu Akbar kya shaan hai Imam e Aali Maqam رضي الله عنه ki.

#Khutbaat e Muharram.

Hadees e Mubaraka #572

AAH WOH RAAH E SIRAAT BANDOÑ KI KITNI BISAAT
AL MADAD AYE REHNUMA TUM PE KAROROÑ DAROOD

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #572.

Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه riwayat farmate hai Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ Mujh par Darood padhne wale ke liye Pul Siraat par Noor hoga aur jo Pul Siraat par Ahl e Noor se hoga woh dozakhiyoñ mein se nahi hoga.

#Dalail_Ul_Khairat_Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #571

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #571.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 570.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 246.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
2⃣ Jabh apne ek paigambar se bole hamare liye khada kar do ek baadshah ki hum khuda ki raah mein lade, Nabi ne farmaya kya tumhare andaz aise hai ki tum par jihaad farz kiya jaaye to phir na karo bole humein kya huwa ki hum Allah ki raah mein na lade haalañki hum nikale gaye hai apne watan aur apni aulad se.
3⃣ To phir jabh un par jihaad farz kiya gaya muñh phair gaye magar unme ke thode aur Allah khoob jaanta hai zaalimo ko.

▶ Tafseer
2⃣ Ki qaume jaloot ne hamari qaum ke logoñ ko unke watan se nikala unki aulaad ko qatl wa gaarat kiya 440 shaahi khaandan ke farzando ko giraftaar kiya jabh haalat yahañ tak pahuch chuki to abh humein jihaad se kyaa cheez maane'a ho sakti hai tabh Nabiyullah ki dua se Allah Ta'ala ne unki darkhwast qubool farmayi aur unke liye ek baadshah muqarrar kiya aur jihaad farz farmaya. (#Khaazin)
3⃣ Jinki taadaad Ahle Badar ke barabar 313 thi.

Shaan e Ahle Bait #571

Shaan e Ahle Bait #571.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

⏩ Shahadat e Shahenshah e Shaheedañ Imam e Hussain رضي الله عنه

Abh Shahenshah e karbala diloñ ke chain Jannati Jawaano ke Sardar Sabr o Raza ke paikar, Imam e Hussain رضي الله عنه ki shahaadat ka waqt aagaya jabh Aapne maidaan mein jaane ka irada kiya toh Hazrat e Zainul Aabideen رضي الله عنه apni bemaari ki kamzori ke ba'wujood nezah le kar Imam ke saamne ijaazat ke liye khade ho gaye.

Imam ne apne lakhte jigar ko seene se laga kar farmaya, Beta iss bache huwe qaafile aur aurtoñ ko tumhe hi le kar Madina Munawwara waapas lautna hai.

In maaoñ aur behno ki nigeh baani tumko hi karni hai. Meri nasal ko bhi aage tumhe hi badhana hai. Mere Nana ki saari amaanatein tumko hi sambhalni hai. Beta takleef o musibat mein sabr karna aur Nanajaan ﷺ ki Shari'at ki hamesha pairweeh karna phir Imam ne apni dastaar (amaama shareef) apne bete ke sar par rakh kar bistar par lita diya.

Phir Imam ne khud maidaan mein jaane ki taiyaari ki jabh aurtoñ ne yeh manzar dekha toh sabki aankhon se aashkon ke moti tapakne lage un mein Beti Sakina bhi hai, Zauja bhi hai, Behen Zainab bhi hai, Sab khamosh zabaan se jaise puch rahe ho ke aye saalaar e qaafila abh hamara kya hoga.

Imam ne farmaya Allah ﷻ tumhara muhaafiz o nigehbaan hai. Mere baad sabr o shukr se rehna aur Nanajaan ﷺ ki Shari'at ko mazbooti se thaame rakhna phir Aap ghode par sawaar ho gaye.

"Fatema ke laadle ka aakhri deedaar hai,
Hashr ka hangaama barpa hai darmiyaan e Ahle-bait."

#Khutbaat e Moharram.

Hadees e Mubarka #571

FIDAAYI HU TO KISKA HU KOI DEKHE MERI KISMAT
QADAM PAR JIS HASEEN KI JAAN E TAL'AT NAAZ KARTI HAI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalumu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #571.

Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ kasam uss zaat ki jiske Qabza e Qudrat mein Meri jaan hai, kisi shakhs ke dil mein Imaan daakhil hi nahi ho sakta jabh tak ke woh tum (Ahle Bait) se Allah ﷻ aur uske Rasool ﷺ ki khaatir muhabbat na karey.

#Tirmizi Shareef, Hadees No 3691.