Shaan e Ahle Bait #572.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ
⏩ Shahadat e Shahenshah e Shaheedan Imam e Hussain رضي الله عنه
Parda nasheen hasrat o yaas ki khaamosh tasveer bani huwi khadi hai aur sabki aankhon se aansoo beh rahe hai Imam Hussain رضي الله عنه ne sab ko Allah ﷻ ke hawale kiya aur dushmano ke samne pahunch gaye,
Kayi din ke bhookhe pyaase hai betoñ, bhaiyoñ, bhatijoñ, bhanjoñ, saathiyoñ aur jaa-nisaron ki qurbaaniyañ de kar gham se nidhaal hai iske bawajood sher ki tarah datt kar khade ho gaye,
Hamd o salaat ke baad farmaya aye logo tum jis Rasool ﷺ ka kalma padhte ho usi Rasool ﷺ ka farmaan hai jisne Hasan o Hussain رضي الله عنهم se dushmani ki usne mujhse dushmani ki aur jisne mujhse dushmani ki usne Allah ﷻ se dushmani ki
Aye yazeediyo, Allah ﷻ se daro aur meri dushmani chordh do agar Allah ﷻ wa Rasool ﷺ par imaan rakhte ho to socho tum Khuda e Shaheed o Bashir ko kya jawab doge? aur Rasoollallah ﷺ ko kya muñh dikhaoge, Bewafaao tumne mujhe baar baar khat likhe aur bulaaya aur jabh aa gaya to Mere saath aisa bura sulook kiya ke zulm ki hadoñ ko paar kar diya, zaalimon tumne mere betoñ, bhaiyoñ, bhatijoñ, saathiyoñ ko khaako khoon mein nehlaaya fatema ke baagh ke ek ek phool ko kaat diya mere saathiyoñ ko shaheed kiya aur abh mere khoon se apne haathoñ ko rangne ka irada rakhte ho?
Apne Rasool ﷺ ka ghar viraan karne walo agar qayamat par imaan rakhte ho apne anjam par gaur karo karo aur socho, Maiñ kaun hu, Kiska nawasa hu? Mere walid kaun hai? Meri waleda kiski lakhte jigar hai?
Ussi fatema Zehra رضي الله عنها ka Maiñ lakhte jigar hu jinke pulsiraat par se guzarne ke waqt mehshar ke logoñ se kaha jayega ke aye ahle mehshar apne saroñ ko jhukalo apni aankhon ko bandh kar lo ke khatoon e jannat 70000 hooroñ ke saath guzarne wali hai, phir Imam ne farmaya aye be-gairato abh bhi waqt hai sharm se kaam lo aur mere khoon se apne haathoñ ko na rango
Aap ki baaton ka yazeedi lashkar par aisa asar huwa ke aankhon se aansoo nikal gaye shimar ne dekha ke lashkar par asar ho raha hai to fauran shor gul machane laga aur bola yeh sab chhoro yazeed ki bai'at karo ya jung ke liye taiyyar ho jao.
Imam e Aali Maqam رضي الله عنه ne farmaya aye badbakhto Maiñ janta tha tumhara yahi jawab hoga Maiñe sirf isiliye tumko yeh baatein batayi ke tum ye na keh sako ke humne haq aur imam e barhaq ko nahi pehchana tha Alhumdulillah Maiñe tum tak haq pahucha diya abh raha sawal yazeed ki bai'at ka to yeh hargiz nahi ho sakta ke Maiñ jhooth aur na-haq ke samne sar jhuka du,
Allahu Akbar kya shaan hai Imam e Aali Maqam رضي الله عنه ki.
#Khutbaat e Muharram.
Tuesday, March 1, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment