Tuesday, September 27, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #734

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 734.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 04
Aayat No. - 122 & 123

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Jabh tum mein ke do girohoñ ka iraada huwa ki naamardi kar jayeñ
2⃣ Aur Allah unka sambhalne wala hai aur musalmanoñ ko Allah hi par bharosa chahiye ○ Aur beshak Allah ne Badar mein tumhari madad ki jabh tum bilkul be saro samaañ the to Allah se daro kaheñ tum shukr guzaar ho

▶ Tafseer
1⃣ Ye dono giroh Ansaar mein se the ek Bani Salma Khazraj mein se aur ek Bani Haarisa Aaus mein se ye donoñ lashkar ke baazu the jabh Abdullah Bin Ubay Bin Salul munafiq bhaaga to unhone bhi wapas jaane ka qasd kiya Allah Ta'ala ne karam kiya aur unhe us se mehfooz rakha aur wo Huzoor ﷺ ke saath saabit rahe yahañ us ne'amato ehsaan ka zikr farmaya hai
2⃣ Tumhari taadaad bhi kam thi tumhare paas hathiyaaroñ aur sawaaroñ ki bhi kami thi.

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه #734

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#734

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Sarkar Gareeb Nawaaz رضي الله عنه Ke Irshadaat

▶ Kalaam e ilaahi Ka Dekhna Sawaab Hai, Padhna Sawaab Hai, Agar 1 Harf Par Nigah Padey 10 Buraiyaañ Door Hojaaeñ Aur 10 Nekiyañ Darj Hojaaeñ Aankhoñ Ki Raushni Badhey Aur Us aankh Par Kabhi Koi museebat Na Ho
▶ Nek Kaam Se Behtar nekoñ Ki Sohbat, Aur burey Kaam Karne Se Badtar buroñ Ki Sohbat
▶Aalim e Deen Ki Ziyaarat Aur Darweshoñ Ki Dosti Nuzoole Barkat Ka Sabab Hoti Hai

Jab Sarkar Gareeb Nawaaz رضي الله عنه ka wisaal hua to
Aapki Peshani Muqaddas Par Ye Ibarat Likhi Hui Thi "Haaza Habibullah Maa Ta Fi Hubbilllah" (Ye Allah ﷻ Ka Dost Hai Aur Allah ﷻ Ki Mohabbat Me Duniya Se Jaa Raha Hai)

# Khwaja e Ajmer safah no. 25 - 26

Hadees e Mubaraka #734

TIJARAT KARO NEKI AUR IMAANDAARI KE SATH
HASHR HOGA TUMHARA SWALIHEEN KE SATH

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 734
8 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Saeed رضي الله عنه se riwayat hai Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ ke bohot sache aur dayaanat daar vyaapari ka hashr Nabiyo,Siddiqo aur Shahido ke saath hoga.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfan #733.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 733.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 04
Aayat No. 121

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur yaad karo Aye Mehboob jabh tum subah ko
2⃣ Apne daulatkhaane se bar aamad huwe musalmanoñ ko ladhaayi ke morcho par qayam karte Aur Allah sunta jaanta hai

▶ Tafseer
1⃣ Ba-maqqame Madeena Tayyaba Baqasde Uhad
2⃣ Jamhoor mufassireen ka ye qaul hai ki ye bayan junge uhad ka hai jiska ijmaali waaqiya ye hai ki Junge Badar mein shikast khaane se kuffar ko bada ranj tha isliye unhone baqasde inteqaam lashkar girañ murattab karke fauj kashi ki jabh Rasoole Kareem ﷺ ko khabar mili ki lashkare kuffar uhad mein utraa hai to Aapne as'haab se mashwara farmaya us mashurat mein Abdullah Bin Abi Bin Salul ko bhi bulaya gaya jo isse qabl kabhi kisi mashwarat ke liye bulaya na gaya tha aqsar Ansaar ki aur us Abdullah ki ye raaye huwi ke Huzoor ﷺ Madeena Tayyaba mein hi qaayam raheñ aur jabh kuffar yahan aaye tab unse muqabla kiya jaye yahi Sayyade Aalam ﷺ ki marzi thi lekin baaz as'haab ki ye raaye huwi ki Madeena Tayyaba se baahar nikal kar ladhna chahiye aur is par unhone israar kiya Sayyade Aalam ﷺ daulat saraa e aqdas mein tashreef le gaye aur asleeha zebe tan farma kar baahar tashreef laaye ab Huzoor ﷺ ko dekh kar un as'haab ko nadaamat huwi aur unhone arz kiya ki Huzoor ﷺ ko raaye dena aur us par israar karna hamari galti thi usko muaff farmaiye aur jo marzi e mubarak ho wahi kijiye Huzoor ﷺ ne farmaya Nabi ke liye sazawaar nahiñ thi ki hathiyar pehan kar qable jung utaar de mushrikeen uhad mein chahar shamba panj shamba ( Budh , Jumeraat ) ko pahuñche the aur Rasoole Kareem ﷺ Jumuah ke roz baad namaze Jumuah ek Ansaari ki namaze janaza padh kar rawana huwe aur 15 Shawwal san 3 Hijri roz yak shamba ( Itwaar ) Uhad mein pahuñche yaha nuzool farmaya aur pahaad ka ek darra jo lashkare Islaam ke piche tha usi taraf se andesha tha ki kisi waqt dushman pusht par se aakar hamla kare isliye Huzoor ﷺ ne Abdullah Bin Zubair رضي الله عنه ko 50 teerandaazo ke sath waha ma'moor farmaya ki agar dushman is taraf se hamla aawar ho to teer baari karke usko dafaa kar diya jaaye aur huqm diya ki kisi haal mein yahañ se na hatna aur is jagah ko na chhodna khwaah fatah ho ya shikast ho Abdullah Bin Ubay Bin Salul munafiq jisne Madeena Tayyaba mein reh kar jung karne ki raaye di thi apni raaye ke khilaaf kiye jaane ki wajah se barham huwa aur kehne laga ki Huzoor Sayyade Aalam ﷺ ne naw umr ladko ka kehna to maana aur meri baat ki parwaah na ki is Abdullah Bin Ubay ke saath 300 munafiq the unse usne kaha ki jabh dushman lashkare Islaam ke muqabil aajaye us waqt bhaag pado taaqi lashkare Islaam mein abtari ho jaye aur tumhe dekh kar aur log bhi bhaag nikle musalmanoñ ke lashkar ki kul taadaad ma'a un munafiqeen ke 1000 thi aur mushrikeen 3000 Muqabla hote hi Abdullah Bin Abi munafiq apne 300 munafiqoñ ko lekar bhaag nikla aur Huzoor ﷺ ke 700 As'haab Huzoor ﷺ ke saath reh gaye Allah Ta'ala ne unko saabit rakha yahañ tak ki mushrikeen ko hajimat huwiñ ab sahaba bhaagte huwe mushrikeen ke piche pad gaye aur Huzoor Sayyade Aalam ﷺ ne jahaañ qaayam rehne ke liye farmaya tha waha qaayam na rahe to Allah Ta'ala ne unhe dikha diya ki Badar mein Allah aur uske Rasool ki farmabardari ki barkat se fatah huwiñ thi yaha Huzoor ﷺ ke huqm ki mukhalifat ka nateeja ye huwa ki Allah Ta'ala ne mushrikeen ke diloñ se ro'abo haibat door farmayi aur wo palat pade aur musalmanoñ ko hajimat huwi Rasoole Kareem ﷺ ke saath ek jamaat rahi jisme Hazrate Abu Bakr , wa Ali , wa Abbas , wa Talha , wa Sa'ad رضي الله عنهم the isi jung mein dandaane aqdas shaheed huwe aur chehra e aqdas par zakhm aaya isi ke muta'alliq ye aayate kareema naazil huwi

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#733

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Sultan ul Hind Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه ki ataa wa bakhshish aur faiyyazi wa dariya dili ki yeh kaifiyat thi ke kabhi koi saeel Aapke dar se mehroom na jaata. Hazrat Qutbuddin Bakhtiyaar Kaaki رحمۃ الله تعالیٰ علیہ farmate hai ke Maiñ arse tak Aapki khidmat mein haazir raha uss dauran kabhi kisi saeel ya fakeer ko Aapke dar se khali haath jaate nahi dekha. Aapke langarkhane mein rozaana itna khana taiyyar kiya jaata ke shehair ke tamaam gurba wa masakeen khoob sair ho kar khate khadeem haazir e bargaah ho kar jabh yaumiya kharch ka mutalba karte to Aap musalle ka ek gosha uthha kar farmate "jiss kadar aaj ke kharche ki zarurat ho le lo"

Woh matluba miqdaar mein le lete aur hasb e ma'mul khana pakwa kar gareebo aur miskeeno mein taqseem kar dete.

سُــــبْحانَ الله سُــــبْحانَ الله


# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah No.276.

Yahañ bheekh milti hai begumaañ
Yeh bade sakhi ka hai aastaañ
Yahañ sabki bharti hai jholiyañ
Yeh dar e Gareeb Nawaaz hai.

Hadees e Mubaraka #733

IN BAATOÑ KA DHYAAN RAKHO
HAR SUNNAT KO NIBHATE RAHO
NA CHALO US RAAH PAR JO MUNAFIQ BANAYE
MOMIN WOH HAI JO HAR SUNNAT NIBHAYE


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 733
7 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Baraa Ibne Aajib رضي الله عنه se riwayat hai Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ ke jab do musalmaan aapas mein milte hai aur musahfa karte hai toh un dono ke judaa hone se pehle un ko bakhsh diya jaata hai.

Tirmizi Sharif.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #732

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 732.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 03
Aayat No. 120

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Tumhe koi bhalayi pahuñche to unhe bura lage
2⃣ Aur tumko burayi pahuñche to uspar khush hoñ aur agar tum sabr aur parhezgaari kiye raho to unka daañv tumhara kuchh na bigadega beshak unke sab kaam Khuda ke ghere mein hai

▶ Tafseer
1⃣ Aur is par wo ranjeedah hoñ
2⃣ Aur unse dosti wa muhabbat na karo
▶ Masla – Is aayat se maloom huwa ki dushman ke muqabla mein sabro taqwa kaam aata hai.

Shaan e Sarkar Gareeb Nawaz رضي الله عنه #732.

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#732

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


Ek din Khwaja Qutbuddin Bakhtiyaar Kaaki aur Sultan Shamshuddin Altamash shahi qile ki sair farma rahe they, wahañ bohot se umra wa arakeen e saltanat bhi maujood the ke itne mein ek badkaar haamila aurat haazir ho kar kehne lagi,

"Khudara aap mera nikah kara dijiye main bade azaab mein hu."

Badshah ne kaha, kisse nikah karau aur tu kya azaab mein hai ? Usne nihayat gustakhana andaaz mein Qutb Sahab ki taraf ishara karte huwe kaha mere peit mein inka hamal hai!

Hazrat Qutbuddin Bakhtiyaar Kaaki رضي الله عنه sharm se paseena paseena ho gaye! Badshah aur tamaam umra par sakta taari ho gaya! Hazrat Qutb Sahab ne fauran apne peero murshid Sarkaar Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه ki taraf tawajjoh ki! Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه uss waqt Ajmer sharif mein jalwa afroz the.Itne mein kya dekhte hai ki Sarkaar e Khwaja ba nafs e nafees waha maujood hai aur hazireen ne badh kar qadambosi ki.

Aapne Qutb Sahab se pucha ji tumne mujhe yaad kyu kiya? Aap munh se kuch na keh sake albatta aankhoñ se ashk behne lage. Sarkaar e Khwaja muhabbat se tadap uthe aur farmaya,

Aye badkaar haamila tu khud hi sun, phir aurat ke shikam ki taraf mutawajjah ho kar farmaya, Aye peit ke bacche tu hi bata! Teri maa Qutb Sahab ko tera baap batati hai kya yeh sach hai?

Peit se bacche ne jawab diya Huzur! yeh bilkul galat hai yeh aurat badi makkar aur faahisha hai mein hargiz Qutb Sahab ka beta nahi hu.

Phir uss badkaar aurat ne qubul kiya ki Qutb Sahab ke dushmano ne ilzam lagane ke liye usse bheja tha

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah no.316.

Makr e shaitaan se mureedoñ ko bacha lete ho,
Isliye Peer tumhe apna banaya khawaja.

Hadees e Mubaraka #732.

SURAJ ULTE PAOÑ PALTE
CHAAND ISHAARE SE HO CHAAK
ANDHE NAJDI DEKH LE QUDRAT RASOOLULLAH ﷺ KI


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 732
6 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Jabir رضي الله عنه se riwayat hai Sarwar e Kaunain ﷺ ne suraj ko hukm diya ke kuch der ke liye chalne se ruk jaae toh woh fauran ruk gaya.

#Tibrani Sharif.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfan #731

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 731.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 03
Aayat No. 119.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Sunte ho ye jo tum ho tum to unhe chahte ho
2⃣ Aur wo tumhe nahiñ chahte
3⃣ Aur haal ye ki tum sab kitaboñ par Imaan laate ho
4⃣ Aur wo jabh tumse milte haiñ kehte haiñ hum Imaan laaye
5⃣ Aur akele ho to tum par ungliyañ chabayeñ gussa se tum farma do ki mar jao apni ghutan mein Allah khoob jaanta hai diloñ ki baat

▶ Tafseer
1⃣ Rishtadaari aur dosti waghairah ta'alluqaat ki bina par
2⃣ Aur deeni mukhalafat ki bina par tum se dushmani rakhte haiñ
3⃣ Aur wo tumhari kitaab par Imaan nahi rakhte
4⃣ Ye munafiqeen ka haal hai
5⃣ Be Meer Taabarhi Aye Husood Keeñ Ranjeest ki Az Mashakkate Aujuz Ba-Marg Natwañ Rast ( Yaani hasad ke maaroñ ke liye mout hi ek aakhri raasta bacha hai )